Kash daste Tayba mai me bhatak ke mar jaata Lyrics



Kash daste Tayba mein me bhatak ke mar jaata
Fir baki e gurkad mai dafn koi kar jaata

Kaash ! janib e tayba Aah ! yu agar jaata
Chak chak mai lekar sina o jigar jaata

Kaash ! gumbad e khazra par nigah padte hi
Khake gasht mai gir jata fir tadap ke mar jaata

Ya nabi e rehmat ye mere dil ki hasrat hai
Khak ban ke tayba ki kaash mai bikhar jaata

Kaash ! Aesa Mil jaata Ishq naam sunte hi
Aankh bhi umand aati dil bhi gham se bhar jaata

Dil se ulfat-e-Duniya bil-yaqeen nikal jaati
Khar unke sehra ka dil mein ghar utar jaata

Jazba-e-Ghazali do walwal-e-Bilali do
Kash Murshidi jaisa mil tapan jighar jaata

Zaeer-e-Madina Tu chal raha hai hans hans kar
Kaash le ke Muztar qalb aur chashme tar jaata

Be dhadak Madine mein dakhila hua Tera
Kaash ! Paaon ke badle sar ke bal agar jaata

Unka aa gaya Attar Unka aa gaya Attar
Shor tha ye har janib Hashr mein jidhar jaata





Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu