Posts

Showing posts with the label J

Jo Dar Kaabe ka khulwaae Use Farooq kehte hein Lyrics / जो दर काबे का खुलवाए उसे फ़ारूक़ कहते हैं / جو درِ کعبہ کا کھلوائے اُسے فاروق کہتے ہیں

jo dar kaabe ka khulwaaye use farooq kehte hain salaam salaam salaam ya umar salaam salaam salaam ya umar ya umar... ya umar... umar ka daman na chhodenge umar ka daman na chhodenge zamaana jaanta hai ke muraade mustafa hai wo niraali shaan hai uski khalifa dusra hai wo ali bhi jiska ho jaaye use farooq kehte hain jo dar kaabe ka khulwaaye use farooq kehte hain gali gali nagar nagar umar umar umar umar gali gali nagar nagar umar umar umar umar sitaaron ke barabar nekiyaan jiski bataate hain jise siddiq-e-akbar jaan-nasheen apna banaate hain jise farooq keh kar pyaar se aaqa bulaate hain jise duniya mein jannat ki bashaarat bhi sunaate hain naseeban aisa jo paaye use farooq kehte hain jo dar kaabe ka khulwaaye use farooq kehte hain jidhar se dekhiye farooq ek dafaa guzar jaaye nahin shaitaan ki himmat ke bhoole se udhar jaaye umar to naam hai aisa munaafiq su...

Jashne Aamade Rasool Allah hi Allah Lyrics / जश्न-ए-आमद-ए-रसूल अल्लाह ही अल्लाह / جشنِ آمدِ رسول اللہ ہی اللہ

jashne aamad-e-rasool allah hi allah jashne aamad-e-rasool allah hi allah bibi aamena ke phool allah hi allah jabke sarkaar tashrif laane lage hooro gilmaan bhi khushiyaan manaane lage har taraf noor ki roshni chhaa gayi mustafa kya mile zindagi mil gayi aye halima teri god mein aa gaye donon aalam ke rasool allah hi allah chehra-e-mustafa jab dikhaya gaya juk gaye taare aur chaand sharma gaya aamena dekh kar muskaraane lagi hawwa mariyam bhi khushiyaan manaane lagi aamena bibi sab se ye kehne lagi dua ho gayi qubool allah hi allah shaadiyaane khushi ke bajaaye gaye shaad ke nagme sab ko sunaaye gaye har taraf shor salle ‘ala ho gaya aaj paida habeebe khuda ho gaya fir to jibreel ne bhi ye aelaan kiya ye khuda ke hain rasool allah hi allah jinka saaya zameen par na paaya gaya noor se noor dekho juda na hua ham ko abid nabi par bada naaz hai ky...

जब तू पैदा हुआ कितना मजबूर था / جب تُو پیدا ہوا کتنا مجبور تھا / Jab Tu Paida hua kitna majboor tha Lyrics

jab tu paida hua kitna majboor tha jab tu paida hua kitna majboor tha ye jahan teri sochon se bhi door tha haath paaon bhi tab tere apne na the teri ankhon mein duniya ke sapne na the tujhko aata tha jo sirf rona hi tha doodh pike tera kaam sona hi tha tujhko chalna sikhaya tha maa ne teri tujhko dil mein basaya tha maa ne teri maa ke saaye mein parwan chadne laga waqt ke saath kad tera badhne laga dheere dheere tu kadial jawaan ho gaya tujhpe saara jahan mehrbaan ho gaya zor-e-baazu pe tu baat karne laga khud hi sajne laga, khud sanwarne laga ek din ek haseena tujhe bha gayi banke dulhan wo fir tere ghar aa gayi farz apne se tu door hone laga beej nafrat ka khud hi tu bone laga fir tu maa-baap ko bhi bhulane laga teer baaton ke fir tu chalane laga baat be baat unse tu ladne laga qaida ek naya fir tu padhne laga y...

