Posts

Showing posts with the label D

Dare Nabi Par Ye Umar Beetay Lyrics / दर-ए-नबी पर ये उम्र बीते / درِ نبی پر یہ عمر بیتے

dar-e-nabi par ye umar beete, ho hampe lutf-e-dawaam aisa Naat Khwan :  Hafiz Tahir Qadri Hafiz Ahmad Raza Qadri dar-e-nabi par ye umar beete, ho hampe lutf-e-dawaam aisa madine waale kahei.n makaami, ho unke dar pe qayaam aisa dar-e-nabi par ye umar beete, ho hampe lutf-e-dawaam aisa bilaal tujh par nisaar jaau.n, ke khud nabi ne tujhe kharida naseeb ho to naseeb aisa, ghulaam ho to ghulaam aisa dar-e-nabi par ye umar beete, ho hampe lutf-e-dawaam aisa namaaz aqsa mei.n jab padaaee, to ambiya aur rusool ye bole namaaz ho to namaaz aisi, imaam ho to imaam aisa dar-e-nabi par ye umar beete, ho hampe lutf-e-dawaam aisa labo.n pe naam-e-nabi jab aaya, gurez-paa haadaso.n ko paaya jo Taal deta hai mushki...

Dare nabi par pada rahunga Lyrics / दर-ए-नबी पर पड़ा रहूँगा / درِ نبی پر پڑا رہوں گا

dar-e-nabi par pada rahu.nga, pade hi rehne se kaam hoga Naat-Khwaan: Zulfiqar Ali Husaini dar-e-nabi par pada rahu.nga, pade hi rehne se kaam hoga kabhi to qismat khule-gi meri, kabhi to mera salaam hoga dar-e-nabi par pada rahu.nga, pade hi rehne se kaam hoga khilaf-e-maashuk kuchh huwa hai, na koi aashiq se kaam hoga KHuda bhi hoga udhar hi aye dil ! jidhar wo aali makaam hoga dar-e-nabi par pada rahu.nga, pade hi rehne se kaam hoga kiye hi jaaunga 'arz matlab, milega jab tak na dil ka matlab na shaam-e-matlab ki sub.ha hogi, na ye fasaana tamaam hoga dar-e-nabi par pada rahu.nga, pade hi rehne se kaam hoga jo dil se hai maeel-e-payambar, ye us ki pehchaan hai muqarrar ke har dam us be-nawa ke lab par, durood hoga salaam hoga dar-e-nabi par pada rahu.nga, pade hi rehne se kaam hoga isi tawaqqo pe ji raha hu.n, yahi tamanna jila...

दिल में इश्क़-ए-नबी की हो ऐसी लगन / دل میں عشقِ نبی کی ہو ایسی لگن / Dil mein Ishke Nabi ki ho Aisi lagan Lyrics

dil mein ishq-e-nabi ki ho aisi lagan dil mein ishq-e-nabi ki ho aisi lagan rooh tadapti rahe dil machalta rahe zindagi ka maza hai ke har saans se ya muhammad muhammad nikalta rahe ya muhammad muhammad mein kehta raha noor ke motiyon ki ladi ban gayi aayaton se milata raha aayatein fir jo dekha to naate nabi ban gayi jo bhi aansu bahe mere mehboob ke sab ke sab abre rehmat ke chhinte bane chhaa gayi raat jab zulf lehra gayi jab tabassum kiya chaandni ban gayi ye maana ke jannat hai baag-e-haseen khubsurat hai sab khuld ki sarzameen husn-e-jannat ko fir jab sameta gaya sarware ambiya ki gali ban gayi jab chhida tazkira unke rukhsar ka wad-duha padh liya wal qamar keh diya suraton ki tilaawat bhi hoti rahi naat bhi ho gayi baat bhi ban gayi sab se sa'eem zamane mein ma'zoor tha sab se bekas tha bebas tha majboor tha unko reham aa gaya ...

