wah kya baat jashn-e-aaqa ki milaad ho mubarak, milaad ho mubarak marhaba ya mustafa, marhaba ya mustafa jhoom utha dil ke maah-e-noor aaya wah kya baat jashn-e-aaqa ki ye kis shahenshah-e-wala ki aamad aamad hai ye kaunse shah-e-wala ki aamad aamad hai ye aaj taare zameen ki taraf hein kyun maaeel ye aasmaan se pae-ham hai noor kyun naazil wah kya baat jashn-e-aaqa ki rusool unhin ka to mujda sunaane aaye hei unhin ke aane ki khushiyaan manaane aaye hein firishte aaj jo dhoomein machaane aaye hein unhin ke aane ki shadi rachane aaye hein wah kya baat jashn-e-aaqa ki pur-noor hai zamaana, sub'h-e-shab-e-wilaadat parda utha hai kiska, sub'h-e-shab-e-wilaadat aayi nayi huqumat, sikka naya chalega aalam ne rang badla, sub'h-e-shab-e-wilaadat rooh-ul-ameen ne gaada, ka'be ki chhat pe janda ta-'arsh uda pharera, sub'h-e-shab-e-wilaadat pyare rabi-ul-awwal! teri jalak ke sadqe chamka diya naseeba, ...