Posts

Showing posts from July, 2021

Bolo Labbayk Umar Manqabat Lyrics || Hafiz Tahir Qadri

Image
Hmm... Umar... Umar... Umar... Umar... Umar... Umar...  Monin ki Jaan Umar Shahenshah Umar , Umar... Umar... Umar... Baadshah Umar , Umar... Umar... Umar... Aalijaah Umar , Umar... Umar... Umar... Waah Waah Umar , Umar... Umar... Umar... Bolo Labbayk Umar Bolo Labbayk Umar Bolo Labbayk Umar Bolo Labbayk Umar Kya hai Imaan Ye batate hein Ishke Sarwar Hamein sikhate hein Faisala Jo na maane Aaqa ka Uski gardan Umar udhate hein Aap Ameerul Momineen Faruke Aazam Bolo Labbayk Umar Bolo Labbayk Umar Sayyido Sadaat Umar... Umar... Umar... Sacche Sardar Umar... Umar... Umar... Haq ki hai Talwar Umar... Umar... Umar... Baatil pe Ye yalgaar Umar... Umar... Umar... Wafa ka Alamdaar Umar... Umar... Umar... Nabi ka Pehredaar Umar... Umar... Umar... Haidar ko Jis se Pyaar Umar... Umar... Umar... Nabi ka Saccha Yaar Umar... Umar... Umar... Nabi ka Yaar Umar Pyaar hi Pyaar Umar Aala Kirdaar Umar Mera Sardaar Umar Sukhe Dariya-e-Neel ka Kissa Shaane Hazrat Umar ka hai Hissa Ek hi Hukm se huaa jaari Ye

Mustafa ki Jaan hai Usman hai Lyrics hindi & english || Hafiz Tahir Qadri

Image
English Paykare Sharmo Haya Aap Zunnurayn hein Mustafa ke ba-wafa Aap Zunnurayn hein Mustafa ki Jaan hai Usman hai Deen ki Pehchan hai Usman hai Baade Siddiqo Umar As'hab mein Jiski Unchi Shan hai Usman hai Mustafa ki Jaan hai Usman hai Deen ki Pehchan hai Usman hai Ya Ameerul Momineen Ya Ameerul Momineen Raahe Haq par Jisne Apna Maalo Zar Kar diya Qurban hai Usman hai Mustafa ki Jaan hai Usman hai Deen ki Pehchan hai Usman hai Waqte Rukhsat Hath mein Quraan tha Qari-e-Quraan hai Usman hai Paykare Sharmo Haya Aap Zunnurayn hein Mustafa ke ba-wafa Aap Zunnurayn hein Khidmate Quraan se paya laqab Jaam-e-Quraan hai Usman hai Mustafa ki Jaan hai Usman hai Deen ki Pehchan hai Usman hai Jiski Ulfat Ahle Sunnat ke liye Zeenate Imaan hai Usman hai Mustafa ki Jaan hai Usman hai Deen ki Pehchan hai Usman hai Ya Ameerul Momineen Ya Ameerul Momineen Sare Aalam mein kahin bhi jaeeye Har taraf Faizan hai Usman hai Mustafa ki Jaan hai Usman hai Deen ki Pehchan hai Usman hai Kash Razwi Aapka Dar d

