Posts

Showing posts from 2016

Mera Madani Sohna Aa gaya Lyrics

Sohna Aaya te saj gayene Galiyan bazar Sohna Aaya te saj gayene Galiyan bazar Mera Madani Sohna Aa gaya Mera Madani Sohna Aa gaya Aake Sare Jag te chha gaya Mera Madani Sohna Aa gaya Jidde Aaiyan Sariyan Ronakan ne Jidde naal baharan mehakiyan ne Karman da badal chha gaya Mera Madani Sohna Aa gaya Har than khushbuan hulle ne Rehmat de buhe khulle ne Purnoor ujala aa gaya Mera Madani Sohna Aa gaya Har pase jashn manayen ne Jado sohne Madani aaye ne Eho Misra dil te chha gaya Mera Madani Sohna Aa gaya Puri ho gayi dukhiyan di dua Mere dil wich ho gayi hor ziya Meri sawan da wadas aa gaya Mera Madani Sohna Aa gaya Sohne diya jad-diyan lagiyan ne Ziya Teriyan Moja lagiyan ne Hun Tera wi wad pa gaya Mera Madani Sohna Aa gaya

Karam ka chand utra hai Janabe Aamena ke ghar Lyrics

Aamena ke ghar chand utra hai wo dekho Aamena ke ghar chand utra hai wo dekho Karam ka chand utra hai Janabe Aamena ke ghar Khuda ka noor faila hai Janabe Aamena ke ghar Wo rehbar hai Rasoolon ka wo hai sartaj Nabiyon ka Khuda ne jisko bheja hai Janabe Aamena ke ghar Charage Shab jalane ki zarurat hi nahin padti Muhammad jab se aaya hai Janabe Aamena ke ghar Shabe Jashne Wiladat hai wo Jibraeel ko dekho Mubarak dene betha hai Janabe Aamena ke ghar Ye kiski roshni jati hai neele aasmanon tak Diya ye kaisa jalta hai Janabe Aamena ke ghar Sawere sath lekar kaun aya hai ye Farooqi Ke Shab ko bhi ujala hai Janabe Aamena ke ghar

Aaye Mere Mustafa Marhaba sad Marhaba Lyrics

Mustafa Ya Mustafa ..... Mustafa Ya Mustafa Mustafa Ya Mustafa ..... Mustafa Ya Mustafa Sara Aalam keh utha Marhaba sad Marhaba Aaye Mere Mustafa Marhaba sad Marhaba Badshah-e-Do Jahan Tumsa koi hai kahan Assalam Aye Jaane Jaan... Khub badla hai zamana Mustafa kya aa gaye Har jagah Aamad ka charcha Mustafa kya aa gaye Mustafa Ya Mustafa Sara Aalam keh utha Aaye Mere Mustafa Marhaba sad Marhaba Kharch karta hi rahunga Mehfil-e-Milad par Joli mein hai unka sadqa Mustafa kya Aa gaye Mustafa Ya Mustafa Sara Aalam keh utha De rahe hein Ambiya Sare Mubarak-badiyan Isa ta Aadam ka naara Mustafa kya Aa gaye Mustafa Ya Mustafa Sara Aalam keh utha Kya bigadengi mera Tufan ki tugyaniyan Mein nahin hun besahara Mustafa kya Aa gaye Mustafa Ya Mustafa Sara Aalam keh utha Mein Gulame Mustafa hun marte marte bolunga Aakhari ye hoga kalema Mustafa kya Aa gaye Mustafa Ya Mustafa Sara Aalam keh utha Aaj bhi sab hein Ujagar Mustafa ke saaye mein Tan gaya hai Shamiyana Mu...

Mangenge Mange jaayenge Munh mangi payenge Lyrics

Mangenge Mange jaayenge Munh mangi payenge Sarkar mein na 'La' hai na hajat 'Agar' ki hai Uff be-hayaiyan ke ye munh aur tere Huzur Haan Tu Kareem hai teri khoo darguzar ki hai Tuj se chhupaun munh to karun kis ke samne Kya aur bhi kisi se tawakko nazar ki hai Kaabe ka naam tak na liya Tayba hi kaha Puchha tha Mujse jisne ke NOHDAT kidhar ki hai Uske tufail Hajj bhi Khuda ne kara diye Asale Murad hazari us paak dar ki hai Sarkar Ham ganwaron mein Tarze Adab kahan Hamko to bas tameez yahi bhik bhar ki hai Itna ajab bulandi-e-Jannat pe kis liye Dekha nahi'n ke bhik ye kis unche ghar ki hai Mangata ka hath uthte hi data ki dayn thi Doori qubulo araz mein bas hath bhar ki hai Sharbat na dein ,na dein , to kare baat lutf se Ye shahed ho to fir kise parwah shakar ki hai

Aap ke kadmon mein aana mera kaam tha Lyrics

Aap ke kadmon mein aana mera kaam tha Meri bigdi banana Aapka kaam hai Meri aankhon ko hai Deed ki aarazu Rukh se parda uthana Aapka kaam hai Sakiya Jaan qurban Aapke naam par Ho Nigahe Karam Apne khuddam par Chhod di ham ne kashti Aapke naam par Ab kinare lagana Aapka kaam hai Mere Dil pe fakat Aapka Raaj hai Zehan Aankhein Tasawwur ka mohtaj hai Ek Nigahe Karam hi Meri laaj hai Laaj Meri nibhana Aapka kaam hai Puri Sarkar sab ki Tamanna karein Har Sawali ki Aaqa jholi bhare Door Tayba se rote tadapte hein jo Unko dar pe bulana Aapka kaam hai Aapne katre ko dekha gohar kar diya Aapne zarre ko dekha to zarr kar diya Ek habshi ko rashke kama kar diya Unka suraj firana Aapka kaam hai Aapki chokhat kahan aur kahan ye Zabee Aapke judo karam ki to had nahin Jisko Duniya mein na koi Apna kare Usko Apna banana Aapka kaam hai

Nigah-e-Lutf ke Ummidwar ham bhi hein Lyrics

Nigah-e-Lutf ke Ummidwar ham bhi hein Diye hue Dil-e-Be karar ham bhi hein Hamare daste Tamanna ki laaj bhi rakhna Tere Faqeeron mein Aye Shehre Yaar ham bhi hein Tumhari ek Nigah-e-Karam mein sab kuchh hai Pade hue to sare rah-guzar ham bhi hein Jo sar pe rakhne ko mil jaaye Naal-e-Paake Huzur To Fir kahenge ke haa'n Taaj-daar ham bhi hein Ye kis Shahensha-e-Bala ka Sadqa bant'ta hai Khusrawon mein padi hai pukar ham bhi hein Hasan hai jinki Sakhawat ki dhoom aalam mein Unhin ke Tum bhi ho ek reza-khar ham bhi hein

Madina wo Gulzar hai Lyrics

Jahan lut'ti lut khud hai bahar Madina wo Gulzar hai Utarti hai Hooro Malak ki katar Madina wo Gulzar hai Wo Jannat ki Kyari badi pyari pyari Wo Gumbad-e-Khazra Sunehri wo jaali Wo Masjid-e-Nabwi Wo Mehrabo Mimbar Jahan Gunjati hai Azan-e-Bilali Jise dekhne ko hein sab be-karar Madina wo Gulzar hai Agar jaa rahe ho Madine ki janib Aye Apne Muqaddar pe itrane walon Haram ki zameen aur qadam rakhke chalna Are Sar ka Mauka hai oh jaane walon Ye kehta Bareli ka hai Taaj daar Madina wo Gulzar hai Abu Bakr ki hai Sadaqat wahin se Hai Roshan Umar ki Adalat wahin se Hai Usman ki maheki Sakhawat wahin se Ali se Shuja'at ki Shohrat wahin se Chamakte hein har dam jahan Chaar Yaar Madina wo Gulzar hai Jo ban kar kar aaye har Aalam ki Rehmat Hai Imaan ki jaan Unki Mohabbat Wo Qasim-e-Ne'amat wo Malik-e-Jannat Jo Ham aasiyon ki karenge shafa'at Hein rehte hamare jahan Ghamgusar Madina wo Gulzar hai Wo Makke mein aaye to tarikh Barah(12) Madine m...

Sohna Man-Mohna Mere Aaqa jeya koi nahin Lyrics

Image
Sohna Man-Mohna Mere Aaqa jeya koi nahin Sohna Man-Mohna Mere Aaqa jeya koi nahin Aaqa jeya sohna koi bhi nahin Aaqa jeya sohna koi bhi nahin Aamena de ghar aawan wala sab toh sohna aye Aabh farash nu lawan wala sab toh sohna aye Sohna Man-Mohna...... Zikr Huzur da ral mil kerna ayen Ibadat aye Git Huzur de gawan wala sab toh sohna aye Sohna Man-Mohna...... Maula Ali ne firda Suraj wekh ke farmaya Suraj modh liyawan wala sab toh sohna aye Sohna Man-Mohna...... Paak Nabi de naam te otto wich Madine de Sara maal lutawan wala sab roh sohna aye Sohna Man-Mohna...... Manzil utte bud'di Maayi pohanchke boli see Mera bhar uthawan wala sab toh sohna aye Sohna Man-Mohna...... Ayenj te lakkha Sohne ne par Nasir Duniya te Rahmat ban ke aawan wala sab toh sohna aye Sohna Man-Mohna...... Naat Khwan :  Hafiz Tahir Qadri Click Here to view all naats of Hafiz Tahir Qadri

Ilahi Teri chokhat par bhikari ban ke aaya hun Lyrics

Ilahi Teri chokhat par bhikari ban ke aaya hun Sarapa faqr hun ijzzo nadamat sath laya hun Bhikari wo ke jiske paas jholi hai na pyala hai Bhikari wo jise Hirso Hawas ne maar dala hai Mata-e-Deeno Danish nafs ke hathon se lutwa kar Sukun-e-Qalb ki daulat hawas ki bhet chadwa kar Luta kar sari punji Ghaflato Isyaan ki daldal mein Sahara lene aaya hun Tere Qaabe ke aanchal mein Gunahon ki lipat se Kaynat-e-Qalb afsurda Irad-e-Muzmahel Himmat shikasta Hosale murda Kahan se laaun takat dil ki sachi tarjumani ki Kis janjhal mein guzri hein gadhiyan zindagani ki Khulasa ye ke bas jhal bhun ke apni roo siyahi se Sarapa faqr ban kar apni halat ki tabahi se Tere darbar mein laya hun apni ab zabuhali Teri chokhat ke layik har amal se hath hein khali Ye Tera Ghar hai Tere Maher ka darbar hai Maula Sarapa Noor hai Ek Mohbat-e-Anfar hai Maula Teri chokhat ke jo aadab hein mein unse khali hun Nahin jisko saliqa mangane ka wo sawali hun Zuban ghar ke nadamat dil ki nak...

