Aye Sabz gumbad wale Manzur Dua karna Lyrics


Aye Sabz gumbad wale Manzur Dua karna
Jab wakte naz'a aaye deedar ata karna

Ae noor e khuda aa kar ankhon main sama jaana
Ya dar pe bula lena ya khwab main aa jana
Ae parda nashin dil ke parde main raha karna
Jab wakt e naz'a aaye deedar ata karna
Ae Sabz gumbad wale..........

Main kabr andheri main gabraunga jab tanha
Imdaad meri karne aa jana mere aqa
Roshan meri turbat ko ae noore khuda karna
Jab wakte naz'a aaye deedar ata karna

Mujrim hun jaha bhar ka maheshar main bharam rakhna
Ruswa e zamana hun daman main chhupa lena
Makbool ye arz meri lillah zara karna
Jab wakte naz'a aaye deedar ata karna

Chehre se ziya paayi in chand sitaron ne
Us dar se shifa payi dukh dard ke maaron ne
Ata hai unhe Sabir har dukh ki dawa karna
Jab wakte naz'a aaye deedar ata karna


Comments

Post a Comment

Our Application

Our Application
Google Play Application

All Time Favorite

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun / क्या मुहम्मद का प्यारा नहीं हूँ / Lyrics

Ya Husain Ibne Ali Lyrics / या हुसैन इब्ने अली / یا حسین ابن علی in English Hindi Urdu

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar Lyrics / मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर / مرحبا مرحبا، اے علی کے پسر

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics / शाह सवार-ए-कर्बला की शाह सवारी को सलाम / شاہ سوارِ کربلا کی شاہ سواری کو سلام

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से / Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics / उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम / اس حسین ابنِ حیدر پہ لاکھوں سلام

Al Madad Peerane Peer / अल-मदद पीरान-ए-पीर / Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics