Posts
Showing posts with the label bilal qadry naat
- Get link
- X
- Other Apps
aaye pyare mustafa - English aaye pyare mustafa aaye pyare mustafa sab pukaro marhaba marhaba ya mustafa, marhaba ya mustafa mominon waqt-e-adab hai, aamad-e-mahboob-e-rab hai jaa-e-aadab-o-tarab hai aamad-e-shah-e-arab hai aaye pyare mustafa aaye pyare mustafa sab pukaro marhaba marhaba ya mustafa, marhaba ya mustafa abr-e-rahmat chha gaya hai kaabe pe janda gada hai baab-e-rahmat aaj waan hai aamad-e-shah-e-arab hai aaye pyare mustafa aaye pyare mustafa sab pukaro marhaba marhaba ya mustafa, marhaba ya mustafa aane wala hai wo pyara donon aalam ka sahaara kaabe ka chamka sitaara aamad-e-shah-e-arab hai aaye pyare mustafa aaye pyare mustafa sab pukaro marhaba marhaba ya mustafa, marhaba ya mustafa utho aaya taj wala arsh ki aankhon ka tara sabka ho aye maah-e-taiba salawa tullahi alayk aaye pyare mustafa aaye pyare mustafa sab pukaro marhaba marhaba ya mustafa, marhaba ya mustafa aamina bibi ka jaya barwi tarikh aaya sub'h sadiq ne ...
- Get link
- X
- Other Apps
tum ko lakhon mubarak aamena tum ko lakhon mubarak aamena sadqe tum par ho dil-o-jaan aamena tum ne bakhsha ham ko imaan aamena jo mila jisko mila tumse mila deen-o-imaan ilm-o-irfaan aamena tum ko lakhon mubarak aamena kul jahaan ki maaein hon tum par fida tum muhammad ki bani maa aamena tum ko lakhon mubarak aamena ibn-e-mariyam wakei rabb ke rasool par muhammad ki badi shaan aamena tum ko lakhon mubarak aamena jis shikam mein mustafa ho ga guzir arsh-e-aazam se hai zi-shaan aamena tum ko lakhon mubarak aamena tum se imaan-o-amanat aur aman tum se faizaan tum se irfaan aamena tum ko lakhon mubarak aamena teri turbat ka mujawar main banun phir nikalun dil ke armaan aamena tum ko lakhon mubarak aamena hai ye salik aapke dar ka fakir mangta hai amn-o-imaan aamena tum ko lakhon mubarak aamena तुम को लाखों मुबारक आमिना तुम को लाखों मुबारक आमिना सदके तुम पर हो दिल-ओ-जान आमिना तुमने बख्शा हमको ईमान आमिना जो मिला ...
- Get link
- X
- Other Apps
duniya ka sabse bada jashn manaaeinge ham ye jashn mustafa ka hai badi dhoom se manaaeinge duniya ko ye bataeinge duniya ko ye dikhaaeinge inshaallah hul aziz inshaallah hul aziz ham hashr tak manaaeinge milaad pyare nabi ka duniya ka sabse bada jashn manaaeinge ham milaade mustafa hai sab ko bataaeinge ham jashne miladunnabi sab aashikon ki jaan hai har musalmaan shadmaan hai ghamzada shaitan hai ye jashn mustafa ka hai badi dhoom se manaaeinge duniya ko ye bataeinge duniya ko ye dikhaaeinge inshaallah hul aziz inshaallah hul aziz ham hashr tak manaaeinge milaad pyare nabi ka aaj hai jashne wilaadat us shahe laulak ka jispe naazil haq taa-ala ne kiya quraan hai ye jashn mustafa ka hai badi dhoom se manaaeinge duniya ko ye bataeinge duniya ko ye dikhaaeinge inshaallah hul aziz inshaallah hul aziz ham hashr tak manaaeinge milaad pyare nabi ka sabz parch...
- Get link
- X
- Other Apps
Roman(ENG): peeraane-peer , mere shaah-e-jilaani roshan-zameer mere shaah-e-jilaani wah ! kya martaba aye ghaus ! hai baala tera unche uncho.n ke saro.n se qadam aala tera sar bhala kya koi jaane ke hai kaisa tera auliya malte he.n aankhe.n wo hai talwa tera peeraane-peer , mere shaah-e-jilaani roshan-zameer mere shaah-e-jilaani kya dabe jispe himaayat ka ho panja tera sher ko khatre me.n laata nahi.n kutta tera peeraane-peer , mere shaah-e-jilaani roshan-zameer mere shaah-e-jilaani kasme.n de de ke khilaata hai pilaata hai tuje pyaara allah tera chaahne waala tera peeraane-peer , mere shaah-e-jilaani roshan-zameer mere shaah-e-jilaani tujse dar, dar se sag, aur sag se hai mujhko nisbat meri gardan me.n bhi hai door ka dora tera peeraane-peer , mere shaah-e-jilaani roshan-zameer mere shaah-e-jilaani is nishaani ke jo sag he.n nahi.n maare jaate hashr tak mere gale me.n rahe patta tera peeraane-peer , mere shaah-e-jilaani roshan-zameer mere shaah-e-jilaani fakhr-e-aaqa me.n ...
- Get link
- X
- Other Apps
Roman(ENG): marhaba , marhaba , marhaba , ya mustafa ! marhaba , marhaba , marhaba , ya mustafa ! mere aaqa ka taraana dekho gaayega zamaana aaj mai.n bhi sunau.n , aaj tum bhi sunaana aaqa ka taraana , aaqa ka taraana , aaqa ka taraana aaqa ka taraana , aaqa ka taraana , aaqa ka taraana mere aaqa ka taraana , dekho gaayega zamana sun ke aashiq machaltaa rahega, noor wale ka danka bajega aaqa ka taraana , aaqa ka taraana , aaqa ka taraana dil ka gunchaa khila , ruh ko sukh milaa aaj tashreef laye habeeb-e-KHuda zikr-e-mehboob kar , naat-e-sarkar pad shab ko milad ki mehfilo.n se sajaa ye zamane ko sunaa do , sari duniya ko batado ab to aaqa ka sikka chalega , noor waale ka danka bajega mere aaqa ka taraana , dekho gaayega zamana aaj mai.n bhi sunau.n , aaj tum bhi sunaana aaqa ka taraana , aaqa ka taraana , aaqa ka taraana unka sikka to jaari kahaa.n na hua ? is zamee.n me.n hua , aasamaa.n me.n hua kya arab , kya ajam , har jagaah me.n hua unka charchaa rahegaa rahegaa s...
- Get link
- X
- Other Apps
Roman(ENG): Marhaba ya Mustafa Marhaba ya Mustafa Marhaba ya Mustafa Marhaba ya Mustafa Noor har su chha gaya hai Din khushi ka aa gaya Aaye Pyaare Mustafa Ahlanwwa Sahlan Marhaba Sub-h Taybaah mein hui Bant-ta hai baada Noor ka Sadqaa lene Noor ka Aaya hai taara Noor ka Noor har su chha gaya hai Din khushi ka aa gaya Aaye Pyaare Mustafa Ahlanwwa Sahlan Marhaba Baarwih ke chand ka mujra hai sajdaa Noor ka Baarah burzon se juka ek ek sitaara Noor ka Noor har su chha gaya hai Din khushi ka aa gaya Aaye Pyaare Mustafa Ahlanwwa Sahlan Marhaba Taaj waale dekh kar Tera Imaama Noor ka Sar jukate hein Ilaahi bol baala Noor ka Noor har su chha gaya hai Din khushi ka aa gaya Aaye Pyaare Mustafa Ahlanwwa Sahlan Marhaba Aye Raza ye Ahmade Noori ka faize Noor hai Ho gai Meri gazal pad kar kaseeda Noor ka Noor har su chha gaya hai Din khushi ka aa gaya Aaye Pyaare Mustafa Ahlanwwa Sahlan Marhaba हिंदी(HINDI): मरहबा या मुस्तफा मरहब...
- Get link
- X
- Other Apps
Roman(ENG): Aashikane Mustafa ko Eide Miladunnabi Ho Mubarak ho Mubarak Eide Miladunnabi Aaqa ki Aamad hai Marhaba Marhaba Jaana ki Aamad hai Marhaba Marhaba Ho Mubarak Ahle Imaan Eide Miladunnabi Ho gaee Qismat darakhshaa Eide Miladunnabi Chaar Jaanib dhoom hai Sarkar ke Milaad ki Jumta hai har Musalmaa Eide Miladunnabi Aaqa ki Aamad hai Marhaba Marhaba Jaana ki Aamad hai Marhaba Marhaba Aashikaane Mustafa ko Eide Miladunnabi Ho Mubarak ho Mubarak Eide Miladunnabi Gunche chatkhe phool mehke Har taraf aaee bahaar Ho gaee sub-he Bahaaraan Eide Miladunnabi Kyun na Ham Roshan karein Ghar Ghar diye Milaad ke Khud kare Jab Haq charaagaan Eide Miladunnabi Aaqa ki Aamad hai Marhaba Marhaba Jaana ki Aamad hai Marhaba Marhaba Aashikaane Mustafa ko Eide Miladunnabi Ho Mubarak ho Mubarak Eide Miladunnabi Eide Miladunnabi to Eidon ki bhi Eid hai Bil yakeen hai Eide Eedaan Eid e Miladunnabi Eide Miladunnabi par Jo bhi karta hai khushi Us pe gurraata hai Shaitaan Eide Miladunn...
- Get link
- X
- Other Apps
Roman(ENG): Mein Sadqe jaoon waari jaoon Muhammad aa gaye Mein Sadqe jaoon waari jaoon Muhammad aa gaye Sarkaar ke Diwaane Khushiyaan manaa rahe hein Jande lagaa rahe hein Ghar ko Sajaa rahe hein Naara laga rahe hein Mein Sadqe jaoon waari jaoon Muhammad aa gaye Mein Sadqe jaoon waari jaoon Muhammad aa gaye Noor waala Aamena Bibi ke ghar mein ayaa hai Haq ne paida Aaj Apne Pyaare ko farmaaya hai Mein Sadqe jaoon waari jaoon Muhammad aa gaye Mein Sadqe jaoon waari jaoon Muhammad aa gaye Sarkaar ke Diwaane Khushiyaan manaa rahe hein Jande lagaa rahe hein Ghar ko Sajaa rahe hein Naara laga rahe hein Is taraf bhi Us taraf bhi Har taraf hi Noor hai Aa gaya hai Noor walaa Noor walaa ayaa hai Mein Sadqe jaoon waari jaoon Muhammad aa gaye Mein Sadqe jaoon waari jaoon Muhammad aa gaye Sarkaar ke Diwaane Khushiyaan manaa rahe hein Jande lagaa rahe hein Ghar ko Sajaa rahe hein Naara laga rahe hein Noor waale ke Rukhe Roshan ki bhi Kya Baat hai Chehra-e-Anwar ke a...
- Get link
- X
- Other Apps
nabi ka jashn aaya hai fida hain aashiqan-e-rasool nabi ka jashn aaya hai fida hain aashiqan-e-rasool jashne aaqa se hamein to ishq hai aur pyaar hai jhoom jaao aashikon phir aamade sarkar hai nabi ka jashn aaya hai fida hain aashiqan-e-rasool aaj hain har jagah aashiqan-e-rasool mehfil naat o sana aashiqan-e-rasool nabi ka jashn aaya hai fida hain aashiqan-e-rasool jashne aaqa se hamein to ishq hai aur pyaar hai jhoom jaao aashikon phir aamade sarkar hai jashne milaad ka sab rahe hain manaa bandagane khuda aashiqan-e-rasool nabi ka jashn aaya hai fida hain aashiqan-e-rasool jashne aaqa se hamein to ishq hai aur pyaar hai jhoom jaao aashikon phir aamade sarkar hai jashne milaad se ishq hai pyaar hai hain manaate sada aashiqan-e-rasool nabi ka jashn aaya hai fida hain aashiqan-e-rasool jashne aaqa se hamein to ishq hai aur pyaar hai jhoom jaao aashikon p...
- Get link
- X
- Other Apps
Roman (Eng) : Ba'de Ramzaan Eid hoti hai Rab ki Rahmat mazeed hoti hai Jis ko Aaqa ki deed hoti hai Uspe Qurbaan Eid hoti hai Eid Tujko Mubarak Aye Saaeem Rozadaro.n ki Eid hoti hai Rozadaron ke waste Wallah Magfirat ki naweed hoti hai Be-Namazon ki Rozaakhoron ki Kaun kehtaa hai Eid hoti hai Jisko Aaqa Madine bulwaaein Us Musalmaan ki Eid hoti hai Mujko Eidy mein do baqee Aaqa Jaane kab Meri Eid hoti hai Eid Attar Uski hai Jisko Khwaab mein Unki Deed hoti hai हिंदी : बा'दे रमजान ईद होती है रब्ब की रेहमत मज़ीद होती है जिसको आक़ा की दीद होती है उसपे क़ुर्बान ईद होती है ईद तुमको मुबारक ए साईम रोज़ादारों की ईद होती है रोज़ादारों के वास्ते वल्लाह मगफिरत की नवीद होती है बेनमाज़ों की रोजाखोरों की कौन कहता है ईद होती है जिसको आक़ा मदीने बुलवाएं उस मुसलमां की ईद होती है मुझको ईदी में दो बाक़ी आक़ा जाने कब मेरी ईद होती है ईद अत्तार उसकी है जिसको ख्वाब में उनकी दीद होती है ramzan, bade ramzan, eed special, eid special naat, nasheed, dawate islami, dawat-e-islami, i...
- Get link
- X
- Other Apps
Roman (Eng) : Baade Ramzaan Eid hoti hai Rabb ki Rehmat mazeed hoti hai Jis ko Aaqa ki Deed hoti hai Uspe Qurbaan Eid hoti hai Eid Tujko Mubaarak Aye Saaeem Rozaadaron ki Eid hoti hai Rozaadaron ke waaste Wallah Magfirat ki naweed hoti hai Be-Namazon ki Rozaakhoron ki Kaun kehtaa hai Eid hoti hai Jisko Aaqa Madine bulwaaein Us Musalmaan ki Eid hoti hai Mujko Eidy mein do baqee Aaqa Jaane kab Meri Eid hoti hai Eid Attar Uski hai Jisko Khwaab mein Unki Deed hoti hai हिंदी : बादे रमजान ईद होती है रब्ब की रेहमत मज़ीद होती है जिसको आक़ा की दीद होती है उसपे क़ुर्बान ईद होती है ईद तुमको मुबारक ए साईम रोज़ादारों की ईद होती है रोज़ादारों के वास्ते वल्लाह मगफिरत की नवीद होती है बेनमाज़ों की रोजाखोरों की कौन कहता है ईद होती है जिसको आक़ा मदीने बुलवाएं उस मुसलमां की ईद होती है मुझको ईदी में दो बाक़ी आक़ा जाने कब मेरी ईद होती है ईद अत्तार उसकी है जिसको ख्वाब में उनकी दीद होती है ramzan, bade ramzan, eed special, eid special naat, nasheed, dawate islami, dawat-e-islami, ilyas ...
Related Lyrics
Quran Shareef
Popular Naat Lyrics
Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम
Mustafa Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam Roman Urdu, Hindi & Urdu Lyrics Roman Urdu हिंदी اردو Roman Urdu mustafa jaan-e-rahmat pe laakhon salaam shaam-e-bazm-e-hidaayat pe laakhon salaam mehr-e-charkh-e-nubuwwat pe roshan durood ghule baagh-e-risaalat pe laakhon salaam shahr-e-yaar-e-iram taajdaar-e-haram nau bahaar-e-shafaa'at pe laakhon salaam shab-e-asraa ke dulha pe daa'im durood nosha-e-bazm-e-jannat pe laakhon salaam fath-e-baab-e-nubuwwat pe behad durood khatm-e-daura-e-risaalat pe laakhon salaam mujh se be-kas ki daulat pe laakhon durood mujh se be-bas ki quwwat pe laakhon salaam ham gareebon ke aaqa pe behad durood ham fakeeron ki sarwat pe laakhon salaam ...
Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا
Here is Full Lyrics of Madani Sehra "Fazl-e-Rabb-e-Paak se Beta mera Dulha bana" in English, Hindi and Urdu written by Maulana Ilyas Attar Qadri, naat khwan Hafiz Tahir Qadri fazl-e-rabb-e-paak se, beta mera dulha bana dulha bana dulha bana dulha bana dulha bana fazl-e-rabb-e-paak se , beta mera dulha bana khushnuma khushrang phoolo.n ka hai sar sehraa sajaa dulha bana dulha bana inko khushiyaa.n do Jahaa.n me.n tu ataa kar kibriyaa ! inpe ranj-o-gham ki na chhaye kabhi kaali ghata dulha bana dulha bana tu sadaa rakhna salaamat inka jhoda ya KHuda ! koi bhi jagda na ho , aapas me.n , aye rabb-ul-ula ! dulha bana dulha bana meethe meethe ho.n madine ke inhe.n munne 'ataa meethi meethi ho.n madine ki inhein munniyaan 'ataa waasta ya rabb ! madine ki mubaarak khaak ka dulha bana dulha bana is tarha mehka kare ye gh...
