Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Mere Hussain Salam Mere Hussain Salam

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai
Hussain Ibn e Ali ne karbala me Sar kataya hai

Mere Hussain Salam Mere Hussain Salam

Madine me hue shaban me laal e ali paida
Ke bibi Fatima ki god me ek chand birudra
Ali o fatima ke fool ye hasanain the pyare
Rasulallah ki ankhon ki ye dono hi the taare
Nabi ko thi khabar ye deen par sab kuchh lutaenge
Hussain ek roz jaake karbala me sar kataenge
Nabi ne chumke dar dar yahi unse kaha aksar
Mere bache na gabrana ke chalna ispe hai khanjar
Kiya vaada jo bachpan me use ese nibhaya hai

Hussain Ibn e Ali ne karbala me ghar lutaya hai
Hussain Ibn e Ali ne karbala me Sar kataya hai

Khuda ko bhi nabi ke ladalon se pyar tha itna
Ke inke vaste kapdon ka joda khuld se bheja
Vo shahzade hai jinki valida khatun e jannat hai
Ameerul mo'aminin valid shahensha e vilayat hai
Ke pyare nana rehmate alam ka pyara sath jab chhuta
Hussain ibn e Ali ka kafila jab karbala aya
Ye din tha do(2) moharram aaye jab sabro raza vale
Madine vale the pehle hein ab karbala vale
Yaha nanhe se Asgar ne hi pehla teer khaya hai

Hussain Ibn e Ali ne..........

Hui thi karbala me is tarha fir unki mehmani
Ke pine ke liye milta natha ek bund bhi paani
Yazeedi fauz ke to har taraf lashkar hi lashkar the
Hussain ibne Ali ke sath to bas pyase bahattar(72) the
Kate abbas ke bazu magar paani nahi aaya
Hussaini sabr ko dekha to khud paani bhi tharraya
Bahot hi sakht hai mitti ke sab sukhi zabanen thi
Ke us Sukhi zabanon par vaha zari azanein thi
Us tapti ret par sajde mein sab ne sar jukaya hai

Hussain Ibn e Ali ne..........

Ye din tha das(10) moharram ka ke jab khaime bhi ujde the
Ke bikhre karbala ki khak par sab dil ke tukde the
Utha kar laaye vo bhai Hussain-Zainab ke lalo ko
Sulaya karbala ki khak me in nou nihalon ko
Bithaya fir inhe pyari bahen Zainab ne gode par
Chale Shabbir fir pyaron ko apne alvida keh kar
Ali ke sher ne maidan me dushman ko lalkara
Laraz kar reh gaya lashkar yazeedi fir vaha sara
Jo aya samne to khak me usko milaya hai

Hussain Ibn e Ali ne..........

Ali ke Sher ki shamshir ye chalti agar raheti
Hakikat hai yazeedi fauj fir mushkil se hi bachti
Anokhe Haidari Shamshir ke Johar nazar aate
Yakinan har taraf fir dushmanon ke sar nazar aate
Hua ahesas ke aaya shahadat ka hai ab lamha
Kiya teeron ki bochharon mein yun Shabbir ne sajda
Wahan ek aakhari sajde mein sar unka juka dekha
Ye sar maidan mein fir sab ne neze par utha dekha
Ke sar neze par hai Qur'aan ko padh kar sulaya hai

Hussain Ibn e Ali ne..........

Katl-e-Husain asal mein margh-e-yazeed hai
Islam zinda hota hai har karbala ke baad

Naat Khwan : 

Hafiz Tahir Qadri

Comments

Post a Comment

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Aakhri Roze hein Dil gham-nak muztar Jaan hai Lyrics || Roman (Eng) & हिंदी (Hindi)

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics || मदीने के आक़ा , सलामुन अलैक || مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Alwada Alwada Mahe Ramzan Lyrics by Owais Raza Qadri in English ~ Hindi

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics || हाजियों मुस्तफा से कह देना || حاجیوں ! مصطفیٰ سے کہ دینا

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو

Aye Shahenshah e Madina As-salat-o-Was-salam Lyrics in English Hindi Urdu