Posts
Showing posts with the label jameel e qadry naat
- Get link
- X
- Other Apps
aaye pyare mustafa - English aaye pyare mustafa aaye pyare mustafa sab pukaro marhaba marhaba ya mustafa, marhaba ya mustafa mominon waqt-e-adab hai, aamad-e-mahboob-e-rab hai jaa-e-aadab-o-tarab hai aamad-e-shah-e-arab hai aaye pyare mustafa aaye pyare mustafa sab pukaro marhaba marhaba ya mustafa, marhaba ya mustafa abr-e-rahmat chha gaya hai kaabe pe janda gada hai baab-e-rahmat aaj waan hai aamad-e-shah-e-arab hai aaye pyare mustafa aaye pyare mustafa sab pukaro marhaba marhaba ya mustafa, marhaba ya mustafa aane wala hai wo pyara donon aalam ka sahaara kaabe ka chamka sitaara aamad-e-shah-e-arab hai aaye pyare mustafa aaye pyare mustafa sab pukaro marhaba marhaba ya mustafa, marhaba ya mustafa utho aaya taj wala arsh ki aankhon ka tara sabka ho aye maah-e-taiba salawa tullahi alayk aaye pyare mustafa aaye pyare mustafa sab pukaro marhaba marhaba ya mustafa, marhaba ya mustafa aamina bibi ka jaya barwi tarikh aaya sub'h sadiq ne ...
- Get link
- X
- Other Apps
KHuda ke fazl se hum par hai saaya ghaus-e-aa'zam ka KHuda ke fazl se hum par hai saaya ghaus-e-aa'zam ka humein donon jahaan mein hai sahaara ghaus-e-aa'zam ka humaari laaj kiske haath hai baghdaad wale ke musibat taal dena kaam kiska ghaus-e-aa'zam ka muhammad ka rasoolon mein hai jaise martaba aala hai afzal auliya mein yunhi rutba ghaus-e-aa'zam ka janaab-e-ghaus dulha aur baraati auliya honge maza dikhlaaega mahshar mein sahra ghaus-e-aa'zam ka nida dega munaadi hashr mein yun qaadariyon ko kidhar hein qaadri kar lein nazaara ghaus-e-aa'zam ka mukhaalif kya kare mera ke hai behad karam mujh par KHuda ka, rahmatul-lil-'aalameen ka, ghaus-e-aa'zam ka bula kar kafiron ko dete hein, abdaal ka rutba hamesha josh par rehta hai dariya ghaus-e-aa'zam ka lohaab apna chataaya ahmad-e-mukhtar ne unko phir kaise na hota bolbaala ghaus-e-aa'zam ka padi laa-haul aur shaitaan ke dh...
- Get link
- X
- Other Apps
khili khili kaliyaan hein, taiba ki galiyaan hein khili khili kaliyaan hein, taiba ki galiyaan hein khili khili kaliyaan hein, taiba ki galiyaan hein ajab dil-kusha hein, madine ki galiyaan mu'attar hein yun, jaise phoolon ki kaliyaan khili khili kaliyaan hein, taiba ki galiyaan hein madine ki har she'a nafaasat bhari hai madine se kaa'be ko izzat mili hai wahin ki to phoolon mein khushbu basi hai saba jum kar wajd mein keh rahi hai khili khili kaliyaan hein, taiba ki galiyaan hein madine se hoti hai taqseem-e-ne'mat wahin se bata karti hai saari daulat fida uspe hoti hai har waqt jannat barasti hai din-raat waan haq ki rahmat khili khili kaliyaan hein, taiba ki galiyaan hein muraadein yahin se gada paa rahe hein salaatin yahaan haath faila rahe hein bashar kya malaaik yahaan aa rahe juka kar sar-e-ijz farma rahe hein khili khili kaliyaan hein, taiba ki galiyaan hein wo galiya...
- Get link
- X
- Other Apps
nabi aaj paida hua chahta hai - English nabi aaj paida hua chahta hai ye kaaba ghar uska hua chahta hai na kyu aaj kaba bane rashk-e-gulshan wo gul jalva farma hua chahta hai nabi aaj paida hua chahta hai ye ro ro ke apas mai but keh rahe hain khuda jaane ab kya hua chahta hai nabi aaj paida hua chahta hai nida aa rahi hai ke haq ke kamar ka jahan mai ujala hua chahta hai nabi aaj paida hua chahta hai kharidega isyaan ko rahmat ke badle kharid daar paida hua chahta hai nabi aaj paida hua chahta hai ye aalam banaya hai jiska baraati habeeba wo dulha hua chahta hai nabi aaj paida hua chahta hai jo aalam katre se sairab karde rava aisa dariya hua chahta hai nabi aaj paida hua chahta hai falak ke sitare juke aa rahe hain ke paida wo maula hua chahta hai nabi aaj paida hua chahta hai khuda ke khazano ka mukhtaar hakeem shahe deeno duniya hua chahta hai nabi aaj paida hua chahta...
- Get link
- X
- Other Apps
ya rab mere dil me hai tamanna-e-madina ya rab mere dil me hai tamanna-e-madina in ankho se dikhla muje sehra-e-madina nikle na kabhi dilse tamanna-e-madina sar me rahe ya rab soda-e-madina aisa meri nazro me sama jae madina jab ankh uthau to nazar aae madina firte yaha zind me hum be saro sama tayba me bulalo hame aqa-e-madina is dar pe hai mushtaq-e-ziyarat meri ankhe dil se ye nikalti hai sada haae madina yaad ata hai jab roza-e-purnoor ka gumbad dil se ye nikalti hai sada haae madina mai wajd ke alam me karu chak gariba ankho ke mere samne jab aae madina quran kasam khata na us shehar ki hargiz gar hota na wo gul chaman aara-e-madina kyu gor ka khatka ho qayamat ka ho kya gam sheda-e-madina hu mai sheda-e-madina bulwa ke madine me jamil-e-razwi ko sag apna banalo ise maula-e-madina या रब मेरे दिल में है तमन्ना-ए-मदीना या रब मे...
- Get link
- X
- Other Apps
na chhedo zikr-e-jannat ab madina yaad aaya hai na chhedo zikr-e-jannat ab madina yaad aaya hai nabi ka sabz gumbad dil ki aankhon mein samaya hai mila karti hain munh maangi muraadein unke roze par gulaamon ne tere dar se jo maanga hai wo paaya hai khuda ki saltanat ke ho tum dulha ya rasulallah tumhaare waaste rab ne ye sab aalam sajaaya hai shab-e-asra mubarak baad thi ye hoor-o-gilma mein muhammad ko khuda-e-paak ne dulha banaaya hai namazon mein, azaan mein, kalma mein aur arsh par har jaa khuda ne naam tera naam se apne milaaya hai zameen ko cheerte daudhe hue aaye hain khidmat mein darakhton ne ishaara aapka jis waqt paaya hai ijaabat ne liya bosa tumhaare pyaare hothon ka dua ke waaste jis waqt tum ne lab hilaaya hai tumhaari zaat par kyun kar bharosa ho na aalam ko gunahgaaron ko tumne naare dozakh se bachaaya hai koi pursaan-e-haal apna nahin hai y...
- Get link
- X
- Other Apps
sardaar-e-auliya he.n mere ghaus piya jilaani sardaar-e-auliya he.n mere ghaus piya jilaani wo mahboob-e-sub'haani shah-baaze la-makaani wo kindile noorani sardaar-e-auliya he.n mere ghaus piya jilaani tere jadd ki hai barwi ghaus-e-aa'zam mili hai tujhe gyaarwi ghaus-e-aa'zam koi unke rutbe ko kya jaanta hai muhammad ke hein jaa-nasheen ghaus-e-aa'zam sardaar-e-auliya he.n mere ghaus piya jilaani hamaari bhi lillah bigdi banaado ghulaamon ke tum ho mu'een ghaus-e-aa'zam hein gere hue chaar jaanib se dushman KHudaara bacha mera deen ghaus-e-aa'zam sardaar-e-auliya he.n mere ghaus piya jilaani chhupa le muje apne daaman ke niche ke gham ki gataayein uthein ghaus-e-aa'zam wo hai kaun sa unke dar ka bhikaari madadgaar jiske nahi.n ghaus-e-aa'zam sardaa...
- Get link
- X
- Other Apps
aye shahenshah-e-madina assalat-o-wasslam aye shahenshah-e-madina assalat-o-wasslam zeenat-e 'arsh-e mu’alla, assalat-o-wassalam rabb-e-habli-ummati kehte huwe paida huwe haq ne farmaaya ke bakhsha assalat-o-wassalam aye shahenshah-e-madina assalat-o-wasslam zeenat-e 'arsh-e mu’alla, assalat-o-wassalam sar jhuka kar ba-'adab ishq-e-rasulallah me.n keh raha hai har sitaara assalat-o-wassalam aye shahenshah-e-madina assalat-o-wasslam zeenat-e 'arsh-e mu’alla, assalat-o-wassalam momino.n ! padhte raho tum apne aaqa par durood hai farishto.n ka wazifa, assalat-o-wassalam aye shahenshah-e-madina assalat-o-wasslam zeenat-e 'arsh-e mu’alla, assalat-o-wassalam jab firishte qabr me.n jalwa dikhaaye.n aap ka ho zubaa.n par pyaare aaqa ! assalat-o-wassalam aye shahenshah-e-madina assalat-o-wasslam zeenat-e 'arsh-e mu’alla, assalat-o-wassalam mai.n wo sunni hu.n jameel-e-qaadri marne ke baad mera laasha bhi kahe ga assalat-o-wassalam aye shahenshah-e-madina assalat-o-w...
Related Lyrics
Quran Shareef
Popular Naat Lyrics
Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर
Al Madad — Peeraan-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Immerse yourself in the heartfelt naat "Al Madad Peeraan-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer " . Below , you will find the complete lyrics presented in Roman Urdu , Hindi (Devanagari) , and Urdu (Rasm-ul-Khat) , so that every reader may connect and recite. If you enjoy this piece, explore more devotional naats and translations on naat-e-sarkar.com Al-Madad Peeran-e-Peer, Ghaus-e-Azam Dastageer ek roohani manqabat hai jo Hazrat Ghaus-e-Azam Shaykh Abdul Qadir Jilani رحمتہ اللہ علیہ ke rutba, karamaat aur maqam-e-wilayat ko bayan karti hai. Is kalam mein unki roohani qudrat, Ali al-Murtaza aur Hasnain ka saaya aur murdo ko zinda karne ki karamaat ka zikr hai. al-madad peeraan-e-peer, gaus-e-aa'zam dastageer! al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer ! rutba ye wilaayat me.n , ky...
Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا
Here is Full Lyrics of Madani Sehra "Fazl-e-Rabb-e-Paak se Beta mera Dulha bana" in English, Hindi and Urdu written by Maulana Ilyas Attar Qadri, naat khwan Hafiz Tahir Qadri fazl-e-rabb-e-paak se, beta mera dulha bana dulha bana dulha bana dulha bana dulha bana fazl-e-rabb-e-paak se , beta mera dulha bana khushnuma khushrang phoolo.n ka hai sar sehraa sajaa dulha bana dulha bana inko khushiyaa.n do Jahaa.n me.n tu ataa kar kibriyaa ! inpe ranj-o-gham ki na chhaye kabhi kaali ghata dulha bana dulha bana tu sadaa rakhna salaamat inka jhoda ya KHuda ! koi bhi jagda na ho , aapas me.n , aye rabb-ul-ula ! dulha bana dulha bana meethe meethe ho.n madine ke inhe.n munne 'ataa meethi meethi ho.n madine ki inhein munniyaan 'ataa waasta ya rabb ! madine ki mubaarak khaak ka dulha bana dulha bana is tarha mehka kare ye gh...
Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन
Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim sabse ulaa wa aala hamara nabi sabse bala wa wala hamara nabi apne maula ka pyara hamara nabi donon aalam ka dulha hamara nabi allaahumma salli-'ala sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim laakhon aae yahaan aur laakhon gae unche unche shahenshah yahaan na rahe kitne diye jale jalke phir bujh gae kya khabar kitne taare khile chhup gae par na doobe na dooba hamara nabi allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim jinke talwon ka dhowan hai aab-e-hayaat hai wo jaan-e-masiha hamara nabi khalq se auliya, auliya se rusool aur rasuulon se aala hamara nabi kaun deta hai dene ko munh chahiye dene wala hai sachcha hama...
Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है
kya bataun ki kya madina hai kya bataun ki kya madina hai bas mera mudda'aa madina hai uth ke jaaun kahan madine se kya koi dusra madina hai kya bataun ki kya madina hai uski aankhon ka noor to dekho jiska dekha hua madina hai kya bataun ki kya madina hai dil mein ab koi aarzu hi nahin ya muhammad hai ya madina hai kya bataun ki kya madina hai duniya wale to dard dete hein zakhmi dil ki dawa madina hai kya bataun ki kya madina hai mere aaqa! mujhe bula lijiye mujhko bhi dekhna madina hai kya bataun ki kya madina hai dil fida hai madine wale pa...
Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام
shaah-e-do 'aalam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam karo duur har Gam salaam assalaam har aankh hoke pur-nam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam a Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam rabb ne baDe pyaar se me'raaj me.n kahaa rahne do naa'lain ko aa jaao mustafaa qadam-e-mustafaa ka liyaa arsh ne bosaa jhuum uthe saare malaa.ik o marhabaa maa.nge jo nabii rab ne vo diyaa rab ne jo diya, nabii ne vo liyaa jhuuka 'arsh-e-aa'zam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam aapne jo kar diyaa u.nglii ka ishaaraa chaand do tukDe hua qurbaan ho gayaa jab namaaz-e-'asr 'ali ki hui qazaa aapne suraj ko dubaaraa palat diyaa aap jo kiye, mo'jize bane aap ...
