Sarkar e dono aalam nazar e karam ho jaana

Sarkar e dono aalam nazar e karam ho jaana
Aariz hoon aarzoo hai dar per mujhe bulana
Dar tera chhod kar kyun mein ghairon ke paas jaun
Manzur thokarein bhi galiyon me teri jaana
Meri ik khata pe teri so so ataayein sarvar
Beshaq karam ka tere shaidai hai zamana
Kiye darkhaton ne sajde suraj palat ke aaya
Tukdey huwa qamar fior kudrat pe teri jaana
Turbat me jab andheri rukhsat karein kareebi
Anwaar se fir apne meri kabr jagmagana
Beshaq ho bekashon ke tum dastgeer aaqa
Failaye aata daaman tere dar pe sab zamana
Maidaan e hashr me jab khulne lagey kamai
Ummat ki apni aaqa imdaad ko tum aana
Badhne lagi hai meri din raat tishnagi ye
Saaqi e hauz e kausar meri pyas ko bujhana
Aaqa karam ki tere kar baarishein badon per
Sarshar ishq se hon ‘ Mehboob ‘ or zamana


Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Ya Sahibal Jamal Wa Ya Sayyidal Bashar Lyrics

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Har Desh mein gunjega Ab Ya Rasool-allah Lyrics Full / हर देश में गूंजेगा, अब या रसूलल्लाह / ہر دیش میں گونجے گا، اب یا رسول اللہ

Ya Nabi Mujh pe bhi Ek Nigahe Karam Lyrics / तुझको भेजा गया है करम के लिए

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics / क्या मुहम्मद का प्यारा नहीं हूँ / کیا محمد کا پیارا نہیں ہوں