Mein so jaaoo Ya Mustafa kehte kehte

Mein so jaaoo Ya Mustafa kehte kehte
Khule ankh salle ala kehte kehte

Habib e khuda ka nazara karun mein
Dilo Jaan un par  nisara karu mein
Mein so jaaoo Ya Mustafa kehte kehteMuje apni rahmat se tu apna karle
Siwa tere sabse kinara karun mein
Mein so jaaoo Ya Mustafa kehte kehte

Khudara ab aao ke dam hai labon par
Dame wapasi to nazara karun mein
Mein so jaaoo Ya Mustafa kehte kehte

Muje hath aaye agar taaj e shahi
Teri kafshe paa par nisara karun mein
Mein so jaaoo Ya Mustafa kehte kehte

Tera zikr lab par khuda dil ke andar
Yunhi zindagani guzara karun mein
Mein so jaaoo Ya Mustafa kehte kehte

Dame wapasi tak tere geet gaoon
Muhammad mumajjad pukara karun mein
Mein so jaaoo Ya Mustafa kehte kehte

Tere dar ke hote kaha jaoon pyare
Kaha apna daman pasara karun mein
Mein so jaaoo Ya Mustafa kehte kehte

Khuda khair se laaye wo din bhi Noori
Madine ki galiyan buhara karun mein
Mein so jaaoo Ya Mustafa kehte kehte

Comments

Post a Comment

Popular Naat Lyrics

Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Lyrics

Shahe Do alam Salam Assalam Lyrics

Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Lyrics || Hafiz Tahir Qadri