Duniya ka Sabse bada Jashn hai Lyrics / दुनिया का सबसे बड़ा जश्न है / دنیا کا سب سے بڑا جشن ہے

duniya ka sabse bada sabse bada jashn hai Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri assalamu alayk ya ya rasulallah assalamu alayk ya habeebi ya nabiyallah saj gayi hai ye zameen, saj gaya hai aasmaan mustafa ke noor se saj gaya hai kul jahaan marhaba marhaba marhaba ya mustafa salle ala duniya ka sabse bada sabse bada jashn hai mere sarkaar ke milaad ka ye jashn hai aaqa ka jashn hai, maula ka jashn hai pyaare ka jashn hai jashn hai jab baarwi ka chaand zamaane pe chha gaya but gir gaye zameen pe shaitaan ro pada taare bhi joom joom ke qadmon mein gir gaye kaaba bhi mustafa ki salaami ko jhuk gaya saj gayi hai ye zameen, saj gaya hai aasmaan mustafa ke noor se saj gaya hai kul jahaan marhaba marhaba marhaba ya mustafa salle ala duniya ka sabse bada sabse bada jashn hai mere sarkaar ke milaad ka ye jashn hai sabse bada hai jashn khuda ke habeeb ka jinke tu...

Dar-e-Khwaja pe Sawali ko khada rehne do / दर-ए-ख्वाजा पे सवाली को खड़ा रहने दो / درِ خواجہ پہ سوالی کو کھڑا رہنے دو

dar-e-khwaja pe suwali ko khada rehne do dar-e-khwaja pe suwali ko khada rehne do sar nadamat se jhuka hai to jhuka rehne do mujhko mil jaega sadqa mai chala jaunga kasa-e-dil mera kadmon mein pada rehne do khud hi farmaenge mujrim pe wo rehmat ki nazar mujhko khwaja ki adalat mein khada rehne do chhod ke aap ka dar ab mai kahaan jaunga is gada ko isi saaye mein pada rehne do mujhko karna na juda dar se kabhi khwaja ji dil jo deewana bana hai to bana rehne do roz-e-mehshar ye gunahgaar ke kaam aayega warsee rang chhadhha hai to chhadhha rehne do arz karta hoon mai rozana khwaja se khalil apni rehmat se jahaa mera saja rehne do दर-ए-ख्वाजा पे सवाली को खड़ा रहने दो दर-ए-ख्वाजा पे सवाली को खड़ा रहने दो सर नदामत से झुका है तो झुका रहने दो मुझको मिल जाएगा सदक़ा मैं चला जाऊंगा कासा-ए-दिल मेरा क़दमों में पड़ा रहने दो ख़ुद ही फ़रमाएंगे मुझरिम पे वो...

दिलों से ग़म मिटाता है, मुहम्मद नाम ऐसा है / دلوں سے غم مٹاتا ہے محمد نام ایسا ہے / Dilon se gam mitata hai Muhammad naam aisa hai

dilo.n se gam mitaata hai muhammad naam aisa hai dilo.n se gam mitaata hai muhammad naam aisa hai nagar ujade basaata hai muhammad naam aisa hai unhi.n ke naam se paayi fakiro.n ne shahenshahi KHuda se bhi milaata hai, muhammad naam aisa hai unhi.n ke zikr se roshan, rute.n fir laut aati he.n nasibo.n ko jagaata hai muhammad naam aisa hai duroodo.n ki mahek se, mehfile.n aabad rehti he.n meri naate.n sajaata hai, muhammad naam aisa hai mohabbat ke kamal khilte he.n, unko yaad karne se badi khushbue.n laata hai, muhammad naam aisa hai madad haasil hai mujhko, har gadi shaah-e-madina ki meri bigdi banaata hai, muhammad naam aisa hai mai.n fakhri  fikr-e-duniya-aakhirat sab bhul jaata hu.n mujhe jab yaad aata hai, muhammad naam aisa hai दिलों से ग़म मिटाता है, मुहम्मद नाम ऐसा है दिलों से ग़म मिटाता है, मुहम्मद नाम ऐसा है नगर उजड़े बसाता है, मुहम्मद नाम ऐसा है उन्हीं के नाम से पायी फकीरों ने शहंशाही ख़ु...

दिल्ली राजस्थान तुम्हारा या ख़्वाजा / دہلی راجستھان تمہارا یا خواجہ / Delhi Rajasthan Tumhara Ya Khwaja Lyrics

delhi rajasthan tumhaara ya khwaja delhi rajasthan tumhaara ya khwaja sara hindustan tumhaara ya khwaja hind mein navve laakh ko kalma padwaya ham par ye ehsaaan tumhaara ya khwaja sara ana saagar koze mein bhar aaya sunte hi farmaan tumhaara ya khwaja faize madina milta hai ajmer se hi roza hai zee-shaan tumhaara ya khwaja jisne sajaayi khwaja tumhaari ye mehfil kardo beda paar usi ka ya khwaja mujhko bhi tayba ki galiyan dikhlado roza-e-zee shaan tumhaara ya khwaja दिल्ली राजस्थान तुम्हारा या ख़्वाजा दिल्ली राजस्थान तुम्हारा या ख़्वाजा सारा हिंदुस्तान तुम्हारा या ख़्वाजा हिंद में नव्वे लाख को कलमा पढ़वाया हम पर ये एहसान तुम्हारा या ख़्वाजा सारा अना सागर कूज़े में भर आया सुनते ही फ़रमान तुम्हारा या ख़्वाजा फ़ैज़े मदीना मिलता है अजमेर से ही रौज़ा है ज़ी-शान तुम्हारा या ख़्वाजा जिसने सजाई ख़्वाजा तुम्हारी ये महफ़िल कर दो ...

Dayare data se ho kar jo mushk bu aaye Lyrics / दयारे दाता से होकर जो मुश्क़बू आए / دیارِ داتا سے ہو کر جو مشک بو آئے

dayaare daata se ho kar jo mushk bu aaye dayaare daata se ho kar jo mushk bu aaye saba ko chahiye uske qadam ko chhoo aaye ye makaabat dare daata pe kaise pahunchaaun na khush-bayaan hoon na andaaz-e-guftagu aaye ye khwaab hai ke gulaamon mein tere shaamil hoon so ganj-bakhsh ye tabeer hu-ba-hu aaye ba faize daata kamaale sukhan qadam choome jab huzoor-e-daata hamaari bhi guftagu aaye mile wo sham'a ke irfaan-o-aagehi chamke har taare nafas se sadaa-e-huu aaye दयारे दाता से होकर जो मुश्क़ बू आए दयारे दाता से होकर जो मुश्क़ बू आए सबा को चाहिए उसके क़दम को छू आए ये मक़ाबत दरे दाता पे कैसे पहुँचाऊँ ना ख़ुशबयां हूँ ना अंदाज़-ए-गुफ़्तगू आए ये ख़्वाब है कि ग़ुलामों में तेरे शामिल हूँ सो गंज-बख़्श ये ताबीर हू-ब-हू आए बा फ़ैज़े दाता कमाल-ए-सुख़न क़दम चूमें जब हज़ूर-ए-दाता हमारी भी गुफ़्तगू आए मिले वो शम्अ कि इरफ़ान-ओ-आगही चमके हर तारे-नफ़स...

Darpesh ho taiba ka safar kaisa lage ga Lyrics / दरपेश हो तैबा का सफ़र कैसा लगेगा / درپیش ہو طیبہ کا سفر کیسا لگے گا