Jahan roza-e-paak-e-khairul wara hai Lyrics / जहाँ रोज़ा-ए-पाक-ए-ख़ैरुल वरा है / جہاں روضۂ پاکِ خیر الورٰی ہے

jahaan roza-e-paak-e-khairul wara hai jahaan roza-e-paak-e-khairul wara hai wo jannat nahi hai to fir aur kya hai kahan main aur kahan ye madine ki galiyan ye kismat nahi hai to fir aur kya hai muhammad ki azmat ko kya poochhte ho ke wo saahib-e-kaaba-kawsain thehre bashar ki sare arsh mehmaan-nawaazi ye azmat nahi hai to fir aur kya hai jo aasi ko kaamli mein apni chhupa le jo dushman ko bhi zakhm kha kar dua de use aur kya naam dega zamaana wo rehmat nahi hai to fir aur kya hai qayamat ka ek din mu’ayyann hai lekin hamare liye har naqas hai qayamat madine se hum jaa-nisaaron ki doori qayamat nahi hai to fir aur kya hai tum iqbal ye naat keh to rahe ho magar ye bhi socha ke kya kar rahe ho kahan tum kahan madh-e-mamdooh-e-yazdaan ye jurrat nahi hai to fir aur kya hai जहाँ रोज़ा-ए-पाक-ए-ख़ैरुल वरा है जहाँ रोज़ा-ए-पाक-ए-ख़ैरुल वरा है वो जन्नत...

Jo Bhi dushman hai Mere Raza ka Lyrics / जो भी दुश्मन है मेरे रज़ा का / جو بھی دشمن ہے میرے رضا کا

jo bhi dushman hai mere raza ka jo bhi dushman hai mere raza ka jal raha tha jala hai jalega maslake aala hazrat ka naara lag raha hai hamesha lagega bugz-o-keena ka chashma laga kar najdiyon ne likha jo chhupa kar aam hazrat se to bach gaya hai aala hazrat se kaise bachega jo bhi dushman hai mere raza ka jal raha tha jala hai jalega bad'azaa jiski duniya mein shohrat hai raza ka salaame mahobbat marhaba mustafa jaane rehmat jhoom kar uska aashiq padhega jo bhi dushman hai mere raza ka jal raha tha jala hai jalega mustafa ki inayat se pyaare gause aazam ki barkat se pyaare ahle sunnat ki bazaar mein ab aala hazrat ka sikka chalega jo bhi dushman hai mere raza ka jal raha tha jala hai jalega gauso khwaja ki beshak ata hai hind mein ek ahmad raza hai ahle sunnat ka jo muqtada hai wo bareli tum ko milega jo ...

Juki hui ye jabeen hai, huzoor dekhein na Lyrics / झुकी हुई ये ज़बीं है, हुज़ूर देखें ना / جھکی ہوئی یہ جبیں ہے، حضور دیکھیں نا

juki hui ye jabee.n hai, huzoor dekhei.n na juki hui ye jabee.n hai, huzoor dekhei.n na humaara qalb-e-hazee.n hai, huzoor dekhei.n na humaari aankh mein khushiyo.n ka raqs hota tha ab in mein dard makee.n hai, huzoor dekhei.n na kisi ka koi to hota hai itne logo.n mei.n humaara koi nahi.n hai, huzoor dekhei.n na huzoor koi nahi.n aap ke siwa mera huzoor koi nahi.n hai, huzoor dekhei.n na dil-e-hazee.n ka faqat aapki nazar ke siwa koi ilaaj nahi.n hai, huzoor dekhei.n na juki hui ye jabee.n hai, huzoor dekhei.n na humaara qalb-e-hazee.n hai, huzoor dekhei.n na झुकी हुई ये ज़बीं है, हुज़ूर देखें ना झुकी हुई ये ज़बीं है, हुज़ूर देखें ना हमारा क़ल्ब-ए-हज़ीं है, हुज़ूर देखें ना हमारी आँख में खुशियों का रक़्स होता था अब इन में दर्द मक़ीं है, हुज़ूर देखें ना किसी का कोई तो होता है इतने लोगों में हमारा कोई नहीं है, हुज़ूर देखें ना हुज़ूर कोई नहीं आप के सिवा मेरा हुज़ूर कोई नहीं है, हुज़ूर देखें ना दिल-ए-हज़ीं का फ़क़त आपकी नज़र के सिवा कोई इलाज नहीं है, हुज़ूर देखें ना झुकी हुई ये ज़बी...

Jo Lamhe thay Sukoon ke Sab Madine mein guzaar aaye Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

jo lamhe the sukoon ke sab madine mein guzaar aaye jo lamhe the sukoon ke sab madine mein guzaar aaye dil-e-muztar watan mein ab tujhe kaise qaraar aaye khizan ko hukm hai takheer na ho taiba ki galiyon mein ijazat hai naseem aaye, saba aaye, bahar aaye ye basti ahl-e-dil ki aur deewano.n ki basti hai gaye jitne khirad nazaa.n, wo daman taar taar aaye jabee.n ho unke dar par, haath mein roze ki jaali ho ye lamhe zindagi mein aye KHuda phir baar baar aaye jabee.n hai inke qadmo.n mein, haath mein daman hai aaqa ka ye lamhe zindagi mein aye KHuda phir baar baar aaye gire hiin unke qadmo.n par, bose qadmo.n ke lete hein ye lamhe zindagi mein aye KHuda fir baar baar aaye qalam jab se hua hai kham adeeb aaqa ki mid'hat mein bade rangeen hue mazmoon, bade naksh-o-nigar aaye

Jo Dil mein Ulfate Jaane Maseeha le ke baithe hein Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

  jo dil mein ulfat-e-jaan-e-maseeha le ke baithe hein jo dil mein ulfat-e-jaan-e-maseeha le ke baithe hein wahi dar-asl bakhshish ka sahaara le ke baithe hein banaaya KHaaliq-e-jannat ne unko maalik-e-jannat mere sarkaar to jannat ka visa le ke baithe hein gazal bhi ba-'adab ho kar, chali aayi hein mahefil mein nabi ki naat ka hum lab pe nagma le ke baithe hein yakinan bait-e-aqdas par alam laheraaega apna salaauddin sa hum log jazba le ke baithe hein mahekti hi rahi.n unki kaee naslein kaee faslein jo sarkaar-e-madina ka paseena le ke baithe hein gataae 'azmat-e-siddiq-e-akbar aur umar ki jo  'ali uske liye haatho.n mein koda le ke baithe hein 'umar ko chhod kar hazrat 'ali ko paa nahin sakte ajab hai sheen jo gatiya aqeeda le ke baithe hein ise bhi bhar do ya KHwaaja ! bhara the jis tarha pahele diwaane aapki chokhat pe kaasa le ke baithe hein idhar makhdoom waale aur udhar ahmad raza waale bareli aankh mein, dil mein kichhochha le ke baithe hein kisi mein...

Faslon ko khudara mita do Jaliyon par Nigahe Jami hai Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Image
faslo.n ko KHudaara mita do faslo.n ko KHudaara mita do rukh se parda ab apne hata do apna jalwa isi me.n dikha do jaaliyo.n par nigaahe.n jami he.n ek mujrim siyaakar hu.n mai.n har khata ka sazaawar hu.n mai.n mere chaaro.n taraf hai andhera roshni ka talabgaar hu.n mai.n ek diya hi samaj kar jala do jaaliyo.n par nigaahe.n jami he.n faslo.n ko KHudaara mita do rukh se parda ab apne hata do ya shaikh muhiyuddin ! ya maulana muhiyuddin ! ya makhdum muhiyuddin ! ya darwesh muhiyuddin ! ya khwaja muhiyuddin ! ya sultaan muhiyuddin ! ya shah muhiyuddin ! ya ghaus muhiyuddin ! ya qutub muhiyuddin ! ya sayyad-us-sasdaat ! abdul qadir muhiyuddin !   wajd me.n aayega saara 'aalam hum pukarenge , ya ghaus-e-aa'zam wo nikal aayeinge jaliyo.n se aur qadmo.n me.n gir jayeinge ham fir kahenge ke bigdi banaado  jaaliyo.n par nigaahe.n jami he.n faslo.n ko KHudaara mita do rukh se parda ab apne hata do al-madad ya ghaus !  al-madad ya ghaus !  ghaus-ul-aa'zam ho ghaus-ul-w...

