qalb ko uski ruyat ki hai aarzu qalb ko uski ruyat ki hai aarzu jiska jalwa hai 'aalam mein har chaar-su balki khud nafs mein hai wo subHanhu 'arsh par hai magar 'arsh ko justju Allahu Allahu Allahu, Allahu Allahu 'arsh-o-farsh-o-zamaan-o-jahat aye KHuda ! jis taraf dekhta hun hai jalwa tera zarre-zarre ki aankhon mein tu hi ziya katre-katre ki tu hi to hai aabru Allahu Allahu Allahu, Allahu Allahu tu kisi jaa nahin aur har jaa hai tu tu munazza makaan se mubarraj su 'ilmo qudrat se har jaa hai tu ku ba ku tere jalwe hein har har jagaah aye 'afoo Allahu Allahu Allahu, Allahu Allahu saare aalam ko hai teri hi just-ju jinn-o-ins-o-malak ko teri aarzu yaad mein teri har ek hai su-ba-su ban mein wahshi lagaate hein zarbaat-e-hu Allahu Allahu Allahu, Allahu Allahu nagma sunjaan-e-gulshan mein charcha tera chah-chahe zikr-e-haq ke hai subh-o-masa apni apni chahak, apni apni sada sabka matlab hai waahid ke waahid hai tu Allahu Allahu Allahu, Allahu All...