Maula Ya Salli wa Sallim Salam Lyrics / मौला या सल्ली व सलीम / مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ
maula ya salli wa sallim daaeeman abadan sahar ka waqt tha maasum kaliyaa.n muskuraati thi.n hawaaei.n khair-makhdam ke taraane gungunaati thi.n abhi jibreel bhi utre na the kaa'be ke mimbar se ke itne me.n sadaa aayi hai abdullah ke ghar se mubaarak ho shah-e-har-do-saraa tashreef le aaye mubaarak ho muhammad mustafa tashreef le aaye maula ya salli wa sallim daaeeman abadan 'ala habibi-k khairil khalki kullimi muhammadun sayyidun kaw-nayni wa sakalayni wal-farikayni min arabiw-wa-min ajami na koi aap jaisa hai na koi aap jaisa tha koi yusuf se puchhe mustafa ka husn kaisa tha zameeno.n aasmaa.n me.n koi bhi misaal na mili maula ya salli wa sallim daaeeman 'abadan ...
Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा
koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera ho jo haatim ko muyassar ye nazaara tera keh uthe dekh ke bakhshish mei.n ye rutba tera waah! kya jood-o-karam hai shah-e-bat.ha tera nahi.n sunta hi nahi.n maangne waala tera kuchh bashar hone ke naate tujhe khud-sa jaanei.n aur kuchh mahez payaami hi KHuda ka jaanei.n inki auqaat hi kya hai ke ye itna jaanei.n farsh waale teri shoqat ka 'uloo kya jaane KHush-rawaa.n 'arsh pe udta hai pharera tera mujhse naa-chiz pe hai teri 'inaayat kitni tune har gaam pe ki meri himaayat kitni kya bataau.n teri rahmat mei.n hai wus'at kitni ek mai.n kya meri 'isyaa.n ki haqiqat kitni mujhse so-laakh ko kaafi hai ishaara tera kaee pushto.n se ghulaami ka ye rishata hai bahaal yahi.n tiflee -o-jawaani ke guzaare mah-o-saal ab budhaape mei.n KHudaara ! na hamei.n dar se nikaal tere tukdo.n pe pale ghair ki thok...
Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर
al-madad peeraan-e-peer, gaus-e-aa'zam dastageer! al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! rutba ye wilaayat mein, kya ghaus ne paaya hai allah ne waliyon ka sultaan banaaya hai hai dast-e-'ali sar par, hasnain ka saaya hai mere ghaus ne thokar mein murdon ko jilaaya hai al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! laakhon ne usi dar se taqdeer banaayi hai bagdaad sanwariya ki har baat niraali hai doobi hui kashti bhi dariya se nikaali hai ye naam adab se lo ye naam jhalaali hai al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! har fikr se tum ho kar aazaad chale jaao le kar ke labon par tum fariyaad chale jaao milna hai agar tumko waliyon ke shahenshaah se khwaaja se ijaazat lo baghdaad chale jaao al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! ya ghaus! karam kardo ya ghaus! karam kardo ye deen ki daulat se daaman sab ka bhar do bas itni guzaarish hai bas ek nazar kar do baghdaad k...
Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन
Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim sabse ulaa wa aala hamara nabi sabse bala wa wala hamara nabi apne maula ka pyara hamara nabi donon aalam ka dulha hamara nabi allaahumma salli-'ala sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim laakhon aae yahaan aur laakhon gae unche unche shahenshah yahaan na rahe kitne diye jale jalke phir bujh gae kya khabar kitne taare khile chhup gae par na doobe na dooba hamara nabi allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim jinke talwon ka dhowan hai aab-e-hayaat hai wo jaan-e-masiha hamara nabi khalq se auliya, auliya se rusool aur rasuulon se aala hamara nabi kaun deta hai dene ko munh chahiye dene wala hai sachcha hama...