Haya ka Paykar Mera Gani hai Lyrics

Zunnurayn  Zunnurayn  As'habe Nabi Hamzulfe Ali Usmane Gani Usmane Gani Damade Nabi Damade Nabi Usmane Gani Usmane Gani Aaqa ne Jinhe do betiyan di Usmane Gani Usmane Gani Usmane Gani Usmane Gani Khalifa Salis Khalifa Rashid Nabi ka Dilbar Mera Gani hai Siddiq Umar aur Ali ka sathi Haya ka Paykar Mera Gani hai Wahi hai Nashir Quraan ka Logon Usi ki khatir hai Bay'ate Rizwan Wahi hai Jame-e-Quran ka bhi Makeene Jannat hai Mera Usman Wahi hai Hamzulfe Maula Haidar Sakha ka Mehwar Mera Gani hai Siddiq Umar aur Ali ka sathi Haya ka Paykar Mera Gani hai Khalifa Salis Khalifa Rashid Nabi ka Dilbar Mera Gani hai Siddiq Umar aur Ali ka sathi Haya ka Paykar Mera Gani hai Rafeeke Jannat Nabi ka Usman Nabi ka sathi tha Is Jahan mein Isi ne Aaqa pe Sab lutaya Karun kya Uski sakha bayan mein Jahan mein Jannat ki di bisharat Damade Sarwar Mera Gani hai Siddiq Umar aur Ali ka sathi Haya ka Paykar Mera Gani hai Khalifa Salis Khalifa Rashid Nabi ka Dilbar Mera Gani hai Siddiq Umar aur Ali ka sa

Badshah Husain Husain Badshah Husain Lyrics || Nadeem Sarwar

Badshah Husain Husain Badshah Husain Badshah Husain Husain Badshah Husain Ye Deen Panahi ka Sharaf kisko mila hai Ye Kiska Lakab hai Jo Sare Arsh likha hai Badshah Husain Husain Badshah Husain Badshah Husain Husain Badshah Husain Ajmer ke Khwaja ne Ye Sach khub kaha hai La-Rayb ke Shabbir hi Kalme ki baqa hai Badshah Husain Husain Badshah Husain Badshah Husain Husain Badshah Husain Shah Ast Husain Badshah Ast Husain Deen Ast Husain Deen Panah Ast Husain Sar daad na daad Dast dar Daste Yazeed Haqqaqe Bina-e-Lailaha Ast Husain Badshah Husain Husain Badshah Husain Badshah Husain Husain Badshah Husain Karbo Bala Ishke Khuda Ishk ka Tu Sultan Husain Shah Husain Badshah Husain Deen Ast Husain Deen Panah Ast Husain Maula badha kaam kiya Deene Khuda aam kiya Kar na saka koi kabhi Tune wahi kaam kiya Wada wafa karke raha Haq pe jiya Sar na juka Sabse badha Mera Khuda karta raha Aelan Husain Shah Husain Badshah Husain Deen Ast Husain Deen Panah Ast Husain Karbo Bala Ishke Khuda Ishk ka Tu Sultan

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ya Huasain Ya Husain Ya Husain Ya Huasain Ya Husain Mera Nana Nabi Meri Maa Sayyida Mera Baba Ali Mera Bhai Hasan Ham hi hein Panjatan Ham hi hein Panjatan Meri Kya hai Khata Meri Kya hai Khata Meri Kya hai Khata Meri Kya hai Khata Mujpe kyun band karte ho paani Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Kya Mein Zehra ka jaaya nahin hun Kya Nabi ka Nawasa nahin hun Mujpe kyun band karte ho paani Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Mere Nana ne Kalma sikhaya Sur Quraan Tumko sunaaya Kya Mein Nana ka saya nahin hun Kya Nabi ka Nawasa nahin hun Mujpe kyun band karte ho paani Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Wo Madina Jahan Mera Ghar hai Aur Masjid mein Us ghar ka dar hai Kya Mein Us ghar mein khela nahin hun Kya Nabi ka Nawasa nahin hun Mujpe kyun band karte ho paani Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Chakkiyan Pees kar Maa ne paala Mujko Nana ne jhula jhulaya Apna bachpan Mein bhula nahin hun Kya Nabi ka Nawasa nahin hun Mujpe kyun band karte ho paani Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Kamli wale k

Kya Aur thikana hai Tayba Meri Manzil hai Lyrics || Sajid Qadri

Kya Aur thikana hai Tayba Meri Manzil hai Tayba Mera Rasta hai Tayba Meri Manzil hai Aaqa ke Paseene ki Khushbu hai Madine mein Wo Shaher Mahekta hai Tayba Meri Manzil hai Sab chhod gaye Mujko Ab koi nahin Mera Bas Ek Sahara hai Tayba Meri Manzil hai Wo Shaher hai Khwabon mein Wo Shaher hai Yaadon mein Us Shaher ka Sapna hai Tayba Meri Manzil hai Jis Shaher ki matti bhi Zakhmon ki Dawa thehri Har gham ka madawa hai Tayba Meri Manzil hai Tum dhundh lo Duniya mein Gumbad hai Koi aesa Kya Gumbade Khazra hai Tayba Meri Manzil hai Chahat hai Ujagar ki Is Raah pe mar jaaye Jahan Roza-e-Zahra hai Tayba Meri Manzil hai Kya Aur thikana hai Tayba Meri Manzil hai Tayba Mera Rasta hai Tayba Meri Manzil hai

Bakhte Khufta ne Muje Roze pe jaane na diya Lyrics

Bakhte Khufta ne Muje Roze pe jaane na diya Chashmo Dil Seene kaleje se lagane na diya Aah Kismat Muje Duniya ke ghamon ne roka Haaye Taqdeer ke Tayba Muje jaane na diya Paaon thak jaate agar Paaon banata Sar ko Sar ke bal jaata Magar zauf ne jaane na diya Sar to Sar jaan se jaane ki Muje hasrat hai Maut ne haaye Muje Jaan se Jaane na diya Sharbate deed ne aur aag lagadi Dil mein Tapashe Dil ko badhaya hai bujane na diya Ab kahan jaayega Naqsha Tera Mere Dil se Teh mein rakkha hai Ise Dilne gumane na diya Sajda karta Jo Muje Iski Ijazat hoti Kya karun Izan Muje Iska Khuda ne na diya Mere Aamal ka badla to Jahannam hi tha Mein to jaata Muje Sarkar ne jaane na diya Mere aamale Siyah ne kiya jeena doobar Zaher khata Tere Irshad ne khane na diya Nafse Badkar ne Dil par Ye Qiyamat todi Amale Nek kiya bhi to chhupane na diya Aur chamakti si Gazal koi padho Aye Noori Rang Apna Abhi jamne Shoaraa ne na diya

Qurbani ke Din aaye Nasheed Lyrics || Tahir Qadri sons

Qurbani ke Din aaye Khushiyan sath mein le aaye Haan Haan Bakra Eid hai Ye to badhi Eid hai Qurbani Qurbani Har Momin ki Pahechan hai Qurbani ke Din aaye Khushiyan sath mein le aaye Allah ki tofiq se Ham gaaye bakra le aaye Ham Dil se Ham Dil se Qurbani karenge Haan Haan Bakra Eid hai Ye to badhi Eid hai Rab Ta'ala ke liye qurbani mein Ikhlas ho Kash Hamse ho kabhi na riya Qurbani mein Qurbani ke Din aaye Khushiyan sath mein le aaye Allah ki tofiq se Ham gaaye bakra le aaye Ham Dil se Ham Dil se Qurbani karenge Gaaye aayi bakra aaya baccha baccha kehta hai Hoti hai Inke labon par Ye sada Qurbani mein Qurbani ke Din aaye Khushiyan sath mein le aaye Allah ki tofiq se Ham gaaye bakra le aaye Ham Dil se Ham Dil se Qurbani karenge Haan Haan Bakra Eid hai Ye to badhi Eid hai Ghost miskinon Yateemon ko bhi dena hai zaroor Paaoge Is neki se Rab ki riza Qurbani mein Qurbani ke Din aaye Khushiyan sath mein le aaye Allah ki tofiq se Ham gaaye bakra le aaye Ham Dil se Ham Dil se Qurbani kareng

Jo Lamhe the Sukoon ke Sab Madine mein guzaar aaye Lyrics || Owais Qadri

Jo Lamhe the Sukoon ke Sab Madine mein guzaar aaye Dile Muztar Watan mein ab Tuje kaise karar aaye Khazan ko hukm hai takheer na ho Tayba ki galiyon mein Ijazat hai naseem aaye Saba aaye Bahar aaye Ye basti Ahle Dil ki aur Diwanon ki basti hai Gaye Jitne Khirad Nazaan Wo Daman Taar Taar aaye Jabeen ho Unke Dar par Hath mein Roze ki Jaali ho Ye Lamhe Zindagi mein Aye Khuda fir baar baar aaye Jabeen hai Inke Qadmon mein Hath mein Daman hai Aaqa ka Ye Lamhe Zindagi mein Aye Khuda fir baar baar aaye Gire hein Unke Qadmon par Bose Qadmon ke lete hein Ye Lamhe Zindagi mein Aye Khuda fir baar baar aaye Qalam Jabse hua hai kham Adeeb Aaqa ki mid'hat mein Bade Rangeen hue mazmoon Bade Naksho Nigar aaye

Hajj par bula Maula Dua Lyrics || Hafiz Tahir Qadri

Gilafe Khana-e-Kaaba tha Mere Hathon mein Khuda se Arzo guzarish ki Intehaon mein tha Tawaf karta tha Parwana-war Kaabe ka Jahane Arzo Sama Jaise Mere paaon mein tha Hateem mein Mere Sajdon ki Kayfiyat thi ajab Jabee Zameen pe thi Zahen Kehkashaon mein tha Dare Karam pe Sada de raha tha Ashkon se Jo Multazam pe khade the Mein Un gadaon mein tha Muje yakeen hai Mein Fir bulaya Jaunga Ke Ye Sawal bhi Shamil Meri Duaon mein tha Ab Raste khulein Pahunchun Mein Ya Khuda Hajj par bula Maula Kaaba dikha Maula Ya Khuda Bahere Muhammad Tu Muje Hajj pe bula Kash Mein bhi dekh lun Aa kar haseen Kaaba Tera Hajj par bula Maula Kaaba dikha Maula Kash aa jaye bulawa Us Mubarak Shaher se Hai Jahan par Turbate Khairul Bashar Jalwa-numa Hajj par bula Maula Kaaba dikha Maula Ab Raste khulein Pahunchun Mein Ya Khuda Ya Khuda Jab dekh lunga Mein Tera Pyara Haram Jaunga Fir Hajiyon ke Sath Shahere Mustafa Hajj par bula Maula Kaaba dikha Maula Ab Raste khulein Pahunchun Mein Ya Khuda Ilahi Fir dekhade Wo Pya

Labbayk Allahumma Labbayk Nasheed Lyrics || Owais Raza Qadri

Labbayk Allahumma Labbayk  Labbayk La'Shareek Laka Labbayk Innal Hamd Wanne'ymat  Lak Wal Mulk LaShareek Lak Nasib par hai Wo aaj nazaan  Jinhe Sharaf Hajj ka mil raha hai Mina ki janib rawan dawan hai  Labon pe Labbayk ki Sada hai Labbayk Allahumma Labbayk  Labbayk La'Shareek Laka Labbayk Innal Hamd Wanne'ymat  Lak Wal Mulk LaShareek Lak Ba-chashme nam ghum Koi Dua mein To koi masroof hai Sana mein Khuda ke Mehman hein Mina mein  Ajeeb Kayfo Suroor sa hai Labbayk Allahumma Labbayk  Labbayk La'Shareek Laka Labbayk Innal Hamd Wanne'ymat  Lak Wal Mulk LaShareek Lak Qubool kyun na ho ab Duaein  Mili Muqaddar se ye Fazaein Muaaf Uski hein Sab Khataein  Jo Aaj Arfat mein khada hai Labbayk Allahumma Labbayk  Labbayk La'Shareek Laka Labbayk Innal Hamd Wanne'ymat  Lak Wal Mulk LaShareek Lak Wukufe Arfat se banke Kundan  Chale hein Muzdalifa Haji Hajjan Mehak raha hai Dilon ka Gulshan  Khushi se Chehra damak raha hai Labbayk Allahumma Labbayk  Labbayk La'Shar

Khuda Mujse Maa ki Mahobbat na chhine Lyrics

Khuda Mujse Maa ki Mahobbat na chhine Agar chhin'na hai Zameen chhin le Zameen chhin le aasman chhin le Mere Sar ki bas ek Ye chhat na chhine Agar Maa na hoti Jahan mein na ata Jo aanchal na hota kahan Sar chhupata Mera Laal keh ke bulati hai Mujko In honton ki Mere Hansi chhin le Ke Gham deke Mujko Khushi chhin le Yehi Ek bas Mujse Daulat na chhine Khuda Mujse Maa ki Mahobbat na chhine Agar Maa ka Sar pe nahin hath hoga To fir kaun hai jo Mere Sath hoga Kahan Munh chhupa kar roya karunga To fir kiski godi mein soya karunga Mere samne Maa ki Jaan chhin karke Meri Khushnuma Dastan chhin karke Mera Josh aur Meri Himmat na chhine Khuda Mujse Maa ki Mahobbat na chhine

Mera Khuda badha hai Lyrics || Ayisha Abdul Basith

Ye Mat kaho Khuda se Meri Mushkilein badhi hein Ye Mushkilon se keh do Mera Khuda badha hai Aati hei aandhiyan to Kar Unka Khair Makhdam Tufan se ladhne , Khuda ne Tuje gada hai Ye Mat kaho Khuda se Meri Mushkilein badhi hein Ye Mushkilon se keh do Mera Khuda badha hai Agni(fire) mein tapke Sona(gold) hai aur bhi nikharta Durgam ko paar karke , Himalay koi chadha hai Layegi rang mehnat aakhir Tumhari ek din Hoga wishal darkhat wo beej jo padha hai Ye Mat kaho Khuda se Meri Mushkilein badhi hein Ye Mushkilon se keh do Mera Khuda badha hai

Aye Shaaf-e-Umam Shahe Jee Jaah le Khabar

Aye Shaaf-e-Umam Shahe Jee Jaah le Khabar Lillah le Khabar Meri Lillah le Khabar Dariya ka Josh Naao na Beda na Na-Khuda Mein dooba Tu kahan hai Mere Shah le Khabar Manzil Kadee hai Raat Andheri Mein na balad Aye Khizr le Khabar Meri Aye Maah le Khabar Pahunche Pahunchne waale to Manzil Magar Shaha Unki Jo thak ke baithe Sare Raah le Khabar Jangal Darindon ka hai Mein be-yaar Shab Kareeb Ghere hein Chaar Simt se Badhkhwah le Khabar Manzil Nayi Azeez Judaa Log Nashanas Toota hai Kohe Gham mein Pare kaah le Khabar Wo Sakhthiyan Suwaal ki Wo Sooratein Muheeb Aye Ghumzadon ke haal se Aagah le Khabar Mujrim ko Bargahe Adalat mein Laaye hein Takta bai be-kasi mein Teri Raah le Khabar Ahle Amal ko Unke Amal kaam Aayenge Mera hai Koun Tere Siwa Aah le Khabar Maana ke Sakht Mujrimo na-kaara hai RAZA Tera hi to hai Banda-e-Dargah le Khabar

IMAM MUSA KAZIM || MANQABAT || HAFIZ TAHIR QADRI

Image
Ya Imame Musa Kazim Ya Imame Musa Kazim Ishq hai Ham par Jinka Lazim Musa Kazim Musa Kazim Ham hein Jinke Dar ke Mulazim Musa Kazim Musa Kazim Ishq hai Ham par Jinka Lazim Musa Kazim Musa Kazim Aale Nabi se Bugzo Adawat Karne walon par ho la'anat Gharq hue hein Tere Shatim Musa Kazim Musa Kazim Ishq hai Ham par Jinka Lazim Musa Kazim Musa Kazim Joodo sakha hai Shan Tumhari Afwo Karam hai Kaam Tumhara Ham bhi rahenge Saeel Daeem Musa Kazim Musa Kazim Ishq hai Ham par Jinka Lazim Musa Kazim Musa Kazim Jiska Koi Kaam ruka ho Mushkil Kaisi sar pe khadi ho Aao Ujagar ban kar Khadim Musa Kazim Musa Kazim Ishq hai Ham par Jinka Lazim Musa Kazim Musa Kazim Naat Khwan :  Hafiz Tahir Qadri Click Here to view all naats of Hafiz Tahir Qadri