Ya Nabi karam kijiye Duriyon ne maara hai Lyrics

Habeebi Ya Rasulallah Habeebi Ya Habiballah Garibon par Karam kijiye Duriyon ne maara hai Ya Nabi karam kijiye Duriyon ne maara hai Hamko to faqat Aaqa Aap ka sahara hai Habeebi Ya Rasulallah........ Jis jagah se milta hai saeelon ko bin mange Do jahan mein bas aesa Aap ka dawara hai Ya Nabi karam kijiye.......... Unka Gumbad-e-Khazra Samne hai aankhon ke Aaj to bulandi par waqt ka Sitara hai Ya Nabi karam kijiye.......... Har gadhi rulata hai bhulta nahin Mujhko Mustafa ke qadmon mein waqt jo guzara hai Ya Nabi karam kijiye.......... Hongi Duniyadaron ko Apni Jaan hi pyari Shehre Tayba Ham ko to Jaan se bhi pyara hai Ya Nabi karam kijiye.......... Socha hai Madine se Ham kabhi na lautenge Unke Shehr se doori kab hamein gawara hai Ya Nabi karam kijiye.......... Muflisi nahin aati Unke Ghar ke aangan mein Panjatan ke tukdon par jiska bhi guzara hai Ya Nabi karam kijiye.......... Aa gaye khabar lene wo Sohail Farooqi Jab kisi bhi Aashiq ne Aapko pukara...

Ab bula lijiye na Madina Lyrics

Ab bula lijiye na Madina Aa raha hai ye hajj ka Mahina Dil Mera toot jaae kahin na Al-Madad Taajdare Madina Mujhko Aaqa Madine bulalo Hasratein Dil ki saari nikalo Ghaus-e-Aazam ka sadqa nibhalo Ab to kehdo Mujhe chal Madina Aansuon ki ladi ban gayi ho Aur aanhon se phat'ta ho sina Wirde lab ho Madina Madina Jab chale Soo-e-Tayba Safina Aansuon ki jhadi lag gayi hai Yaad Aaqa ki tadpa rahi hai Ispe deewanagi chha gayi hai Yaad aaya hai isko Madina Dil se ulfat jahan ki nikalo Is tabahi se Maula bacha lo Mujhko deewana Apna banalo Mera seena bana do Madina Jab Madine mein ho apni aamad Jab mein dekhun Tera Sabz gumbad Hichkiyan bandh kar ro-uun behad Kaash aa jaye aesa Karina Hai Tamanna-e-Attar Ya Rabb Unke jalwon mein yun Maut aaye Jhum kar jab gire Mera lasha Tham lein badh ke shahe Madina

Kash daste Tayba mai me bhatak ke mar jaata Lyrics

Kash daste Tayba mein me bhatak ke mar jaata Fir baki e gurkad mai dafn koi kar jaata Kaash ! janib e tayba Aah ! yu agar jaata Chak chak mai lekar sina o jigar jaata Kaash ! gumbad e khazra par nigah padte hi Khake gasht mai gir jata fir tadap ke mar jaata Ya nabi e rehmat ye mere dil ki hasrat hai Khak ban ke tayba ki kaash mai bikhar jaata Kaash ! Aesa Mil jaata Ishq naam sunte hi Aankh bhi umand aati dil bhi gham se bhar jaata Dil se ulfat-e-Duniya bil-yaqeen nikal jaati Khar unke sehra ka dil mein ghar utar jaata Jazba-e-Ghazali do walwal-e-Bilali do Kash Murshidi jaisa mil tapan jighar jaata Zaeer-e-Madina Tu chal raha hai hans hans kar Kaash le ke Muztar qalb aur chashme tar jaata Be dhadak Madine mein dakhila hua Tera Kaash ! Paaon ke badle sar ke bal agar jaata Unka aa gaya Attar Unka aa gaya Attar Shor tha ye har janib Hashr mein jidhar jaata

Muhabbat mein apni guma Ya Ilahi Lyrics

Muhabbat mein apni guma Ya Ilahi Na paaun mein Apna pata Ya Ilahi Rahun Masto Be-khud mein Teri wila mein Pila Jhaam aesa pila Ya Ilahi Mein Bekar baaton se bach kar hamesha Karun Teri Hamdo Sana Ya Ilahi Mere Ashq bahete rahein kaash har dam Tere Khauf se Ya Khuda Ya Ilahi Tere Khauf se Tere dar se hamesha Mein thar thar rahun kampta Ya Ilahi Mere Dil se Duniya ki ulfat mita de Mujhe Apna Aashiq bana Ya Ilahi Mere dil se duniya ki chahat mita kar Kar ulfat mein Apni fanah Ya Ilahi Tu Apni wilayat ki khairat de de Mere Gaus ka wasita Ya Ilahi Gunahon ne Meri kamar todh dali Mera Hashr mein hoga kya Ya Ilahi Gunahon ke amraz se neem jaan hun Paye Murshidi de shifa Ya Ilahi Banade Mujhe nek nekon ka sadqa Gunahon se hardam bacha Ya Ilahi Mera har amal bas Tere wasate ho Kar Ikhlas aesa ata Ya Ilahi Ibadat mein guzre Meri zindagani Karam ho karam Ya Khuda Ya Ilahi Musalman hai Attar Teri ata se Ho Imaan par khatima Ya Ilahi

Hubbe Duniya se Tu bacha Ya Rabb Lyrics

Hubbe Duniya se Tu bacha Ya Rabb Aashiq-e-Mustafa bana Ya Rabb Aah ! Tugyaniya gunahon ki Paar Nayya Meri laga Ya Rabb Nafso Shaytan ho gaye ghalib Inke chungal se Tu chhuda Ya Rabb Kis ke dar par mein jaaunga Maula Ghar Tu naraz ho gaya Ya Rabb Kar de Jannat mein Tu jawar unka Apne ATTAR ko ata Ya Rabb

Jo Bhi dushman hai Mere Raza ka Lyrics

Jo Bhi dushman hai Mere Raza ka Jal raha tha Jala hai Jalega Maslake Aala Hazrat ka naara Lag raha hai hamesha Lagega Bugzo Keena ka chashma laga kar Najdiyon ne likha jo chhupa kar Aam Hazrat se to bach gaya hai Aala Hazrat se kaise bachega Jo Bhi dushman hai Mere Raza ka Jal raha tha Jala hai Jalega Bad'azaa jiski duniya mein shohrat Hai Raza ka Salame Mahobbat Marhaba Mustafa Jaane Rehmat Jhum kar uska aashiq padega Jo Bhi dushman hai Mere Raza ka Jal raha tha Jala hai Jalega Mustafa ki inayat se pyare Gause Aazam ki barkat se pyare Ahle Sunnat ki bazar mein ab Aala Hazrat ka sikka chalega Jo Bhi dushman hai Mere Raza ka Jal raha tha Jala hai Jalega Gauso Khwaja ki beshak ata hai Hind mein ek Ahmad Raza hai Ahle Sunnat ka jo muktada hai Wo Bareli Tum ko milega Jo Bhi dushman hai Mere Raza ka Jal raha tha Jala hai Jalega Ishq-e-Ahmad ka mafhoom kya hai Najdiyon Tumko malum kya hai Aala Hazrat ke paikar meind dekho Ishq-e-Ahmad ka jalwa mil...