Keh dena Sarkar se Salam Hamara Lyrics / कह देना सरकार से सलाम हमारा, सलाम हमारा
Le Ke Jab Aaye Haji Unke Dar Ka Haseen Nazara Roman Urdu, Hindi & Urdu Roman Urdu हिंदी اردو Roman Urdu le ke jab aaye haji unke dar ka haseen nazara keh dena sarkar se salaam hamara, salaam hamara wo hein jaan-e-kaaba, wo hein shaah-e-do aalam dekh ke jinka jalwa jhoome arsh-e-aazam nabiyon mein koi bhi nahin hai unke jaisa nyaara keh dena sarkar se salaam hamara, salaam hamara unke dar pe jaa kar hosh na udne paaye dil ki har dhadkan pe rang-e-junoon na chhaye be adbi mahboob ke dar ki, rab ko nahin gawara keh dena sarkar se salaam hamara, salaam hamara unki rahmat ka dariya rehta hai har-soo gham ke andheron mein wahi hai roshni numaya ummat ke liye jo roye raaton mein, aisa nahin koi hamara keh dena sarkar s...
Aye Saba Mustafa se keh dena Lyrics / अये सबा मुस्तफा से कह देना / اے صبا! مصطفیٰ سے کہہ دینا
aye saba ! mustafa se keh dena, gham ke maare salaam kehte hei.n Naat-Khwaan: Haji Mushtaq Attari aye saba ! mustafa se keh dena, gham ke maare salaam kehte hei.n yaad karte hei.n tumko shaam-o-sahar, dil hamaare salaam kehte hei.n allah ! allah ! huzoor ki baatei.n, marhaba rang-o-noor ki baatei.n chaand jin par nisaar hota hai, aur taare salaam kehte hei.n aye saba ! mustafa se keh dena, gham ke maare salaam kehte hei.n jab muhammad ka naam aata hai, rahmato.n ka payaam aata hai lab humaare durood padte hei.n, dil humaare salaam kehte hei.n aye saba ! mustafa se keh dena, gham ke maare salaam kehte hei.n allah ! allah ! huzoor ke gaisu, bheeni-bheeni mahakti wo khushbu jin se maa'mur hai faza har-soo, wo nazaare salaam kehte hei.n aye saba ! mustafa se keh dena, gham ke maare salaam kehte hei.n zaaeer-e-taiba tu madine mei.n, pyaare aaqa se itna keh dena aap ki gard-e-raah ko aaqa ! be-sahaare salaam kehte hei.n a...
Ya Nabi Salam Alayk Lyrics / या नबी सलाम 'अलैक - All versions
ya nabi salaam 'alaik, ya rasool salaam 'alaik rabb-e-sallim 'ala rasulallah marhaba marhaba rasulallah ya nabi salaam 'alaik, ya rasool salaam 'alaik ya habeeb salaam 'alaik, salawaatulla 'alaik rahmato.n ke taaj waale! do jahaa.n ke raaj waale! 'arsh ki me'raaj waale! aasiyo.n ki laaj waale! ya nabi salaam 'alaik, ya rasool salaam 'alaik ya habeeb salaam 'alaik, salawaatulla 'alaik hai tamanna ye KHuda se kahi.n, aisa howe hind se fir soo-e-madina, mera jaana howe roza-e-paak ke chogird firu.n main aisa jaise parwaana sar-e-sham' pe firta howe hu.n main mushtaq-e-ziyaarat, ye tamanna hai shaha! puri allah meri, ab ye tamanna howe ...
Ya Nabi Mujh pe bhi Ek Nigahe Karam Lyrics / तुझको भेजा गया है करम के लिए
ya nabi mujh pe bhi ek nigaah-e-karam - English karam ki bhik dar-e-mustafa se mangte hein ham apni haajatein, haajat-rawa se mangte hein unhein khabar hai ke ham log, mushkilon se nijaat waseela unko bana kar khuda se mangte hein ya nabi mujh pe bhi ek nigaah-e-karam tujhko bheja gaya hai karam ke liye sarwar-e-ambiya! taajdar-e-haram! tujhko bheja gaya hai karam ke liye ya nabi mujh pe bhi ek nigaah-e-karam tujhko bheja gaya hai karam ke liye rashq-e-firdos ban jaae duniya meri ek lutf-e-nazar mujh pe bhi ya nabi paas aae khushi door ho jaae gham tujhko bheja gaya hai karam ke liye ya nabi mujh pe bhi ek nigaah-e-karam tujhko bheja gaya hai karam ke liye wajh-e-rahmat teri zaat purnoor hai saari makhluq mein baat mash'hoor hai kya falak kya zameen, kya arab kya ajab tujhko bheja gaya hai karam ke liye ya nabi mujh pe bhi ek nigaah-e-karam tujhko bheja gaya hai karam ke liye do jahaanon ka maalik banaya tujhe har tarha se nawaza h...







.png)