Rukh se parda ab apne utha do Lyrics in English, Hindi, Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

rukh se parda ab apne utha do rukh se parda ab apne utha do jaaliyon par nigaahein jami hein apna jalwa isi mein dikhaado jaaliyon par nigaahein jami hein faaslon ko khudaara mita do jaaliyon par nigaahein jami hein apna jalwa isi mein dikhaado jaaliyon par nigaahein jami hein ghaus-ul-aa'zam ho ghaus-ul-wara ho noor ho noor-e-sall-e-'ala ho kya bayaan aap ka martaba ho dastagir aur mushkil kusha ho aaj deedaar apna karaalo jaaliyon par nigaahein jami hein sun rahe hein wo fariyaad meri khaak hogi na barbaad meri main kahin bhi marun shah-e-jeelaan rooh pahunchegi baghdaad meri mujhko parwaaz ke par laga do jaaliyon par nigaahein jami hein wajd mein aayega saara 'aalam jab pukaarenge ya ghaus-e-aa'zam wo nikal aaenge jaaliyon se aur qadmon mein gir jaaenge hum phir kahenge ke bigdi bana do jaaliyon par nigaahein jami hein fikar dekho, khayalat dekho ye aqidat, ye jazbaat dekho main hun kya meri aukaat dekho saamne kaisi hai zaat dekho apne sar ko adeeb ab ju...

manzar fiza e dahar main sara ali ka hai Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

manzar fizaa-e-dahar mei.n saara 'ali ka hai jis simt dekhta hu.n nazaara 'ali ka hai kul ka jamaal juzw ke chehre se hai 'ayaa.n ghode pe hai husain, nazaara 'ali ka hai marhab do-neem hai zair-e-maqtal pada hua uthne ka ab nahi.n ke ye maara 'ali ka hai tum dakhl de rahe ho aqeedat ke baab mei.n dekho maa'mla ye hamaara 'ali ka hai tu kya hai aur kya hai tere 'ilm ki bisaat tujh pe karam naseer ye saara 'ali ka hai मंज़र फ़िज़ा-ए-दहर में सारा 'अली का है जिस सिम्त देखता हूँ नज़ारा 'अली का है कुल का जमाल जुज़्व के चेहरे से है 'अयाँ घोड़े पे है हुसैन नज़ारा 'अली का है मरहब दो-नीम है ज़ेर-ए-मक़्तल पड़ा हुआ उठने का अब नहीं के ये मारा 'अली का है तुम दख़्ल दे रहे हो अक़ीदत के बाब में देखो मा'मला ये हमारा 'अली का है तू क्या है और क्या है तेरे 'इल्म की बिसात तुझ पे करम नसीर ये सारा 'अली का है منظر فضا ے دہر میں سارا علی کا ہے جس سمت دیکھتا ہوں نظارہ علی کا ہے کل کا کمال جزو کے چہرے سے عیاں گھوڑے پے...

Jin ki tarif khud rabbe kaba kare Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu || Qari Irfan Khan Qasmi

jinki taarif khud rabb-e-kaa'ba kare jinki taarif khud rabb-e-kaa'ba kare unpe ungli uthaana galat baat hai jinko quraan yaseen-o-taaha kahe unpe ungli uthaana galat baat hai chaand se KHoob-tar hai rukh-e-mustafa unko dekha to ye aayesha ne kaha tauba-tauba unhe.n chaand jaisa kahu.n chaand jaisa bataana galat baat hai jinki taarif khud rabb-e-kaa'ba kare unpe ungli uthaana galat baat hai jinko quraan yaseen-o-taaha kahe unpe ungli uthaana galat baat hai laaye tashreef duniya mein KHair-ul-wara haqq-o-baatil hua aamne-saamne kufr ab sharm se munh chhupaane lage aaye jab mustafa aamne-saamne ye nabi ne kaha ke itaa'at karo apne maa.n baap ki khub khidmat karo tere maa.n baap ka tujhpe ahesaan hai unke dil ko dukhaana galat baat hai jinki taarif khud rabb-e-kaa'ba kare unpe ungli uthaana galat baat hai jinko quraan yaseen-o-taaha kahe unpe ungli uthaana galat baat hai ghumshuda ek suee ka hai waaqiya jaane kab tak use dhundhti aaisha raat ki teergi mei.n ujaala liye...

jisko jo kuchh bhi mila aapke darwaaze se Lyrics in English~Hindi~Urdu | Zohaib Ashrafi