Baghdad Hai Pyara Lyrics / बग़दाद है प्यारा
baGdaad mein har simt hai taiba ka nazaara baGdaad mein har simt hai taiba ka nazaara baGdaad hai pyaara baghdaad hai pyaara kehte hein jise sab hai bahot khoob wahi hai har 'aashiq-e-sarkaar ka matloob wahi hai allah ke mahboob ka mahboob wahi hai ek baar jo dekh aaye wo jaata hai dobaara baGdaad hai pyaara baGdaad hai pyaara rahmat ka khazeena hein wo baGdaad ki galiyaan tasweer-e-madina hein wo baGdaad ki galiyaan jannat ka nageena hein wo baGdaad ki galiyaan bahta hai sada rahmat-o-anwaar ka dhaara baGdaad hai pyaara baGdaad hai pyaara chaadar wahaan rahti hai tani hasani-husaini har samt wahaan chhanw mili hasani husaini khushbu hai fazaaon mein basi hasani husaini baGdaad ka dulha hai, 'ali ka hai dulaara baGdaad hai pyaara baGdaad hai pyaara us dar ki mohabbat hai madine ki mohabbat us dar ki inaayat hai madine ki ina...
Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा
koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera ho jo haatim ko muyassar ye nazaara tera keh uthe dekh ke bakhshish mei.n ye rutba tera waah! kya jood-o-karam hai shah-e-bat.ha tera nahi.n sunta hi nahi.n maangne waala tera kuchh bashar hone ke naate tujhe khud-sa jaanei.n aur kuchh mahez payaami hi KHuda ka jaanei.n inki auqaat hi kya hai ke ye itna jaanei.n farsh waale teri shoqat ka 'uloo kya jaane KHush-rawaa.n 'arsh pe udta hai pharera tera mujhse naa-chiz pe hai teri 'inaayat kitni tune har gaam pe ki meri himaayat kitni kya bataau.n teri rahmat mei.n hai wus'at kitni ek mai.n kya meri 'isyaa.n ki haqiqat kitni mujhse so-laakh ko kaafi hai ishaara tera kaee pushto.n se ghulaami ka ye rishata hai bahaal yahi.n tiflee -o-jawaani ke guzaare mah-o-saal ab budhaape mei.n KHudaara ! na hamei.n dar se nikaal tere tukdo.n pe pale ghair ki thok...
Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ
labbaik ya rasool-allah ! labbaik ya rasool-allah ! labbaik ya rasool-allah ! labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! khud ko mita denge, hum jaan luta denge naamus-e-aaqa par, hum sar kataa denge labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! haazir hei.n, haazir hei.n, haazir hei.n hum labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! kariya-kariya, basti-basti, zikr nabi ka aam karo pyaare aaqa ke diwaano.n ! haath mei.n daale haath chalo hubb-e-nabi ka har dil mei.n, tum jaa ke deep jalaao unche mei.n uncha nabi ka janda, ghar-ghar mei.n lehraao khud ko mita denge, hum jaan luta denge naamus-e-aaqa par, hum sar kataa denge labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! haazir hei.n, haazir hei.n, haazir hei.n hum labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! ibn-e-'ali ne karbo-bala mei.n tum ko ye paighaam diya yaad rakkho, pyaare aaqa ne tum ko paak nizaam diya tod do baahu ...
Sarkar ka nokar hun koi aam nahi hoon Lyrics / सरकार का नौकर हूँ कोई आम नहीं हूँ
sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri itna kaafi hai zindagi ke liye rakh le.n sarkar jo naukari ke liye sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n duniya ke kisi shobe mein nakaam nahi hu.n sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n mere nijaat ka yahi raasta dikhai de allah mujko makka madina dikhai de roza-e-mustafa hai jaha.n par aye momino.n aashiq wahi.n pe jeeta aur marta dikhai de sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n duniya ke hukmarano.n se darta nahi.n kabhi dollar se ya riyal se bikta nahi.n kabhi jis zehn me.n samaya hai faqat dast-e-karbala momin wo sar kataata hai jukta nahi.n kabhi sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n aaqa ka faisala wahi qudrat ka faisala mehshar mein hoga unki shafa'at ka fai...
Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics / वो जिसके लिए महफ़िल-ए-कौनैन सजी है
wo mera nabi mera nabi mera nabi hai Naat-Khwaan: Zohaib Ashrafi Laiba Fatima wo jiske liye mahfil-e-kaunain saji hai firdaus-e-bari jiske wasile se bani hai wo haashmii makki madani ul 'arabii hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai ahmad hai mohammad hai wah KHatm-e-rasuul hai maKHduum o murabbii hai wahi vaalii-e-kul hai us par hi nazar saare zamane ki lagi hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai wash-shams o wad-duHa chehra-e-anwar ki jalak hai wal-layl saza gesuu-e-hazrat ki latak hai 'aalam ko ziya uske wasile se mili hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai allah ka farman "alam-nashrah la-ka sadrak" mansuub hai "wa-raf'aana la-ka zikrak" jis zaat ka quraan me.n bhi zikr-e-jalii hai wo mera nab...







.png)

