Nabi ki naat me padh lun to koi baat nahi

Nabi ki naat me padh lun to koi baat nahi
Wo naat sun ke jo khush hon to koi baat baney
Log duniya me kahein mujh ko yun deewana to kya
Jo kahein wo mujhe deewana koi baat baney
Maine maana meri auqaat nahi hai ke chalun
Ho ishaara chalun taibah to koi baat baney
Main kahun mujh ko ghulamon ka ghulam apna karo
Kahein manzur hai jo wo to koi baat baney
Nahi bujhti hi nahi pyas meri hashrat ki
Wo karein vaada e kausar to koi baat baney
Maut ruk ja do ghari raah me hain mere Nabi
Paoon deedar fir chalun to koi baat baney
Dam e ‘ Mehboob ‘ nikal jaye padhtey Naat e Nabi
Kaho aameen tum sabhi to koi baat baney

Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ

Ya Sahibal Jamal Wa Ya Sayyidal Bashar Lyrics

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics / क्या मुहम्मद का प्यारा नहीं हूँ / کیا محمد کا پیارا نہیں ہوں

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Ya Nabi Mujh pe bhi Ek Nigahe Karam Lyrics / तुझको भेजा गया है करम के लिए

Har Desh mein gunjega Ab Ya Rasool-allah Lyrics Full / हर देश में गूंजेगा, अब या रसूलल्लाह / ہر دیش میں گونجے گا، اب یا رسول اللہ