Noor har su chha gaya hai Din khushi ka aa gaya Lyrics
Marhaba ya Mustafa Marhaba ya Mustafa
Marhaba ya Mustafa Marhaba ya Mustafa
Noor har su chha gaya hai Din khushi ka aa gaya
Aaye Pyaare Mustafa Ahlanwwa Sahlan Marhaba
Sub'h Tayba mein hui Bant-ta hai baada Noor ka
Sadqaa lene Noor ka Aaya hai taara Noor ka
Noor har su chha gaya hai Din khushi ka aa gaya
Aaye Pyaare Mustafa Ahlanwwa Sahlan Marhaba
Barwih ke chand ka mujra hai sajdaa Noor ka
Barah burjon se juka ek ek sitaara Noor ka
Noor har su chha gaya hai Din khushi ka aa gaya
Aaye Pyaare Mustafa Ahlanwwa Sahlan Marhaba
Taaj waale dekh kar Tera Imaama Noor ka
Sar jukate hein Ilaahi bol baala Noor ka
Noor har su chha gaya hai Din khushi ka aa gaya
Aaye Pyaare Mustafa Ahlanwwa Sahlan Marhaba
Aye Raza ye Ahmade Noori ka faize Noor hai
Ho gai Meri gazal pad kar kaseeda Noor ka
Noor har su chha gaya hai Din khushi ka aa gaya
Aaye Pyaare Mustafa Ahlanwwa Sahlan Marhaba
Comments
Post a Comment