Image
jisko jo kuchh bhi mila aapke darwaaze se jisko jo kuchh bhi mila aapke darwaaze se khub deta hai KHuda aapke darwaaze se tum karodo.n nahi.n bas ek dikha-do mujhko jisko kuchh bhi na mila aapke darwaaze se jisko jo kuchh bhi mila aapke darwaaze se aao aao ke yahi.n hogi, shafaa'at waajib roz aati hai sada aapke darwaaze se jisko jo kuchh bhi mila aapke darwaaze se kuchh nahi.n teri talab unke karam ke aage itna hota hai 'ata aapke darwaaze se jisko jo kuchh bhi mila aapke darwaaze se meri is baat ki taaeed karenge aadam maaf hoti hai khata aapke darwaaze se jisko jo kuchh bhi mila aapke darwaaze se aaj tak jo dar-e-sarkaar pe aaya shabbir koi khaali na gaya aapke darwaaze se jisko jo kuchh bhi mila aapke darwaaze se जिसको जो कुछ भी मिला आपके दरवाज़े से जिसको जो कुछ भी मिला आपके दरवाज़े से खूब देता है ख़ुदा आपके दरवाज़े से तुम करोड़ों नहीं बस एक दिखा दो मुझको जिसको कुछ भी न मिला आपके दरवाज़े से  जिसको जो कुछ भी मिला आपके दरवाज़े से आओ आओ के यहीं होगी शफा'अत वाजिब रोज़ आती ह...

jab husn tha unka jalwaa-numa, anwaar ka 'aalam kya hoga || जब हुस्न था उनका जलवा-नुमा , अनवार का 'आलम क्या होगा || جب حسن تھا انکا جلوانما ، انوار کا عالم کیا ہوگا || Lyrics

Roman(ENG): jab husn tha unka jalwaa-numa, anwaar ka 'aalam kya hoga har koi fida hai bin dekhe, deedaar ka 'aalam kya hoga ek simt 'ali, ek simt 'umar, siddiq idhar, usmaan udhar in jagmag-jagmag taaro.n me.n,  mahtaab ka 'aalam kya hoga har koi fida hai bin dekhe, deedaar ka 'aalam kya hoga chaahe.n to ishaare se apne kaaya hi palat de duniya ki ye shaan hai unke ghulaamo.n ki, sardaar ka 'aalam kya hoga har koi fida hai bin dekhe, deedaar ka 'aalam kya hoga sunte he.n arab ke zarro.n par, anwaar ki baarish hoti hai aye najm na jaane taiba ke, gulzaar ka 'aalam kya hoga har koi fida hai bin dekhe, deedaar ka 'aalam kya hoga Naat-Khwaans : Owais Raza Qadri हिंदी(HINDI): जब हुस्न था उनका जलवा-नुमा , अनवार का 'आलम क्या होगा हर कोई फ़िदा है बिन देखे, दीदार का 'आलम क्या होगा एक सिम्त 'अली , एक सिम्त 'उमर, सिद्दीक़ इधर , उस्मान उधर...

Jab Tak Jiyun Mein Aaqa Koi Gam na paas aaye || जब तक जियूं में आक़ा कोई गम न पास आये || جب تک جیوں میں آقا ! کوئی غم نہ پاس آے || Lyrics || Owais Raza Qadri || Roman(ENG) & हिंदी (HINDI) & (URDU) اردو

Roman(ENG): jab tak jiyu.n mai.n aaqa ! koi gham na paas aaye jo maru.n to ho lahad par , teri rahmato.n ke saaye he.n khizaa.n ne daale dere , murja gaye he.n sab gul mere ujde baag me.n fir aaqa ! bahaar aaye meri zindagi ka maqsad , ho aye kaash ! ishk-e-ahmad mujhe maut bhi jo aaye , isi justaju me.n aaye mujhe maut zindagi de , mujhe zindagi maza de jo kitaab-e-zindagi par,  mohar apni wo lagaaye tu basa de mere dil me.n , haa.n ! usi ki yaad maalik ! wo jo wakt-e-naz'aa aa kar , kalma bhi yaad dilaaye na to kar saka hai koi, na karega pyaar aisa jo lahad me.n aashiko.n ko , deke thapkiyaa.n sulaaye wo diya jo bujh gaya tha, wo jo kho gayi thi sozaa.n hua har taraf ujaala , jo huzoor muskuraaye chali aandhiyaa.n gamo.n ki, giri bijliyaa.n dukho.n ki ye tera karam hai aaqa ! ke qadam na ladkhadaaye jise maara ho gamo.n ne, jise gera ho dukho.n ne mera mashwara hai usko , wo madina hoke aaye dar-e-yaar par pada hu.n , is usool par gira hu.n jo gira hua ho khud hi , use...

Jab gumbad-e-khazra pe wo paheli nazar gayi Lyrics || जब गुम्बद-ए-ख़ज़रा पे वो पहेली नज़र गयी || جب گنبد خَضْرا پی وہ پَہْلی نظر گی

Image
  Roman(ENG): Jab gumbad-e-khazra pe wo paheli nazar gayi aankho.n ke raste mere dil me.n utar gayi Jab gumbad-e-khazra pe wo paheli nazar gayi barsi thi is qadar ke nahasa gaya udhar wo baarish-e-karam mere daaman ko bhar gayi Jab gumbad-e-khazra pe wo paheli nazar gayi sar kham tha, lab khamosh the, aankhe.n thi ashkbaar ek saa'at-e-bedaar thi jo ke guzar gayi jo keh saka na lab se mili wo muraad bhi mere sukoot par bhi shahaa ki nazar gayi Jab gumbad-e-khazra pe wo paheli nazar gayi taiba se lautna kisi aashiq se puchhiye aisa lage ke rooh badan se guzar gayi Jab gumbad-e-khazra pe wo paheli nazar gayi aawaz Ubaid teri b-faizan-e-naat hi seeno.n me.n aashiqan-e-nabi ke utar gayi Jab gumbad-e-khazra pe wo paheli nazar gayi हिंदी(HINDI): जब गुम्बद-ए-ख़ज़रा पे वो पहेली नज़र गयी आँखों के रास्ते ...

Jabeene Ijz ke Sajde luta kar Unke kooche mein || जबीने इज्ज़ के सजदे लुटा कर उनके कूचे में || Lyrics

Roman(ENG): Jabeene Ijz ke Sajde luta kar Unke kooche mein Muqaddar Apna chamkaaeinge jaa kar Unke kooche mein Kisi Surat Hamaara Ab Yahaan par jee nahin lagta Hamein baade Saba le jaa udaa kar Unke kooche mein Jab aaye Maut Khaake Taybaah mal kar Jism par Mere Supurde Khaak kar dena Sajaa kar Unke kooche mein Kabhi Ham Gumbade Khazra ko dekheinge kabhi khud ko Nigaahein baar baar Apni utha kar Unke kooche mein Unhein Ham Dil hi Dil Haale Dil Apna Sunaaeinge Zamaane ki Nigaahon se chhupa kar Unke kooche mein Hai Tubhi Andalibe Gulsitaane Mustafa Nayyar Suna Nagmein Muhammad ke Tu ja kat Unke kooche mien हिंदी (HINDI): जबीने इज्ज़ के सजदे लुटा कर उनके कूचे में मुक़द्दर अपना चमकाएंगे जा कर उनके कूचे में किसी सूरत हमारा अब यहां जी नहीं लगता हमें बादे सबा ले जा उड़ा कर उनके कूचे में कभी हम गुम्बदे ख़ज़रा को देखेंगे कभी खुद को निगाहें बार बार अपनी उठा कर उनके कूचे में उन्हें हम दिल ही दिल हाले दिल अपना सनाएँगे ज़माने की निगाहों से छुपा कर उनके कूचे में है तू भी अंदलीबे गुल्सिताने मुस...

Jashne Aamade Rasool Allah hi Allah Lyrics

Roman(ENG): Jashne Aamade Rasool Allah hi Allah Allah hi Allah kaho Allah hi Allah Bibi Aamena ke Phool Allah hi Allah Allah hi Allah kaho Allah hi Allah Jabke Sarkaar tashreef lane lage Hooro Gilma bhi khushiyan manane lage (Dekho Huzur ki Aamad par Kaun Khushiyan manata hai Hooro Gilma Malaika , Fir Ham to Huzur ke ummati hein Kyun na Khushiyan manayein) Jabke Sarkar tashreef lane lage Hooro Gilma bhi khushiyan manane lage Har Taraf Noor ki Roshni chha gayi Mustafa kya mile zindagi mil gayi Aye Halim Teri god mein aa gaye Donon Aalam ke Rasool Allah hi Allah Allah hi Allah kaho Allah hi Allah Jashne Aamade Rasool Allah hi Allah Bibi Aamena ke Phool Allah hi Allah Allah hi Allah kaho Allah hi Allah Chehra-e-Mustafa jab dikhaya gaya Jhuk gaye Taare Aur Chand sharma gaya Aamena dekh kar Muskurane lagi Hawwa Mariyam bhi Khushiyan manane lagi Aamena Bibi sab se ye kehne lagi Dua ho gayi qabul Allah hi Allah Allah hi Allah kaho Allah hi Allah Jashne Aamade ...

Gali Gali Saj gayi Shaher Shaher Saj gaya || गली गली सज गयी, शहर शहर सज गया || Lyrics || Haifz Tahir Qadri

Image
Roman(Eng): Gali Gali Saj Gayi, Shehar Shehar Saj gaya Aaye Nabi Pyare Nabi, Mera bhi Ghar Saj gaya Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa Mustafa se Pyar hai Dil se Ye Ikrar hai Har koi Milade Nabi karne ko Tayyar hai Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa Duniya mein Jahan bhi rahein Aabad rahenge Jo Aamena ke Laal ka Milad karenge Jande lagao Khushiyan manao Karke Charagan Khushiyan manao Aashiq ne Madani Lighton se Ghar Jagmaga diya Ye Jashn Zaroori hai Sabhi ko bata diya Munkir Ye Tera Bugz hai Milade Nabi se Jo Sara Saal Jalta tha Wo bhi buja diya Milad pe Charagaan na sahi  Jo Bulb sara Saal Jalta tha Wo bhi buja diy Gali Gali Saj Gayi Shehar Shehar Saj gaya Aaye Nabi Pyare Nabi Mera bhi Ghar Saj gaya Duniya mein Jahan bhi rahein Aabad rahenge Jo Aamena ke Laal ka Milad karenge Sarkar ke Milad pe Kyun Aetraz hai Ye Baat Khushi ki hai Aur Tu Naraz hai Lagta hai Teri Daal mein Kala Zarur hai Milad manane pe Hamein Dil se Naaz hai Duniya me...

Jeewe Jeewe Miladi Jeewe Lyrics || Hafiz Tahir Qadri || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI)

Image
Roman(ENG): Jhoomo Diwaanon Jhoomo Deewaanon Marhaba Rasulallah Marhaba Rasulallah Jabse Meine hosh sambhala Tabse dekha hai Jashne Nabi ke chahne walon ka Ye Naara hai Marhaba Rasulallah Marhaba Rasulallah Marhaba Rasulallah Marhaba Rasulallah Duniya mein Aamena ka laal ayaa hai Diwanon barwih ka chand ayaa hai Jeewe Jeewe Jeewe Jeewe  Jeewe Jeewe Miladi Jeewe Milade Nabi Hamne Jazbe se manaana hai  Rishta Ye gulami ka Aaqa se nibhaana hai Marhaba Rasulallah Marhaba Rasulallah Marhaba Rasulallah Marhaba Rasulallah Mein chhod nahi sakta Sarkaar ki Mehfil ko Milaad ki reli mein bachpan se hi aana hai Jabse Meine hosh sambhala Tabse dekha hai Jashne Nabi ke chahne walon ka Ye Naara hai Marhaba Rasulallah Marhaba Rasulallah Marhaba Rasulallah Marhaba Rasulallah Jeewe Jeewe Miladi Jeewe Milaad ke Din jande Jibreel bhi le aaye Bid-at Ise mat kehna ye Jashn puraana hai Marhaba Rasulallah Marhaba Rasulallah Marhaba Rasulallah Marhaba Rasulallah Jeewe Jeewe Miladi Jee...

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics / क्या मुहम्मद का प्यारा नहीं हूँ / کیا محمد کا پیارا نہیں ہوں

Ya Husain Ibne Ali Lyrics / या हुसैन इब्ने अली / یا حسین ابن علی in English Hindi Urdu

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar Lyrics / मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर / مرحبا مرحبا، اے علی کے پسر

अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन / اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلا سَیَّدْنا و مَولانا مُحَمّدٍ / Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammadin

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics / शाह सवार-ए-कर्बला की शाह सवारी को सलाम / شاہ سوارِ کربلا کی شاہ سواری کو سلام

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics / उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम / اس حسین ابنِ حیدر پہ لاکھوں سلام

Al Madad Peerane Peer Gause Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर / ہم نے آنکھوں سے دیکھا نہیں ہے مگر

husain zindabaad zindabaad rahega || हुसैन ज़िंदाबाद ज़िंदाबाद रहेगा || حسین زندہ باد زندہ باد رہیگا || Lyrics