Falak se Malak aa gaye hein Zameen parLyrics
Falak se Malak aa gaye hein Zameen par
Khuda ka Duroodo Salam aa raha hai
Samaj soch kar hi Kadam Apne rakhna
Ye Shehre Nabi hai zara Tum sambhalna
Adab ki Zameen hai Adab hi se chalna
Wo dekho Adab ka Makam aa raha hai
Wo ShamsudDuha hai Wo BadrudDuja hai
Shafi-ul Wara hai Samaj se siwa hai
Ye Zinda Akeeda Ye suthra Tareeka
Kayamat ki Mushkil mein Kaam aa raha hai
Jo Zainab ne puchha ke Kya ho gaya hai
To Shabbir bole abhi so gaya hai
Is Aghar ki ab Tashnagee buj gayi hai
Ye Pikar Shahadat ka Jaam aa raha hai
Comments
Post a Comment