Jahan roza e paak e khairul vara hai Lyrics


Jahan roza e paak e khairul vara hai
Vo jannat nahi hai to fir aur kya hai
Kaha mai aur kaha ye madine ki galiya
Ye kismat nahi hai to fir aur kya hai


Muhammad ki azmat ko kya puchhte ho
Ke vo sahib e kaba kausain thehre
Bashar ki sare arsh mehmaa navazi
Ye azmat nahi hai to fir aur kya hai

Jo aasee ko kamali mai apni chhupale
Jo dushman ko bhi zakhm kha kar dua de
Use aur kya naam dega zamana
Vo rehmat nahi hai to fir aur kya hai

Kayamat ka ek din mu'ayyan hai lekin
Hamare liye har nakas hai kayamat
Madine se ham jaa nisaron ki doori 
Kayamat nahi hai to fir aur kya hai

Tum Iqbal ye naat keh to rahe ho 
Magar ye bhi socha ke kya kar rahe ho
Kaha tum kaha mad'he mamdood e yazdan
Ye jurrat nahi hai to fir aur kya hai

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu