Madina wo Gulzar hai Lyrics


Jahan lut'ti lut khud hai bahar
Madina wo Gulzar hai
Utarti hai Hooro Malak ki katar
Madina wo Gulzar hai


Wo Jannat ki Kyari badi pyari pyari
Wo Gumbad-e-Khazra Sunehri wo jaali
Wo Masjid-e-Nabwi Wo Mehrabo Mimbar
Jahan Gunjati hai Azan-e-Bilali
Jise dekhne ko hein sab be-karar
Madina wo Gulzar hai

Agar jaa rahe ho Madine ki janib
Aye Apne Muqaddar pe itrane walon
Haram ki zameen aur qadam rakhke chalna
Are Sar ka Mauka hai oh jaane walon
Ye kehta Bareli ka hai Taaj daar
Madina wo Gulzar hai

Abu Bakr ki hai Sadaqat wahin se
Hai Roshan Umar ki Adalat wahin se
Hai Usman ki maheki Sakhawat wahin se
Ali se Shuja'at ki Shohrat wahin se
Chamakte hein har dam jahan Chaar Yaar
Madina wo Gulzar hai

Jo ban kar kar aaye har Aalam ki Rehmat
Hai Imaan ki jaan Unki Mohabbat
Wo Qasim-e-Ne'amat wo Malik-e-Jannat
Jo Ham aasiyon ki karenge shafa'at
Hein rehte hamare jahan Ghamgusar
Madina wo Gulzar hai

Wo Makke mein aaye to tarikh Barah(12)
Madine mein jaayein to tarikh Barah(12)
Ye Duniya-e-Fani se Mehboob-e-Dawar
Jo parde mein jaayein to tarikh Barah(12)
Hai Barah hi Barah to din somwar
Madina wo Gulzar hai

Comments

Post a Comment

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu