Dare nabi par pada rahunga Lyrics || Zulfiqar Ali Husaini
Pade hi rehne se kaam hoga
Kabhi to qismat khule gi meri
Kabhi to mera salam hoga
Khilafe Mehbub kuchh huwa hai
Na koi aashiq se kaam hoga
Khuda bhi hoga udhar hi aye dil
Jidhar wo Aali Maqam hoga
Kiye hi jaunga araz matlab
Milega jab tak na dil ka matlab
Na shaame matlab ki sub'ha hogi
Na yeh fasana tamam hoga
Jo dil se hai maiile Payambar
Yeh is ki pehchan hai muqarrar
Ke har dam is be-nawa ke lab par
Durood hoga Salam hoga
Isi tawaqqo pe ji raha hun
Yehi tamanna jila rahi hai
Nigahe lutfo karam na hogi
To Mujko jina haram hoga
Dare nabi par pada rahoon ga
Pade hi rehne se kaam hoga
Kabhi to qismat khule gi meri
Kabhi to mera salam hoga
Comments
Post a Comment