Na chhedo zikre jannat ab madina yad aaya hai Lyrics

Na chhedo zikre jannat ab madina yad aaya hai
Nabi ka sabz gumbad dil ki aankhon mein samaya hai

Mila karti hein muh mangi muradein unke roze par
Gulamon ne tere dar se jo manga hai wo paya hai

Khuda ki saltanat ke ho tum dulha Ya Rasulallah
Tumhare waste rab ne ye sab aalam sajaya hai



Shabe asra mubarak baad thi ye hooro-gilma mein
Muhammad ko khuda e paak ne dulha banaya hai

Namazon mein azaan mein kalma mein aur arsh par har jaa
Khuda ne naam tera naam se apne milaya hai

Zameen ko chirte dodhe hue aaye hein khidmat mein
Darakhton ne ishara aapka jis wakt paya hai

Ijabat ne liya bosa tumhare pyare hothon ka
Dua ke waste jis wakt tum ne lab hilaya hai

Tumhari zaat par kyun kar bharosa ho na alam ko
Gunahgaron ko tumne naare dozakh se bachaya hai

Koi pursane haal apna nahin hai ya Rasulallah
Jo apna hai to tu hai aur baaki sab paraya hai

Sana e mustafa wo bhi riwayate sahiha se
Jameel e Qadri kya khub tere paas maya hai




Comments

Post a Comment

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu