Aap ke kadmon mein aana mera kaam tha Lyrics


Aap ke kadmon mein aana mera kaam tha
Meri bigdi banana Aapka kaam hai
Meri aankhon ko hai Deed ki aarazu
Rukh se parda uthana Aapka kaam hai



Sakiya Jaan qurban Aapke naam par
Ho Nigahe Karam Apne khuddam par
Chhod di ham ne kashti Aapke naam par
Ab kinare lagana Aapka kaam hai

Mere Dil pe fakat Aapka Raaj hai
Zehan Aankhein Tasawwur ka mohtaj hai
Ek Nigahe Karam hi Meri laaj hai
Laaj Meri nibhana Aapka kaam hai

Puri Sarkar sab ki Tamanna karein
Har Sawali ki Aaqa jholi bhare
Door Tayba se rote tadapte hein jo
Unko dar pe bulana Aapka kaam hai

Aapne katre ko dekha gohar kar diya
Aapne zarre ko dekha to zarr kar diya
Ek habshi ko rashke kama kar diya
Unka suraj firana Aapka kaam hai

Aapki chokhat kahan aur kahan ye Zabee
Aapke judo karam ki to had nahin
Jisko Duniya mein na koi Apna kare
Usko Apna banana Aapka kaam hai

Comments

Post a Comment

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu