Kya khabar kya saza mujko milti Lyrics

Kya khabar kya saza mujko milti
Mere Aqa ne izzat bachali
Farde isyaan meri mujse le kar
Kali kamli mein apni chhupali

Wo ata par ata karne wale
Aur ham bhi nahin talne wale
Jaisi dewdi hai waise bhikhari
Jaisa data hai waise sawaliMein gada hun magar kiske dar ka
Wo jo sultan e Kauno makan hein
Ye gulami badi mustanad hai
Mere sar par hai taaje bilali

Mein madine se kya aa gaya hun
Zindagi jaise buj si gayi hai
Ghar ke andar faza suni suni
Ghar ke bahar sama khali khali

Meri umar e rawan bas thaher jaa
Ab safar ki zarurat nahi hai
Unke kadmon mein meri zabeen hai
Aur haathon mein roze ki jaali

Mein fakat naam leva hun unka
Unki tausif mein kya karunga
Mein na Iqbal khusru na Sa'di
Mein na Kudsi Jaami na Haali

Kya khabar kya saza mujko milti
Mere Aqa ne izzat bachali
Farde isyaan meri mujse le kar
Kali kamli mein apni chhupali

Comments

Facebook Page

Followers

Popular Naat Lyrics

Wo jiske liye Mehfile Konain saji hai Lyrics || Roman(Eng) and Hindi(हिंदी)

Shahe Do Aalam Salaam Assalaam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी (Hindi)

Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Lyrics || Roman (Eng) & हिंदी (Hindi)