Ilahi Teri chokhat par bhikari ban ke aaya hun Lyrics
Ilahi Teri chokhat par bhikari ban ke aaya hun
Sarapa faqr hun ijzzo nadamat sath laya hun
Bhikari wo ke jiske paas jholi hai na pyala hai
Bhikari wo jise Hirso Hawas ne maar dala hai
Mata-e-Deeno Danish nafs ke hathon se lutwa kar
Sukun-e-Qalb ki daulat hawas ki bhet chadwa kar
Luta kar sari punji Ghaflato Isyaan ki daldal mein
Sahara lene aaya hun Tere Qaabe ke aanchal mein
Gunahon ki lipat se Kaynat-e-Qalb afsurda
Irad-e-Muzmahel Himmat shikasta Hosale murda
Kahan se laaun takat dil ki sachi tarjumani ki
Kis janjhal mein guzri hein gadhiyan zindagani ki
Khulasa ye ke bas jhal bhun ke apni roo siyahi se
Sarapa faqr ban kar apni halat ki tabahi se
Tere darbar mein laya hun apni ab zabuhali
Teri chokhat ke layik har amal se hath hein khali
Ye Tera Ghar hai Tere Maher ka darbar hai Maula
Sarapa Noor hai Ek Mohbat-e-Anfar hai Maula
Teri chokhat ke jo aadab hein mein unse khali hun
Nahin jisko saliqa mangane ka wo sawali hun
Zuban ghar ke nadamat dil ki nakas tarjumani par
Khudaya Rahem meri is zaban-e-Be Zubani par
Ye Aankhen khushq hein Ya Rabb inhe rona nahin aata
Sulagte daag hein Dil mein jinhe dhona nahin aata
Ilahi Teri chokhat par bhikari ban ke aaya hun
Sarapa faqr hun ijzzo nadamat sath laya hun
very nice
ReplyDeleteMa sha allah... My favourite nath..
ReplyDelete