English Translation Of Zarre jadh kar Teri Paizaron ke

Zarre jadh kar Teri Paizaron ke Taaje Sar bante hein Sayyaron ke Particles of dust fall off your sandals They become the crowns on the heads of the moving stars Ham se Choron pe Jo Farmaein Karam Khil'ate Zarre banein Pushtaron ke As he blesses thieves like us with his generosity The load on the back transforms in to golden robes (When the thief has stolen, he carries the stolen goods on his back. Here thieving is in the meaning of committing sin and not actual thieving) Mere Aaqa ka wo dar hai jis par Mathe ghis jaate hein Sardaron ke The doorstep of my master is that upon which Grazed are the foreheads of leaders Mere Isa Tere Sadqe jaaun Toor be Toor hein bimaron ke My Eisa, may I be sacrificed on you Wrongdoings are the doings of the ill (This means that even though our doings are all wrong and we are disobedient, our master Muhammad peace and blessings be upon him is still our Eisa (gives cure to our illnesses).) Mujrimon ! Chashme Tabassum r...

Zarre jadh kar Teri Paizaron ke Lyrics

Zarre jadh kar Teri Paizaron ke  Taaje Sar bante hein Sayyaron ke Ham se choron pe jo farmaein karam Khil'ate Zarr banein pushtaron ke Mere Aaqa ka wo dar hai jis par Mathe gis jaate hein Sardaron ke Mere Isa Tere Sadqe jaaun Toor be Toor hein bimaron ke Mujrimon ! Chashme Tabassum rakho Phool ban jaate hein angaron ke Tere abroo ke tasadduq pyare Band karre hein Giraftaron ke Jaano Dil Tere Qadam pe ware  Kya naseebe hein Tere Yaaron ke Sidq wa adal wa karam wa himmat mein  Char so Shohre hein in charon ke Behre Tasleem-e-Ali maidan mein Sar jhuke rehte hein talwaron ke Kaise Aaqaon ka banda hun Raza Bol-bale Meri Sarkaron ke

Sarkar bulayenge Hamein Sarkar bulayenge

Image
Sarkar bulayenge Sarkar bulayenge Bigdi bhi banayenge Jalwe bhi dikhayenge Gabrao na Deewanon Sarkar bulayenge Hamein Sarkar bulayenge Ham Masjide Nabwi ke dekhenge Minaron ko Aur Gumbade Khazra ke pur-noor Nazaron ko Ham Jaake Madine fir wapas nahin aayenge Gabrao na deewanon Sarkar bulayenge Hamein Sarkar bulayenge Mil jaayengi ta'beerein ek roz to khwabon ki Gir jaayengi deewarein Sab dekhna raahon ki Ham Roza-e-Akdas par Jab aansu bahayenge Gabrao na deewanon Sarkar bulayenge Hamein Sarkar bulayenge Dil Ishq-e-Nabi mein to kuchh aur tadapne do Is deed ki aatish ko kuchh aur bhadakne do Ham Tishnadili jaa kar ZamZam se bujayenge Gabrao na deewanon Sarkar bulayenge Hamein Sarkar bulayenge Lillah Muhammad se rudaad meri kehna Ye puchhke Aaqa se Ae Zaeero Tum aana Ishrat ko Madine mein kab Aap bulayenge Gabrao na deewanon Sarkar bulayenge Hamein Sarkar bulayenge Naat Khwan :  Hafiz Tahir Qadri Click Here to view all naats of Hafiz Tahir Qadr...

Sahib-e-Taaz ho Shahe Me'raj ho (Duroode Taaz)

Sahib-e-Taaz ho Shahe Me'raj ho Sheh Saware Buraqo Ameere Alam Dafa-e-Har bala Dafa-e-Har waba Dafa-e-kehto gham raazo ranjo alam Sahib-e-Taaz ho Shahe Me'raj ho Is'm likkha gaya is'm uncha hua Is'm Mohre quboole shafa'at bhi hai Is'm ki barkatein Is'm ki ronakein Is'm loho qalam ki amanat bhi hai Kya Arab kya Ajam sab ke Sardar hein Sab ke Sardar ka hai muqaddas badan Haramo Kaaba ko Mojo Munawwar karein Wo mahekti wo pakiza sirat ke rang Sahib-e-Taaz ho Shahe Me'raj ho Chasht gahon ka suraj wujud aapka Aap har shab ki zulmat ke Ma'htab hein Sadre bazme Bulandi o Raf'at ke hein Rahguzare hidayat ke Ma'htab hein Sari Makhluq ki hai wo jaahe amaan Sari Taarikyon ke wo Roshan charag Nek teerat hein wo nek atwaar hein Unke hathon mein hein bakhshishon ke ayaan Sahib-e-Taaz ho Shahe Me'raj ho Sar se pairon talak Wo karam hi karam Rabb hifazat kare bil-yaqeen Aapki Unke khidmat-guzaron mein Ji...

Zindagani mein Madine ka safar acchha laga Lyrics

Zindagani mein Madine ka safar acchha laga Jo Madine tak gaya wo hamsafar acchha laga Kya bataun kis kadar kya noore b'har acchha laga Mujko Sarkare do aalam ka Nagar acchha laga Tha Madine ke safar mein kamli wala sath sath Tha safar bhi khub lekin hamsafar acchha laga Kitne acchhe bakht hein Ayyub Ansari Tere Sare Tayba mein Nabi ko Tera Ghar acchha laga Hoke do neema gaya qadmon mein Tere Ya Nabi Teri ungli ka nishana chand par acchha laga Jab Niyazi mein mehfil mein padhi Naat-e-Nabi Kya bataun bazm ko mein kis kadar acchha laga

Bakhshish ko lazmi hai zamanat Rasool ki Lyrics

Bakhshish ko lazmi hai zamanat Rasool ki Hai do jahan mein hamko zarurat Rasool ki Pehle basao dil mein Mahobbat Rasool ki Fir dekho dil ki aankh se surat Rasool ki Samja na koi Shaan Risalat Rasool ki Allah janta hai haqeeqat Rasool ki Maana gunahgar hey ummat Rasool ki Mehshar mein dhundh legi shafa'at Rasool ki Gause Raza mile hamein khwaja piya mile Ham pe hai aashiqon ye inayat Rasool ki Karte hein aheteram-e-janaza ham is liye Wo karne jaa raha hai ziyarat Rasool ki Taufiq naate Ahmade Mursal mili Tujhe Afzal Khuda ka fazl Inayat Rasool ki

Ham Madine se Allah kyun aa gaye Lyrics

Ham Madine se Allah kyun aa gaye Qalbe Hairan ki Taskeen Wahin reh gayi Dil Wahin reh gaya Jaan Wahin reh gayiKham Usi Dar pe Apni Zabeen reh gayi Yaad aate hein Hamko Wo Shamo Sahar Wo Sukune Dilo-Jaan Wo Rooho-Nazar Ye Unhi ka Karam hai Unhi ki Ata Ek Kaifiyate Dilnaheen reh gayi Allah Allah Wahan ka Duroodo Salam Allah Allah Wahan ka Sujudo Qayam Allah Allah Sahan ka Wo Kaifo Dawam Wo Salate Sukun Aafareen reh gayi Jis Jagah Sajda-Rezi ki Lazzat mili Jis Jagah Har Qadam Unki Rehmat mili Jis Jagah Noor rehta hai Shamo Sahar Wo Falak reh gaya Wo Zameen reh gayi Padh ke Nasrum-Minallahi Fathun-Qareeb Jab huye Ham rawan Sooe Kooe Nabi Barkatein Rehmatein sath Chalne lageen Be-basi Zindagi ki Yahin reh gayi Zindagani Wahin kash hoti basar Kash Behzad aate na Ham Laut kar Aur puri hui Har Tamanna magar Ye Tamanna-e-Qalbe Hazeen reh gayi

Izn-e-Tayba Muje Sarkar-e-Madina dedo Lyrics

Izn-e-Tayba Muje Sarkar-e-Madina dedo Le Chale Mujko Jo Tayba wo Safina dedo Yaad-e-Tayba mein tadapne ka Kareena dedo Chashme Tar Soze Jigar Shahe Madina dedo Chaar Yaaron ka Tujhe Wasita deta hun Shaha Apna Gham Mujko Shahensha-e-Madina dedo Sadka Shahzadi-e-Kaunain ka Pyare Aaqa Mujko dedo Mere Sarkar-e-Madina dedo Wakt-e-Akhir hai chali jaan Rasool-e-Akram Ik Jalak Apni Shahensha-e-Madina dedo Kasrat-e-Maal ki aadat se bacha kar Aaqa Apne Attar ko ulfat ka khazina dedo

Qaseeda-e-Zainul Aabidin

Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Ya Sayyidi Irhamlana Ya Sayyidi Irhamlana   Innal Tiyari Hassaba Yawman Ila Aradil Haram Ballig Salami Rawdatan Fihan-Nabiyul Muhtaram Manwaj-hu hu Shamsu-dduha   Man Khadduhu Badru-dduja Man Zatuhu Noorul Huda Man Kaffuhu Bahrul Hamam Qur'aanu hu Burhanu na Naskhan li Adyanimm'datat Izz Jaa ana ahkamu-hu Kullu Suhufe-ssarul Adam Ya Laytani Kuntu  Kamany-yattabe'a Nabiyyan Aaleman Yawman w Laylan daeeman Warzuq Kazali Bil Karam Ak'baduna Majruhatun Min Sayfi Hijril Mustafa  Tuba L'ahli Baldatin  Fihin'nabiyul Muhtasham  Ya Rehmatullil Aalamin Ant Shafee'ul Muznibin Akrim Lana Yawmal Hazeen Fadlanw wa Judanw wal Karam Ya Rehmatullil Aalamin Adrik li Zaynil Aabidin Mahdusi Aydiz-Zalimin Fil Mawkabi Wal Muzdaham      

Ek Fatima ke laal ko pani nahin diya Lyrics

Image
Ek Fatima ke laal ko pani nahin diya hai Ek Fatima ke laal ko pani nahin diya hai Ek katra nahin Tauheed ke pyase ke liye Band hai naher Muhammad ke nawase ke liye Khune Shabbir se mehnga hua bartar pani Kaun de Aabide Bimar ko la kar pani Sakee-e-Kausar o Tasneem hai jiska nana Karbala mein hai wahi Teen dinon ka pyasa Badla Laeen Tune kis jurm ka liya hai Ek Fatima ke laal ko pani nahin diya hai Ek Fatima ke laal ko pani nahin diya hai Mashk thame hue Abbas Alamdar chale Naher ki simt wo pani ke talabgar chale Lashkare Shimr ne ki Teeron ki barish itni Ho gaye Hazrate Abbas ke bazu chhalli Ae sitamgar tera is par bhi kaleja na hila Haae Nanhi si Sakina ko bhi pani na diya Ye charkh kya karega sitam tune jo kiya hai Ek Fatima ke laal ko pani nahin diya hai Ek Fatima ke laal ko pani nahin diya hai Pyas bete ki jo dekhi to hua dil be-chain Aaye Asgar ko uthaye hue godi mein Husain Haae zulm ke paani teri ye be-rehmi Kar diya teer se nanha sa kaleja zakhmi Z...

Aapsa Donon Jahan mein nazar aaya hi nahin Lyrics

Aapsa Donon Jahan mein nazar aaya hi nahin Kyunke Allah ne Koi aur banaya hi nahin Aapne jab se nawaza hai Ya Rasulallah Meine daman kisi chokhat pe bichhaya hi nahin Jab kaha qabr mein Sarkar ne ye Mera hai Fir Nakiron ne muje hath lagaya hi nahin Aap ki naat hi Shehzad ka sarmaya hai Is nikamme ne to kuchh aur kamaya hi nahin Kyunke Allah ne Koi aur banaya hi nahin

Qaeed-e-Ahle Sunnat Chale Aaeeye

Qaeed-e-Ahle Sunnat Chale Aaeeye Sham'a-e-Rushdo Hidayat Chale Aaeeye Paikar-e-Ilmo Hikmat Chale Aaeeye Suni Suni si hai Bazm-e-Ahle Sunan Qaeed-e-Ahle Sunnat Chale Aaeeye Baag-e-Siddk-e-Akbar ke shadab ghul Tajdar-e-Wajahat Chale Aaeeye Tere Jaane se mehfil ki ronak gayee Rashke Husno Malahat Chale Aaeeye Tarjuman-e-Ali wo Raza kya gaya Gham mein dubi hai ummat chale Aaeeye Hurrat-e-Haidari Tera Shewa raha Ae Mere Sher-e-Sunnat chale Aaeeye Puri duniya ki Mirzaiyat ke liye Fir se ban kar Qayamat chale Aaeeye Bhigi palkon se Hazrat Anas ne kaha Meri Jaan Meri Izzat Chale Aaeeye Tere At'har ki khwahish hai itni si bas Khwab mein ho ziyarat Chale Aaeeye Qaeed-e-Ahle Sunnat Chale Aaeeye Sham'a-e-Rushdo Hidayat Chale Aaeeye Paikar-e-Ilmo Hikmat Chale Aaeeye

Mein Husain Hun Mein Husain Hun Lyrics

Pisre Shahe Kaunain hun Mein Husain Hun  Mein Husain Hun Zahra ka noor-e-a'yan hun Mein Husain Hun  Mein Husain Hun Kisne kaha ke mein aam hun Mein Imame ibne Imam hun Mein Hurmat-e-Haramain hun Mein Husain Hun  Mein Husain Hun Nana mera Shahe Zaman Baba mera Khaibar Shikan In do ke mein ma'bayn hun Mein Husain Hun  Mein Husain Hun

Mera Badshah Husain hai Lyrics

Shah Ast Husain Badshah Ast Husain Deen Ast Husain Deen panah Ast Husain Sar daad na daad dast dar dast-e-yazeed Hakkake binae Lailaha Ast Husain Ye baat kis kadar haseen Jo keh gaye Mueenuddin Ke deen ki panah Husain hai Mera Husain hai Mera Badshah Husain hai Aman ka mehromah bhi Jo shahon ka hai shah bhi Aesa Badshah Husain hai Mera Husain hai Mera Badshah Husain hai Kare koi jo hamsaree Kisi ki kya majal hai Husain har lihaz se Jahan mein be-misal hai Ye ho chuka hai faisala Na koi dusra Hasan Na koi dusra Husain hai Mera Husain hai Mera Badshah Husain hai Hidayat-e-Husain par Amal karo ae Mo'minon Rahenge ham bahisht mein Yakeen rakho ae Mo'minon Kubul hogi har Dua Kisi se kyun darein bhala Hamara wasta Husain hai Mera Husain hai Mera Badshah Husain hai Duaon mein Nidaon mein Jo wasta ise banaega Bahisht ki jo rahon ka  Rasta ise banaega Na waste mein tod hai Na raste mein mod hai Esi sidhi rah Husain hai Mera Hus...

Pushton se mein naseer hun mangata Husain ka Lyrics

Pushton se mein naseer hun mangata Husain ka Wirse mein maine paya hai sadka Husain ka Nabiyon ki roze hashr ye farmaishen na hon Azan ho Bilal ki Sajda Husain ka Iska subut de diya Asgar ki jang ne  Sheron ka Sher hota hai bacha Husain ka Maidan-e-Hashr ki muje kya fikr ho Naseer Bhari hamesha raheta hai palda Husain ka

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Image
Mere Hussain Salam Mere Hussain Salam Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Hussain Ibn e Ali ne karbala me Sar kataya hai Mere Hussain Salam Mere Hussain Salam Madine me hue shaban me laal e ali paida Ke bibi Fatima ki god me ek chand birudra Ali o fatima ke fool ye hasanain the pyare Rasulallah ki ankhon ki ye dono hi the taare Nabi ko thi khabar ye deen par sab kuchh lutaenge Hussain ek roz jaake karbala me sar kataenge Nabi ne chumke dar dar yahi unse kaha aksar Mere bache na gabrana ke chalna ispe hai khanjar Kiya vaada jo bachpan me use ese nibhaya hai Hussain Ibn e Ali ne karbala me ghar lutaya hai Hussain Ibn e Ali ne karbala me Sar kataya hai Khuda ko bhi nabi ke ladalon se pyar tha itna Ke inke vaste kapdon ka joda khuld se bheja Vo shahzade hai jinki valida khatun e jannat hai Ameerul mo'aminin valid shahensha e vilayat hai Ke pyare nana rehmate alam ka pyara sath jab chhuta Hussain ibn e Ali ka kafila jab karbala aya Ye din tha d...

Meri baat ban gayi hai Teri baat karte karte Lyrics

Meri baat ban gayi hai  Teri baat karte karte Tere shaher mein mey aaun Teri naat padte padte Tere ishq ki badolat Muje zindagi mili hai Mere paas bhi hai aayi Meri maut darte darte Kisi cheez ki talab hai Na hai aarazu bhi koi Tune itna bhar diya hai Kashkol bharte bharte Mere sune sune ghar ko Kabhi ronakein ata kar Mein deewana ho gaya hun Teri raah takte takte Mein na jaaunga oh darbaab Kabhi chhod kar ye galiyan Ke mey pahundha hun yahan par Mere yaar marte marte

Panjatan ke gharane ki kya baat hai Lyrics

Panjatan ke gharane ki kya baat hai Panjatan ke gharane ki kya baat hai Ibne Haidar ne dushman ko ruswa kiya Panjatan ke gharane ki kya baat hai Deke sar deen ko firse zinda kiya Panjatan ke gharane ki kya baat hai Ya Husain ibne Haidar karam kijiye Fir se aesa Mujaheed ata kijiye Kar de fitnon ka duniyan se jo khatema Panjatan ke gharane ki kya baat hai Mera Abbas jo ke Alamdar hai Zakhm hai pyas hai fir bhi Sardar hai Zakhm khaye hein fir bhi na shikwa kiya Panjatan ke gharane ki kya baat hai Wo shabi-e-Nabi Akbar-e-naujawan Jinke zakhmon pe roye Zameen Aasman Karbala ki zameen pe jo kurbaan hua Panjatan ke gharane ki kya baat hai Naaz Furqan nisbat pe apni karo Unki ta'zeem har aan karte raho Kaam aayega maheshar mein ye waseta Panjatan ke gharane ki kya baat hai

Ali Ali Hardam Ali Ali by Owais Qadry Lyrics

Ali Ali damdam Ali Ali Ali Ali Hardam Ali Ali Siddiq ka dilbar Haidar Haidar Farooq ka pyara Haidar Haidar Usmaan ka dulara Haidar Haidar Ham sab ka pyara Haidar Haidar Ali Ali damdam Ali Ali Ali Ali Hardam Ali Ali Ahle nazar ki aankh ka taara Ali Ali Ahle wafa ke dil ka sahara Ali Ali Ali Ali damdam Ali Ali Ali Ali Hardam Ali Ali Rehmat ne le liya muje aagosh-e-noor mein Meine kabhi jo ro ke pukara Ali Ali Ali Ali damdam Ali Ali Ali Ali Hardam Ali Ali Ek kaif ek suroor sa rehta hai raat din Jab se hua hai wird hamara Ali Ali Ali Ali damdam Ali Ali Ali Ali Hardam Ali Ali Duniya mein sab se aa'li gharane ke noor ho Is waste hai naam Tumhara Ali Ali Ali Ali damdam Ali Ali Ali Ali Hardam Ali Ali Aazam ye magfirat ki sanad hai hamare paas Ham hein Ali ke aur Hamara Ali Ali Ali Ali damdam Ali Ali Ali Ali Hardam Ali Ali

Baag Jannat ke hein baher-e-Mad'ha khwane Ahle bait Lyrics

Baag Jannat ke hein baher-e-Mad'ha khwane Ahle bait Tumko muzda naar ka ae dushmanan-e-Ahle bait Kis zaban se ho bayan Izzo Shaane Ahle bait Mad'hago e Mustafa hai Mad'ha khwane Ahle bait Unki paaki ka khuda e paak karta hai bayaan Aaya-e-Tat'heer se zaheer hai shaane Ahle bait Mustafa izzat badhane ke liye Tazeem dein Hein buland Iqbal tera doodh maane Ahle bait Apna sauda bech kar bazar suna kar gaye Kaun si basti basai Taajiran e Ahle bait Ramz ka maidaan bana hai Jalwagah e husno ishq Karbala mein ho raha hai intehane Ahle bait Fool zakhmon ke khilaye hein hawa-e-dost ne Khoon se sincha gaya hai gulsitane Ahle bait Hoorein karti hein Aroosane shahadat ka singar Khubroo dul'ha bana hai har jawan e Ahle bait Jumma ka din hai kitabein zist ki tay kar ke aaj Khel te hein jaan par shehzad-gane Ahle bait Ae shabab-e-fasle ghul Ye chal gayee kesi hawa Kat raha hai leh-lahata bustan-e-Ahle bait Kis shaqee ki hai hukumat haay...

Mangata hun mein Tumhara Abdullah Shah Gazi Lyrics

Mangata hun mein Tumhara Abdullah Shah Gazi Kijiye Karam Khudara Abdullah Shah Gazi Ae Wali-e-Karachi Is shaher par karam ho Ye shaher hai Tumhara Abdullah Shah Gazi Ham hein gada Tumhare Qismat pe jumte hei Ye hai sharaf hamara Abdullah Shah Gazi Qadmon se aapke jo chashma ubhal raha hai Hai kitna pyara pyara Abdullah Shah Gazi Dar pe Tumhare aake man ki muradein paayein Jisne Tumhe pukara Abdullah Shah Gazi Haaki ne jo kahi hai ye Manqabat Tumhari Hai faiz ye Tumhara Abdullah Shah Gazi