Milad Rahy Ga - Rabi ul Awal Naat 2020 || Haifz Tahir Qadri

Image
Koi Gali aesi nahin Jo na saji ho Koi bhi Ghar aesa nahin Jo na saja ho Mehfilein Durood ki Niyaz Nabi Paak ki Sharbat ki Sabeelein Maula ne ata ki Nabi Nabi Nabi Nabi Nabi wird rahega Milad rahega Milad rahega Aaqaki Mahobat mein Ghar baar sajayein Chalo Sarkar ka Milad chalo milke manayein Sarkar ka Milad chalo milke manayein Jab talak dam mei hai dam Muje Maula ki Kasam Meri naslon mein chalega Ye ruka hai na rukega Milad rahega Milad rahega Milad rahega Milad rahega Sadaein Duroodon ki aati rahengi Jinhein sun ke Dil Shaad hota rahega Khuda Ahle Sunnat ko aabad rakkhe Muhammad ka Milad hota rahega Aaye Mere Mustafa Marhaba Ya Mustafa Aaj hai Sab ki sada Marhaba Ya Mustafa Badshahe Do Jahan Marhaba Ya Mustafa Tum sa koi hai kahan Marhaba Ya Mustafa Assalam Aye Jaane Jaan Marhaba Ya Mustafa Keh rahe hein Inso Jaan Marhaba Ya Mustafa Sara Zaman kahe Aaj koi na ruke Sans chale ya ruke Na'ra ye lagta rahe Marhaba Ya Mustafa Char Yaron ki Sada Marhaba Ya Mustafa Ahle Bayt ne kaha Mar

Mein to Aaqa Huzur Aapka hun Lyrics || Asad Attari

Mein to Aaqa Huzur Aapka hun Ek Deewana Huzur Aapka hun Apne Qadmon dijiye dhowan Ek Mangta Huzur Aapka hun Mein to Aaqa Huzur Aapka hun Ek Deewana Huzur Aapka hun Hai Tamanna rahun Madine mein De Ikaman Huzur Aapka hun Mein to Aaqa Huzur Aapka hun Ek Deewana Huzur Aapka hun Mujko Hasrat hai Deed ki Aaqa Ek Shayda Huzur Aapka hun Mein to Aaqa Huzur Aapka hun Ek Deewana Huzur Aapka hun Maut Aaye Muje Madine mein Naamlewa Huzur Aapka hun Mein to Aaqa Huzur Aapka hun Ek Deewana Huzur Aapka hun Mere Aaqa Meri Lahad mein bhi Ho ujala Huzur Aapka hun Mein to Aaqa Huzur Aapka hun Ek Deewana Huzur Aapka hun Maara Maara jahan mein firta hun Besahara Huzur Aapka hun Meine gaflat mein Umar kaati hai Laaj rakhna Huzur Aapka hun Mein to Aaqa Huzur Aapka hun Ek Deewana Huzur Aapka hun Muj Siyakar ko Sare Mehshar Dena Saya Huzur Aapka hun Mein to Aaqa Huzur Aapka hun Ek Deewana Huzur Aapka hun Faiz ki bheek de Mudassir ko Ek banda Huzur Aapka hun Mein to Aaqa Huzur Aapka hun Ek Deewana Huzur Aapka hu

Haq hai Allah Sach hai Wallah Lyrics || Huda Sisters

Roman (Eng) : Ye Duniya Ek Madarsa hai Aur Ham sab Talib-e-Ilm Mu'allim sirf Ek Zaat hai Haqqe Ta'ala Wo Jiska Jaise Chaahta hai Imtehan leta hai Aur Apne Khaas bandon ko Is Imtihaan ke zariye Kundan banaata hai Har kisi ko Apna Apna Imtihaan dena hai Allah Har Imtihan ke baad Tumhe Inaam dega Haq hai Allah, Sach hai Wallah Haq hai Allah, Sach hai Wallah Ye Duniya hai Ek Madarsa Aur Ham sab Taalibe Ilm hein Mu'allim sirf Ek Allah hai Jiska chaahe Imtihaan le Khas Apne Bandon ko chun ke Unka Imtihaan leke Kundan Unko bana deta hai Imtihaan kab Karde zaari Rakkho Apni sab tayyari Imtihan ke baad Inaam mile Haq hai Allah, Sach hai Wallah Haq hai Allah, Sach hai Wallah Jante ho Kulhaadi Kaise banaayi jati hai Jee haan Acchhi tarha Faulad ko khub zarb laga kar chot maar kar Is Shakal mein dhaala jata hai Isi tarha kaankoon dhat ko Aur chamda-saz khal ko banaata hai Isi tarha Agar ye Tumhari Talwaar Aag mein na dali jaaye To fir ye sirf lohe ka ek tukda hai Haq hai Allah, Sach ha

Lajpal Ali Manqabat Lyrics || Asad Raza Attari

Kabhi Diwaar hilti hai, Kabhi Dar kaamp jaata hai Ali ka Naam sun kar Ab bhi Khaibar kamp jata hai Haidar Karam.... Haidar Karam.... Lajpal Ali... Lajpal Ali... Lajpal Ali... Zarb Teri Zarbe Haq hai Quwwate Parwardigar Lajpal Ali... Lajpal Ali... Lajpal Ali... Lajpal Ali... Sitam ke Mukaabil Madadgar Ali Ali Allah ke Sheron ka Sardaar Ali Ali Jab Jab ho Mushkil ho Madadgaar Ali Ali Khaibar ho Khandak ho Har baar Ali Ali Ali Rehnuma hai Sahibe Zulfikar Waliyan de Siran da hai Taaj Ali Ali Momina di bas ae Meraaj Ali Ali Jena da na koi, Ali ona da Bharam Maula Maula Ali Maula Lajpal Ali... Lajpal Ali... Lajpal Ali... Lajpal Ali... Islaam ke Daaman mein Inki Kya Shaan hai Ek Zarbe Abdullahi hai Ek Sajda-e-Shabbiri Haidar Karam, Haidar ata, Har dard ki Haidar Dawa Rehnuma Hamare Ali hein Abu Turab Hein Raaze Wahdat ki Haidar hein Khuli Kitab Ali hein Wilaayat ka Pehla Kareena Tasawwuf Samundar Ali hein Safeena Ali Peshwa hein Saahibe Asra Lajpal Ali... Lajpal Ali... Lajpal Ali... Lajpal A

Door Aye Dil rahe Madine se Lyrics || Asad Raza Attari

Door Aye Dil rahe Madine se Maut behtar hai aese Jeene se Unse Mera Salam kehdena Jaake Tu Aye Saba Qareene se Saba Dare Musta te jaake Kahin Duroodo Salam Mera Nabi de kadma wich Sir juka ke Kahin Duroodo Salam Mera Hawaein wagdiye leja Madine athroo Mere Te aakhi hor ki Mein Nazar kalla Ya Rasulallah Unse Mera Salam kehdena Jaake Tu Aye Saba Qareene se Har Ghule Ghul se taan Mu'attar hai Jaane Ghulzar ke Pasine se Yun Chamakte hein Zarre Tayba ke Jaise bikhre hue Nagine se Zikre Sarkar karte hein ye Momeen Koi mar jaaye jal ke keene se Bargahe Khuda mein kya pahunche Ghir gaya jo Nabi ke zeene se Us tajalli ke Samne Akhtar Ghul ko aane lage pasine se Door Aye Dil rahe Madine se Maut behtar hai aese Jeene se

Haq Lailaha Illalallah Lyrics || Huda Sisters

Haq Lailaha Illalallah Muhammad Pak Rasulallah Haq Lailaha Illalallah Muhammad Pak Rasulallah Ye Kalma Sabse Pyara hai  Har Toote Dil ka Sahara hai Bachpan se wird Hamara hai... Haq Lailaha Illalallah Muhammad Pak Rasulallah Jo Log Ye Kalma Padhte hei  Yunhi Allah Allah karte hein Bas Wohi Khuda se darte hein Haq Lailaha Illalallah Muhammad Pak Rasulallah Kya Gulshan Kya Gulzaron mein Jis ki mahek hai baharon mein Hai Iski Roshani Taaron mein Haq Lailaha Illalallah Muhammad Pak Rasulallah Mere waqt ko Rabb ne jagaya hai Mere sar pr Karam ka saya hai Meri Maa ne Mujko sikhaya hai Haq Lailaha Illalallah Muhammad Pak Rasulallah Rehamt ke Dariya behte hein Dil Noor mein dube rehte hein Jab Haq wale Ye kehte hein Haq Lailaha Illalallah Muhammad Pak Rasulallah Jab Gham se aankhein chaar karo Tum Zikr Khuda Har baar karo Is Kalme ki Takraar karo Haq Lailaha Illalallah Muhammad Pak Rasulallah Hamko hai Is par naaz suno Ye Qudrat ka hai Raaz suno Iski meethi aawaz suno Haq Lailaha Illalallah Mu

Karam Jo Aapka Ae Saiyyed-e-Abraar Ho Jaae

Karam Jo Aapka Ae Saiyyed-e-Abraar Ho Jaae To Har Badkaar Banda Dam Mai Neko Kaar Ho Jaae Jo Sar Rakh De Tumhare Kadmo Mai sardaar Ho Jaae Jo Tum Se Sar Koi Fere Zaleelo Khaar Ho Jaae Inayat Se Mere Sar Par Agar Vo Kafsh-e-Paa Rakh De Ye Banda Tajdaron Ka Bhi To Sardaar Ho Jaae Gunah Kitne Hi Aur Kese Hi Hai Par Rehmat-e-Alam Shafa'at Aap Farmaye To Beda Paar Ho Jaae Ishaara Paae To Duba Hua Suraj Bar Aamad Ho Uthe Ungli To Mah Do Balke Do Do Chaar Ho Jaae Tumhare Hukm Ka Bandha Hua Suraj Fire Ulta Jo Tum Chaaho Ke Shab Din Ho Abhi Sarkaar Ho Jaae Kavaafi Aur Mazaami Achhe Achhe Hai Abhi Baaki Magar Bas Bhi Karo Noori Na Padna Baar Ho Jaae

Ali Maula Ali Dam Dam Lyrics || Sultan Ul Qadria Qawwal

Shahe Marda Shere Yazda Quwaate Parwardigar La-Fatahi Illa Ali , La-Fatahi Illa Ali La Saifullah Zulfikar La Saifullah Zulfikar Ali nu yaad karo ral ke fariyad karo Hai Gareebaan da eho aasara Ali Maula Ali Maula Ali Dam Dam Ali Maula Ali Maula Ali Dam Dam Lakh te Karod waari aakho Jam Jam Ali Maula Ali Maula Ali Dam Dam Ali Maula Ali Maula Ali Dam Dam We Call you lion of God A sage, kind and brave But when we asked who you are? You said Muhammad's Slave Oh, Dust upon which Ali walked, I envy you Oh, Air which Haider inhaled, I envy you too Oh this night, I have one wish only Please Ali in My grave, Do not leave me lonely With Allah's will, I plead for your intercession To you, I dedicate My life and profession Nabi da hai Pyara Ali Noor ala Noor Ali da hai Allah Allah Kaabe te Zahoor Ali Maula Ali Maula Ali Maula Ali Ali Ali Maula Ali Maula Ali Maula Ali Ali Ali Maula one jinde Maula ne hazoor Ali Peer Peeran da hai Dilan da Suroor Ali Maula Ali Maula Ali Maula Ali Ali Waliyan

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

kya bataun ki kya madina hai naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

al madad peerane peer , gaus-e-aazam dastageer naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana || Madani Sehra Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Ye Chamak Ye Damak Ye Faban ye Mahek Lyrics || ये चमक ये दमक , ये फबन ये महक