Ya Rab Mere Dil Mai Hai Tamanna-e-Madina
Ya rab mere dil me hai tamanna-e-madina
In ankho se dikhla muje sehra-e-madina
Nikle na kabhi dilse tamanna-e-madina
Sar me rahe ya rab soda-e-madina
Aesa meri nazro me sama jae madina
Jab ankh uthau to nazar aae madina
Firte yaha zind me ham be saro sama
Tayba me bulalo hame aqa-e-madina
Is darpe hai Mushtaq-e-ziyarat meri ankhe
Dil se ye nikalti hai sada hae madina
Yad ata hai jab roza-e-purnoor ka gumbad
Dil se ye nikalti hai sada hae madina
Mai vajd ke alam me karu chak gariba
Ankho ke mere samne jab aae madina
Qran kasam khata na us shehar ki hargiz
Gar hota n vo gul chaman aara-e-madina
Kyu gor ka khatka ho qayamat ka ho kya gam
Sheda-e-madina hu mai Sheda-e-madina
Bulva ke madine me JAMIL-E-RAZVI ko
Sag apna banalo ise maula-e-madina
Comments
Post a Comment