Khula hai sabhi ke liye Baab e Rahemat
Wahan koi Rutbe mein adna na aali
Muradon se daman Nahi koi khali
Katarein lagaye khade hein sawali
Mein pahele pahel jab madine gaya tha
Toh thi dil ki halat tadap jaane wali
Woh darbar sach much mere samne tha
Abhi tak tasawwur tha jis ka khayali
Mein ek hath se dil sambhale hue tha
Toh thi dusre hath rouze ki jaali
Dua ke liye hath uthte to kaise
Na ye hath khali na wo hath khali
Jo puchha hai tumne ke mein nazar karne
Ko kya le gaya tha toh tafseel sun lo
Tha naaton ka ek haar ashkon ke moti
Duroodon ka gazra salamon ki dali
Dhali apni kismat ka hai to wohi hai
Dayare nabi jisne aankhon se dekha
Mukaddar hai sacha mukaddar usi ka
Nigahe karam jispe aaqa ne dali
Mein us aastane haram ka gada hun
Jahan sar jukate hein shahane aalam
Muje taajdaron se kam mat samajna
Mera sar hai shayane taaj e bilali
Khula hai sabhi ke liye Baab e Rahemat
Wahan koi Rutbe mein adna na aali
Muradon se daman Nahi koi khali
Katarein lagaye khade hein sawali
Wahan koi Rutbe mein adna na aali
Muradon se daman Nahi koi khali
Katarein lagaye khade hein sawali
Mein pahele pahel jab madine gaya tha
Toh thi dil ki halat tadap jaane wali
Woh darbar sach much mere samne tha
Abhi tak tasawwur tha jis ka khayali
Mein ek hath se dil sambhale hue tha
Toh thi dusre hath rouze ki jaali
Dua ke liye hath uthte to kaise
Na ye hath khali na wo hath khali
Jo puchha hai tumne ke mein nazar karne
Ko kya le gaya tha toh tafseel sun lo
Tha naaton ka ek haar ashkon ke moti
Duroodon ka gazra salamon ki dali
Dhali apni kismat ka hai to wohi hai
Dayare nabi jisne aankhon se dekha
Mukaddar hai sacha mukaddar usi ka
Nigahe karam jispe aaqa ne dali
Mein us aastane haram ka gada hun
Jahan sar jukate hein shahane aalam
Muje taajdaron se kam mat samajna
Mera sar hai shayane taaj e bilali
Khula hai sabhi ke liye Baab e Rahemat
Wahan koi Rutbe mein adna na aali
Muradon se daman Nahi koi khali
Katarein lagaye khade hein sawali