falak se malak aa gaye he.n zamee.n par
KHuda ka durood-o-salaam aa raha hai
samaj soch kar hi , kadam apne rakhna ye shehr-e-nabi hai , zara tum sambhalna adab ki zamee.n hai adab hi se chalna wo dekho adab ka makaam aa raha hai
wo shams-ud-duha hai , wo badrudduja hai shafi-ul-wara hai , samaj se siwa hai ye zinda akeeda , ye suthra tareeka kayaamat ki mushkil me.n kaam aa raha hai
jo zainab ne puchha , ke kya ho gaya hai to shabbir bole , abhi so gaya hai is asghar ki ab tishnagee buj gayi hai ye pikar shahadat ka jaam aa raha hai
Ma sha Allah
ReplyDeleteSubh ha nallah
ReplyDelete