Dalde apni Rehmat ka saya Lyrics

Dalde apni Rehmat ka saya Aaj tera gunahgar banda Gham se gabra ke sajde mein aaya Tayba wale ke sadke mein Ya Rabb Dalde apni Rehmat ka saya Tu hai sabse badi shan wala Tune girte huon ko sambhala Bhula bhatka hua ek musafir Laut kar apni manzil pe aaya Tayba wale ke sadke mein Ya Rabb Dal de apni Rehmat ka saya Tera Insaaf apni jagah hai Jo hamesha se hota raha hai Jisne dil se pukara hai Tujko Uski bigdi ko tune banaya Tayba wale ke sadke mein Ya Rabb Dalde apni Rehmat ka saya Sun le Ya Rabb tu meri duaein Bakhsh de meri sari khataein Hun sazawar par tu karam kar Jisne jaisa kiya waisa paya Tayba wale ke sadke mein Ya Rabb Dalde apni Rehmat ka saya

Hajj ka mausam aa gaya hai Qafile jaane lage Lyrics

Hajj ka mausam aa gaya hai Q afile jaane lage Hajj ka mausam aa gaya hai Q afile jaane lage Kitne khush-kismat hein wo jinka bulawa aa gaya Uske Ghar ki mehmani ka sharaf paane lage Hajj ka mausam aa gaya hai Q afile jaane lage Allah Allah ye mukaddar Allah Allah ye naseeb Ye sharaf unko mila Hujjaj kehlane lage Hajj ka mausam aa gaya hai Q afile jaane lage Sab ki manzil ek hai aur sabka Qibla ek hai Gaushe Gaushe se Haram ki simt sab jaane lage Hajj ka mausam aa gaya hai Q afile jaane lage Kaash wo bhi jaa raha hota Haram ki raah par Mehar ke dil mein bhi ye Armaan lehrane lage Hajj ka mausam aa gaya hai Q afile jaane lage

Banda Qadir ka bhi Qadir bhi hai Abdul Qadir Lyrics

Banda Qadir ka bhi Qadir bhi hai Abdul Qadir Sirre batin bhi hai zahir bhi hai Abdul Qadir Abdul Qadir Jilani   Abdul Qadir Jilani  Mufti e shara'a bhi hai Qazi e millat bhi hai Ilme asrar se mahir bhi hai Abdul Qadir Abdul Qadir Jilani   Abdul Qadir Jilani  Mamba e faiz bhi hai majma e afzal bhi hai Mahre irfaa(n) ka munawwar bhi hai Abdul Qadir Abdul Qadir Jilani   Abdul Qadir Jilani  Qutbe abdal bhi hai mahware irshad bhi hai Markaze daira e sirr bhi hai Abdul Qadir Abdul Qadir Jilani   Abdul Qadir Jilani  Silke irfaan ki ziya hai yahi durre-mukhtar Fakhre ashbah vo nazaer bhi hai Abdul Qadir Abdul Qadir Jilani   Abdul Qadir Jilani  Uske farman hein sab shareh e hukme share'a Maz'hare nahee vo ameer bhi hai Abdul Qadir Abdul Qadir Jilani   Abdul Qadir Jilani  Zee Tasarruf bhi hai Mazoon bhi Mukhtar bhi hai Kaare Aalam ka Mudabbir bhi hai Abdul Qadir Abdul Qadir Jilani   Abdul Qadir Ji...

Apni Rehmat ke Samandar mein utar jaane de Lyrics

Apni Rehmat ke Samandar mein utar jaane de Be thikana hun azal se Muje ghar jaane de Suye Bat'ha liye jaati hai hawa e bat'ha Bu-e-duniya muje gumrah na kar jaane de Be thikana hun azal se Muje ghar jaane de Maut par meri Shahidon ko bhi rashk aayega Apne Kadmon se lipat kar muje mar jaane de Be thikana hun azal se Muje ghar jaane de Khwahishe zaad bahot sath diya hai mera Ab jidhar mera Muhammad hai udhar jaane de Be thikana hun ajal se Muje ghar jaane de Rok Rizwan na Muzaffar ko dare jannat par  Ye Muhammad ka hai manzur-e-nazar jaane de Be thikana hun ajal se Muje ghar jaane de

Munawwar meri aankhon ko Mere Shamso-dduha karde Lyrics

Munawwar meri aankhon ko  Mere Shamso-dduha karde Gamon ki dhup mein wo  Saya e zulfe duta karde Jahan-bani ata karde  Bhari jannat hiba karde Nabi Mukhtar-e-kull he Jisko jo chahein ata karde Jahan mein unki chalti hai Wo dam mein kya se kya kardein Zameen ko aasman karde Surayya ko sara karde Faza mein udne wale yun Na itraein nida karde Wo jab chahein jise chahein Use farmaan-rawa karde Nabi se jo hai be-gaana Use dil se juda karde Pidar Madar Biradar Jaano maal un par fida karde Suraka ko bhi sone ke to  Wo kangan ata karde Nabi Mukhtar-e-kull he Jisko jo chahein ata karde Ata karde bula kar de Bitha kar de utha kar de Nabi Mukhtar-e-kull he Jaise jab chahe ata karde Jahan mein aam paygam e shahe Ahmad Raza karde Palat kar pichhe dekhe  Fir se Tajdeed e wafa karde Khataein karne wala mein Ataein karne wale aap Mere Aaqa mere haq mein Ise dastur saa karde Khayale hazrate Hassan se  Ham naatein s...

Our Application

Our Application
Google Play Application

All Time Favorite

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से / Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Al Madad Peerane Peer / अल-मदद पीरान-ए-पीर / Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Labbayk Allahumma Labbayk Nasheed / लब्बैक अल्लाहुम्मा लब्बैक / لبّیک اللّٰھم لبّیک / Lyrics

Kyun aake ro raha hai Muhammad ke Shehar mein || क्यों आके रो रहा है मुहम्मद के शहर में || Lyrics Full

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर / in English Hindi and Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Are Hajiyo Tum Haram ja rahe ho Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Usman e gani Mankabat By hafiz Tahir Qadry Lyrics