Haya ka Paykar Mera Gani hai Lyrics

Zunnurayn  Zunnurayn 
As'habe Nabi Hamzulfe Ali
Usmane Gani Usmane Gani
Damade Nabi Damade Nabi
Usmane Gani Usmane Gani

Aaqa ne Jinhe do betiyan di
Usmane Gani Usmane Gani
Usmane Gani Usmane Gani

Khalifa Salis Khalifa Rashid
Nabi ka Dilbar Mera Gani hai
Siddiq Umar aur Ali ka sathi
Haya ka Paykar Mera Gani hai

Wahi hai Nashir Quraan ka Logon
Usi ki khatir hai Bay'ate Rizwan
Wahi hai Jame-e-Quran ka bhi
Makeene Jannat hai Mera Usman

Wahi hai Hamzulfe Maula Haidar
Sakha ka Mehwar Mera Gani hai
Siddiq Umar aur Ali ka sathi
Haya ka Paykar Mera Gani hai

Khalifa Salis Khalifa Rashid
Nabi ka Dilbar Mera Gani hai
Siddiq Umar aur Ali ka sathi
Haya ka Paykar Mera Gani hai

Rafeeke Jannat Nabi ka Usman
Nabi ka sathi tha Is Jahan mein
Isi ne Aaqa pe Sab lutaya
Karun kya Uski sakha bayan mein

Jahan mein Jannat ki di bisharat
Damade Sarwar Mera Gani hai
Siddiq Umar aur Ali ka sathi
Haya ka Paykar Mera Gani hai

Khalifa Salis Khalifa Rashid
Nabi ka Dilbar Mera Gani hai
Siddiq Umar aur Ali ka sathi
Haya ka Paykar Mera Gani hai

Karein Unhi se Haya Malaeek
Nabi bhi karte the Pyar Unse
Unhi ko dee Apni betiyan do
Khushi ka karte Izhar Unse

Ke baad Abu Bakr aur Umar ke
Hamara Rehbar Mera Gani hai
Siddiq Umar aur Ali ka sathi
Haya ka Paykar Mera Gani hai

Khalifa Salis Khalifa Rashid
Nabi ka Dilbar Mera Gani hai
Siddiq Umar aur Ali ka sathi
Haya ka Paykar Mera Gani hai

Hui Zulmo Jabar ki Un par
Hai Inteha aur Had hui hai
Kharide Jisne Kooe the sare
Zaban Uski taras rahi hai

Quran padhte hui Shahadat
Wo sabse badhtar Mera Gani hai
Siddiq Umar aur Ali ka sathi
Haya ka Paykar Mera Gani hai

Khalifa Salis Khalifa Rashid
Nabi ka Dilbar Mera Gani hai
Siddiq Umar aur Ali ka sathi
Haya ka Paykar Mera Gani hai

Difaa to Unka hai Farz Ash'ar
Quraan ne Unka difa kiya hai
Unhi ke Dar par Difa ki khatir
Ali ne beta khada kiya hai

Ali o Hasnain ka hai Pyara
Adoo pe khanjar Mera Gani hai
Siddiq Umar aur Ali ka sathi
Haya ka Paykar Mera Gani hai

Khalifa Salis Khalifa Rashid
Nabi ka Dilbar Mera Gani hai
Siddiq Umar aur Ali ka sathi
Haya ka Paykar Mera Gani hai

As'habe Nabi Hamzulfe Ali
Usmane Gani Usmane Gani
Damade Nabi Damade Nabi
Usmane Gani Usmane Gani

Aaqa ne Jinhe do betiyan di
Usmane Gani Usmane Gani
Usmane Gani Usmane Gani

Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

kya bataun ki kya madina hai naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics || मदीने के आक़ा , सलामुन अलैक || مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

al madad peerane peer , gaus-e-aazam dastageer naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Aa gaya Ramzan hai Kalam lyrics by Bilal Qadri in English ~ Hindi

Aye Shahenshahe Madina Assalat-o-Wassalam || अये शहंशाहे मदीना अस्सलातु वस्सलाम || اے شہنشاہِ مدینہ ! اَصَّلَاتُ وَ اسّلَامْ