Nibhalo Tum Nibhalo Tum Nibhalo Ya RasoolAllah

Nibhalo Tum Nibhalo Tum Nibhalo Ya RasoolAllah
Bulaalo Ab Madiney Mey Bulaalo Ya Rasool Allah
Satatey Hain Jo Duniya Waley Is Ka Kuch Nahi Hain Gham
Mujhey Bas Apna Keh Kar Tum Bulaalo Ya Rasool Allah
Sunehri Jaaliyon Key Saamney Pohcha Hoon Mey Aaqa
Mujhey Apni Ziyaarat Tum Karaado Ya Rasool Allah
Meyri Qismat Buree Ho To Khudara Tum Bhalee Kardo
Sanwaaro Meyri Qismat Ko Sanwaaro Ya Rasool Allah
‘Ataa Ho ‘Ilm Ki Daulat ‘Ataa Ho Deed Ki Daulat
Damey Aakhir Madinah Bhi ‘Ataa Ho Ya Rasool Allah
Shafa’at Ka Sawali Hoon Sawali Hoon Mey Rehmat Ka
Ijaabat Sey Nawaazo Tum Nawaazo Ya Rasool Allah
Mo’in-e-Raah-e-Taiba Hain Merey Khwaja Mo’inuddeen
Mo’in-e-Raah-e-Jannat Bhi Banaado Ya Rasool Allah
Tasadduq Ghaus e A’azam Ka Tawassul A’ala Hazrat Ka
Baqee-e-Paak Key Qaabil Banaado Ya Rasool Allah
Nigah-e-Mufti-e A’azam Ney Zindah Kardiya Dil Ko
Unhee Ka Saath Mehshar Mey ‘Ataa Ho Ya Rasool Allah
Tamanna Yeh Liye Jaata Hai Aaqa Shakir e Razvi
Isey Izney Madinah Phir ‘Ataa Ho Ya Rasool Allah

Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Kaba Dikha de Maula Maula Lyrics / काबा दिखा दे मौला मौला

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / حاجیوں مصطفیٰ سے کہ دینا

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Taiba ke Jane wale ja kar bade adab se Lyrics / तैबा के जाने वाले जा कर बड़े अदब से / طیبہ کے جانے والے جا کر بڑے ادب سے

Are Hajiyo Tum Haram ja rahe ho Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics