Haq hai Allah Sach hai Wallah Lyrics || Huda Sisters
Roman (Eng) :
Ye Duniya Ek Madarsa hai Aur Ham sab Talib-e-Ilm
Mu'allim sirf Ek Zaat hai Haqqe Ta'ala
Wo Jiska Jaise Chaahta hai Imtehan leta hai
Aur Apne Khaas bandon ko Is Imtihaan ke zariye Kundan banaata hai
Har kisi ko Apna Apna Imtihaan dena hai
Allah Har Imtihan ke baad Tumhe Inaam dega
Haq hai Allah, Sach hai Wallah
Haq hai Allah, Sach hai Wallah
Ye Duniya hai Ek Madarsa Aur Ham sab Taalibe Ilm hein
Mu'allim sirf Ek Allah hai Jiska chaahe Imtihaan le
Khas Apne Bandon ko chun ke Unka Imtihaan leke
Kundan Unko bana deta hai
Imtihaan kab Karde zaari Rakkho Apni sab tayyari
Imtihan ke baad Inaam mile
Haq hai Allah, Sach hai Wallah
Haq hai Allah, Sach hai Wallah
Jante ho Kulhaadi Kaise banaayi jati hai
Jee haan Acchhi tarha
Faulad ko khub zarb laga kar chot maar kar
Is Shakal mein dhaala jata hai
Isi tarha kaankoon dhat ko
Aur chamda-saz khal ko banaata hai
Isi tarha Agar ye Tumhari Talwaar
Aag mein na dali jaaye
To fir ye sirf lohe ka ek tukda hai
Haq hai Allah, Sach hai Wallah
Haq hai Allah, Sach hai Wallah
Imaan Hamaara Hamein bataata hai
Wallah ho jo Zikre Allah
Loha mom ban jata hai
Lohe ka tukda aag mein jaaye
Zarb laga ke shakal mein laaye
Kankoon Talwaar banaata hai
Chamda-saaz khal sukhaaye
Chamda saat maraaeel paaye
Baa-waqaar libaas banaaye
Haq hai Allah, Sach hai Wallah
Haq hai Allah, Sach hai Wallah
Kya baat hai qaher ban ke tootegi dushmaon par
Ye Tum jaise bahadoor ke Haath mein Mazloomon ka difa karegi
Sada Fatah-mand raho Insha'allah
Wallah ho jo Zikre Allah
Loha mom ban jata hai
Lohe ka tukda aag mein jaaye
Zarb laga ke shakal mein laaye
Kankoon Talwaar banaata hai
Chamda-saaz khal sukhaaye
Chamda saat maraaeel paaye
Baa-waqaar libaas banaaye
Haq hai Allah, Sach hai Wallah
Haq hai Allah, Sach hai Wallah
Kya baat hai qaher ban ke tootegi dushmaon par
Ye Tum jaise bahadoor ke Haath mein Mazloomon ka difa karegi
Sada Fatah-mand raho Insha'allah
Zulfiqar se behtar koi tirkh nahi
Na Ali se Zyada bahaadur Is Duniya mein
Unki bahaduri ka yakinan koi mukabeel nahin
Insha'allah Ye zulm ke khilaf hi utthegi hamesha
Banke kaher Dushman pe toote Mazloomon ka difaa kare
Zulfiqar se behtar tirkh nahin jo zulm ke khilaf uthe
Ali Murtaza ke jaisa Duniya mein koi bahadur nahin hai
Khaibar ka Darwaaza ukhada hai
Haidar mein qarrar jo aaye Dushman koi tik na paye
Sajde kiye Talwaaron ke saaye mein
Haq hai Allah, Sach hai Wallah
Haq hai Allah, Sach hai Wallah
Duniya sirf Apne baare mein sochti hai
Insaan samajta hai ke sab kuchh Uske ikhtiyaar mein hai
Yahi bhool hai Iski Kabhi aurat ke pichhe bhagta hai
To kabhi shohrat ke pichhe, naadan hai nahin jaanta
Ke ye sab kuchh be-maani aur fanaah ho jane wala hai
Duniya sirf Apne liye soche Duniya se hi ummid lagaati hai
Insaan khudko Taaqat samje Ye bhi Uski badhi bhool hai
Pichhe kabhi Daulat ke bhage Bhage kabhi Shohrat ke pichhe
Jaane nahin ye sab be-maani hai
Sab kuchh fanaah ho jana hai Sab yahin pe reh jana hai
Insaan kitna naadan hai
Haq hai Allah, Sach hai Wallah
Haq hai Allah, Sach hai Wallah
Jaane nahin ye sab be-maani hai
Sab kuchh fanaah ho jana hai Sab yahin pe reh jana hai
Insaan kitna naadan hai
Haq hai Allah, Sach hai Wallah
Haq hai Allah, Sach hai Wallah
Mashallah
ReplyDeleteماشااللہ
ReplyDeleteماشااللہ
ReplyDelete