Koi khilkat mai unse nahi hai bada Lyircs
Koi khilkat mai unse nahi hai bada
Vo habib e khuda unki kya baat hai
Ham gunah gar hai Ham siyakar hai
Vo shafiul vara unki kya baat hai
Sara quraan hi unpe nazil hua
Zinat e arsh hai azmat e farsh hai
Vo makeen e hira unki kya baat hai
Sab se afzal do alam mai zat unki hai
Vohi mehboob e rab ka ina't unki hai
Rabb e akbar ne jo kuchh bhi ham ko diya
Unke sadke mila unki kya baat hai
Jo bhi unse mila usko rabb mil gaya
Be adab zindagi ko adab mil gaya
Rabb se vo ashna unse rabb ashna
Vo daleel e khuda unki kya shan hai
Unki khatir do alam banaye gaye
Unke anvaar se fir sajaye gaye
Unke rutbe kuchh itne badaye gaye
Akl se ma bara unki kya baat hai
Zindagi ka safar ho na jaye tamam
Unpe Ejaz bhejo duroodo salam
Vo karam hi karam Vo ata hi ata
Vo dua hi dua unki kya baat hai
Koi khilkat mai unse nahi hai bada
Vo habib e khuda unki kya baat hai
Ham gunah gar hai Ham siyakar hai
Vo shafiul vara unki kya baat hai
Comments
Post a Comment