darpesh ho taiba ka safar kaisa lage ga darpesh ho taiba ka safar kaisa lage ga guzrain jo wahan shaam o sehar kaisa lage ga ae kaash madine mein mujhe maut yun aaye kadmon mein ho sarkar ke sar kaisa lage ga ae pyaare khuda dekhun main sarkar ka jalwa mil jaye dua to jo asar kaisa lage ga allah karam aisa kare tujh pe jahaan mein ae dawat-e-islami teri dhoom machi ho aaqa ka gada hoon ae jahannum tu bhi sun le wo kaise jale jo ke ghulaam-e-madni ho ae kaash main ban jaaun madine ka musaafir phir rothi hui taiba ko baraat chali ho jab door se hai itna haseen gumbad-e-hazra iss paar ye aalam hai udhar kaisa lage ga aa jaayein mere ghar mein agar rahmat-e-aalam main kaisa lagoon ga mera ghar kaisa lage ga taiba ki sa'adat to yun paate hain hazaaron murshid ka saath ho jo safar kaisa lage ga paayi munawwar ne qaza dar pe nabi ke aa jaye ...

Dekhne walon wo lamha wo zamana dekho Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

dekhne waalon! wo lamhaa, wo zamaana dekho dekhne waalon! wo lamhaa, wo zamaana dekho mere sarkaar ka sansaar mein aana dekho aamad-e-saiyyad-e-abraar hai, allah! allah! kitna pur-kaif ye manzar hai suhaana dekho mere sarkaar ka sansaar mein aana dekho jiske sadqe mein banaae hein KHuda ne khalqat aane waale hein wahi kaabe ka kaaba dekho konain banaae hein sarkaar ki khaatir konain ki khaatir tumhein sarkaar banaaya jiske sadqe mein banaae hein KHuda ne khalqat aane waale hein wahi, kaabe ka kaaba dekho aqs-e-shaitaan nazar aayega uske andar tum kabhi munkir-e-milaad ka chehra dekho zulfein wallail hein, mazaar nigaahein unki aur wo shams hein, us noor ka chehra dekho aamina! tere muqaddar ka sitaara chamka noor waalon ka laga ghar tere mela dekho

Dhadkano Tum hi kaho waqt wo kaisa hoga Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

dhadkano.n ! tum hi kaho waqt wo kaisa hoga dhadkano.n ! tum hi kaho waqt wo kaisa hoga saamne aapke jab gumbad-e-khazra hoga aye ajal ! tujhko bhi us waqt thaherna hoga jab mere hontho.n pe zikr-e-shah-e-bat'ha hoga jaae dozakh ki taraf sarwar-e-aalam ka gulam kaise ye josh-e-mashiyyat ko gawaara hoga aa idhar rooh ki har teh mein samo lu.n tujhko aye hawa ! tune to sarkar ko dekha hoga laakh tum umar ibaadat mein guzaaro lekin wo jise chaahenge sajda wohi sajda hoga unka paikar hu.n mujhe khauf nahi.n mehshar mei.n mere sarkar ka daaman mera parda hoga

Dekar khuda ko jaan ki Kimat kharid li Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

dekar KHuda ko jaan ki qeemat kharid li dekar KHuda ko jaan ki qeemat kharid li har aashiq-e-rasool ne jannat kharid li aaqa ne apni zindagi gurbat mein kaat kar duniya ke har garib ki gurbat kharid li asgar ke us tabast mein masoom par nisar jisne yazidiyo.n ki hukumat kharid li jisne nabi ki yaad ko dil mein basa liya samjo ke usne khuld ki raahat kharid li so baar us diwaana-e-sarkar ko salaam jis se zubaida bibi ne jannat kharid li mash-hoor kar diya mujhe aaqa ki naat ne maine nabi ki naat se shohrat kharid li najdi ko haaye sharm ye bilkul muhal hai shaitaan ne har ek ki gairat kharid li mairaj-e-mustafai pe qurbaan jaaiye jisne zameen ke wast azmat kharid li allah ne mustafa ki raza ke liye asad baazar-e-mustafai se ummat kharid li

Durood lab par Khayal dil mein Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

durood lab par, khayal dil mein durood lab par, khayal dil mein  aur ashq aankho.n mein aa rahe hein huzoor ke dar pe ja rahe hein,  to is karine se ja rahe hein rasool-e-akram zameen-e-rab par,  kisi tarha gham nibha rahe hein jahaan-e-taarik mein lahu se,  charag-e-ulfat jala rahe hein charag tera hai noor tera,  badan bhi tera lahu bhi tera ye sab teri milkiyat hai aaqa !  ke hum to karza chuka rahe hein hum apni nafsaaniyat ke chakkar tumhara haq kya ada karenge bas ek tumhara karam hai aaqa ! ke jis pe taqiya laga rahe hein main dair se aa sakunga aaqa ! gunaah ki gathriyaa.n lagi hein ba teri rahmat ke aasre par qadam qadam badte ja rahe hein janaab-e-aadam bhi keh rahe hein madad kisi aur dar se maango kaleem-o-isa bhi mere aaqa ! tumhare jaanib hi aa rahe hein ba-roz-e-mahshar tumhaara mujrim tumhare daaman mein aake chhupta magar wahaa.n auliya jama hein jo shor sun sun ke aa rahe hein main sakht maayus ho chuka tha ke gaus-e-aazam pukaar utthe...

Dekhne ko ya muhammad ! Yun to kya dekha nahin Lyrics / देखने को या मुहम्मद ! यूँ तो क्या देखा नहीं / دیکھنے کو یا محمد ! یوں تو کیا دیکھا نہیں

dekhne ko ya muhammad ! yun to kya dekha nahin ek din jibreel se kehne lage shaah-e-umam tumne dekha hai jahaa.n batlaao to kaise hein hum 'arz ki jibreel ne shaah-e-dee.n ! aye mohtaram ! koi aapsa dekha nahin, koi aapsa dekha nahin dekhne ko ya muhammad ! yun to kya dekha nahin haa.n magar mahboob koi, aapsa dekha nahin dekhne ko ya muhammad ! yun to kya dekha nahin rasool aur bhi aaye jahaan mein lekin koi aapsa dekha nahin, ba-KHuda aapsa dekha nahin dekhne ko ya muhammad ! yun to kya dekha nahin main to kar sakta nahin, jannat ki baatein shoq se wo kare jisne dayaar-e-mustafa dekha nahin dekhne ko ya muhammad ! yun to kya dekha nahin meem ka parda hata kar, wo nigaah-e-shoq se  mustafa ko dekhlein, jisne KHuda dekha nahin dekhne ko ya muhammad ! yun to kya dekha nahin ek se ek baD kar hasee.n dekhe magar, ya mustafa ! tum se baD kar husna waala, ...

Dare Mustafa ka faqeer hun Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

dar-e-mustafa ka faqeer hu.n dar-e-mustafa ka faqeer hu.n, wohi khaam jabeen-e-niyaaz hai hei.n wahi.n ke tukde naseeb mei.n, mujhe apne bakht pe naaz hai jo bula-bula ke nawaaz de, jo gada ko daulat-e-naaz de ba-juz unke kaun hai dusra, ke jo aisa banda nawaaz hai dar-e-mustafa pe jo aa gira, wo sambhal gaya wo sanwar gaya sabhi marhalo.n se guzar gaya, ke jise teri zaat pe naaz hai mujje zauq-e-'ishqe bilaal de, wohi rang mujhpe bhi daal de tu ghani hai sadqa-e-aal de, tere dar pe joli daraaz hai dar-e-mustafa se koi gada, kabhi na-muraad nahin gaya wohi dar hai KHalid-e-be-nawa, jo gunahgaaron pe baaz hai dar-e-mustafa ka faqeer hu.n. wohi khaam jabeen-e-niyaaz hai hei.n wahi.n ke tukde naseeb mei.n, mujhe apne bakht pe naaz hai

Dilbaro Dildar Umar Lyrics / दिलबर-ओ-दिलदार उमर /in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

dilbar-o-dildaar umar, har dil ka pyaar umar jo dar kaabe ka khulwaae, use faarooq kehte hein jo aaye aur chha jaae, use faarooq kehte hein umar umar umar umar umar umar dilbar-o-dildaar umar, har dil ka pyaar umar khushbu bahaar umar, munkir pe waar umar nabi ke deen ka shahkaar umar jari hai sher hai jarrar umar dilbar umar umar, mera rahbar umar nabi maange jise wo hai jarraar umar nabi ke deen ka shahkaar umar jari hai sher hai jarrar umar daar-e-arkam mein jabhi, baithe mere the nabi hua ye shor numaaya sahaaba kehne lage the usi waqt sabhi hai kisi shakhs ka aana hein leke aa rahe talwaar umar jari hai sher hai jarrar umar dilbar umar umar, mera rahbar umar nabi maange jise wo hai jarraar umar nabi ke deen ka shahkaar umar jari hai sher hai jarrar umar mere aaqa ne kaha, maine maangi hai dua hai us dua ka natija nahin khud aa raha wo, hai use bheja gaya meri dua ka natija ban ke aaya hai mera yaar umar jari hai sher hai jarrar umar dilbar umar umar, mera rahbar umar nabi maange...

Duniya ke ae musafir Manzil teri kabar hai Lyrics

Roman(ENG): Duniya ke Aye Musafir ! Manzil Teri qabar hai Tay kar raha hai jo Tu, Do Din ka ye safar hai Jab se bani hai Duniya, Lakhon karodon aaye Baqi raha na koi, mitti mein sab smaaye Is baat ko na bhulo sab ka yahi hashar hai Manzil Teri qabar hai Duniya ke Aye Musafir ! Ye aalishan bangale, kisi kaam ke nahi hai Mehlon mein sone waale, mitti mein so rahe hai Do gaz zamee.n ka tukda, chhota sa Tera ghar hai Manzil Teri qabar hai Duniya ke Aye Musafir ! Ankho.n se Tune Apni dekhe kai janaaze Hatho.n se Tune apne dafnaae kitne murde Anjaam se Tu apne kyu.n itna be-khabar hai Manzil Teri qabar hai Duniya ke Aye Musafir ! Duniya ke Aye Musafir ! Manzil Teri qabar hai Tay kar raha hai jo Tu, Do Din ka ye safar hai Naat Khvan : Abdul raoof Rufi

Dalo Dalo Nabi par Duroodon ke haar dalo || डालो डालो नबी पर दुरूदों के हार || Lyrics

Roman(ENG): Dalo Dalo Nabi par Duroodon ke haar  Bhejo Bhejo Nabi par Duroodo Salam  Hai wahi Saahibe Taajo Meraaj hein Ham Gulaamon ki Sarkaar hi laaj hein Hein wohi Aasmanon ke naksho nigaar Dalo Dalo Nabi par Duroodon ke haar  Bhejo Bhejo Nabi par Duroodo Salam  Wo Jamilu-shiyam Wo shafi-ul Umam Sahibe jood aur baadshahe karam Jinka Isme giraami bhi hai shaahkar Dalo Dalo Nabi par Duroodon ke haar  Bhejo Bhejo Nabi par Duroodo Salam  Jinpe bheje Khuda khud Duroodo Salaam Zikr ko Jinke Rabb ne diya hai Dawaam Jo hue Rehmate Haq ke aayina daar Dalo Dalo Nabi par Duroodon ke haar  Bhejo Bhejo Nabi par Duroodo Salam  Bazme Qauno Makaan ko Sanwaara gaya Khub har ek shay ko nikhaara gaya Phir yahaan aaye Mehboobe Parwardigaar Dalo Dalo Nabi par Duroodon ke haar  Bhejo Bhejo Nabi par Duroodo Salam  Allah Allah Tashreef laaye Nabi Wo Nabi Jinpe hai Khatm Paygambari Jinpe hai Saari Duniya ka Daaro Madaar Dalo Dalo Nabi par Duroodon ...

Dhoondhate Reh Jaoge Lyrics || ढूंढते रह जाओगे || Roman(ENG) & हिंदी (HINDI)

Image
Roman(ENG): Nabi ka saani nahi hai Dhoondhte Reh Jaaoge Noor ka aesa saraapa Dhoondhte Reh Jaaoge Saaya Mere Mustafa ka Dhoondhte Reh Jaaoge Naat ki aadat Hamein Jannat talak le jaaegi Tum kitabon mein hawaala Dhoondhate Reh Jaaoge Shaamiyaana-E-Muhammad hashr mein dega panaah Munkiron Us Din bhi saaya Dhoondhate Reh Jaaoge Sar kataae Ghar lutaae Ahle Baite Mustafa Hashr tak Aesa gharaana Dhoondhate Reh Jaaoge Jo bhi gustaakhi karega Aayesha ki shaan mein Is tarha gaadeinge zinda Dhoondhate Reh Jaaoge Hazrate Shabbir ne Sajda jo karbal mein kiya Hai ye daawa aesa sajda Dhoondhate Reh Jaaoge Mat jalo Gausul wara se warna fir Roze Jaza Munh chhupaane ka thikaana Dhoondhate Reh Jaoge Lautna Taybaah se Kaatib Aashiqon se puchhiye Sabz Gumbad ka nazaara Dhoondhate Reh Jaoge हिंदी (HINDI): नबी का सानी नहीं है ढूंढते रह जाओगे नूर का ऐसा सरापा ढूंढते रह जाओगे साया मेरे मुस्तफा का ढूंढते रह जाओगे नात की आदत हमें जन्नत तलाक ले जाएगी तुम किताबों में हवाला...

Deewanon Jumte rehna Lyrics || Gulam Mustafa Qadri || Roman(Eng) & हिंदी (Hindi)

Roman(Eng): Jumte rehnaa Jumte rehnaa Jumte rehnaa Jumte rehnaa Jumte rehnaa  Jumte rehnaa Baharon Phool barsaao , Sitaron Noor barsaao Ke Rehmat ki gadi hai Be karaaron Jumte rehnaa Jumte rehnaa Jumte rehnaa Jumte rehnaa Jumte rehnaa  Jumte rehnaa Chalo Mehfil sajaate hein Chalo jande lagaate hein Nabi ke Aashikon Galiyaan Sawaaro Jumte rehnaa Jumte rehnaa Jumte rehnaa Jumte rehnaa Jumte rehnaa  Jumte rehnaa Har Ek shay gungunaati hai , Fazaa bhi muskuraati hai Charaagaan ghar pe karte , Deen Daaron Jumte rehnaa Jumte rehnaa Jumte rehnaa Jumte rehnaa Jumte rehnaa  Jumte rehnaa Aye Bibi Aamena Tum ko Mubaarak Aamade Aaqa Ye keh kar wirde Dil se Jaan nisaaron ! Jumte rehnaa Jumte rehnaa Jumte rehnaa Jumte rehnaa Jumte rehnaa  Jumte rehnaa Sajaa kar Masjidein Apni Zamaane ko bataa daalo Khushi Sarkaar ki hai Taabe Daaron ! Jumte rehnaa Jumte rehnaa Jumte rehnaa Jumte rehnaa Jumte rehnaa  Jumte rehnaa Gulaame Mustafa hun mein Shara...

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics / क्या मुहम्मद का प्यारा नहीं हूँ / کیا محمد کا پیارا نہیں ہوں

Ya Husain Ibne Ali Lyrics / या हुसैन इब्ने अली / یا حسین ابن علی in English Hindi Urdu

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar Lyrics / मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर / مرحبا مرحبا، اے علی کے پسر

अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन / اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلا سَیَّدْنا و مَولانا مُحَمّدٍ / Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammadin

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics / शाह सवार-ए-कर्बला की शाह सवारी को सलाम / شاہ سوارِ کربلا کی شاہ سواری کو سلام

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics / उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम / اس حسین ابنِ حیدر پہ لاکھوں سلام

Al Madad Peerane Peer Gause Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर / ہم نے آنکھوں سے دیکھا نہیں ہے مگر

husain zindabaad zindabaad rahega || हुसैन ज़िंदाबाद ज़िंदाबाद रहेगा || حسین زندہ باد زندہ باد رہیگا || Lyrics