Munawwar meri aankhon ko Mere Shamso-dduha karde LyricsMunawwar meri aankhon ko 
Mere Shamso-dduha karde
Gamon ki dhup mein wo 
Saya e zulfe duta karde

Jahan-bani ata karde 
Bhari jannat hiba karde
Nabi Mukhtar-e-kull he
Jisko jo chahein ata karde

Jahan mein unki chalti hai
Wo dam mein kya se kya kardein
Zameen ko aasman karde
Surayya ko sara karde

Faza mein udne wale yun
Na itraein nida karde
Wo jab chahein jise chahein
Use farmaan-rawa karde

Nabi se jo hai be-gaana
Use dil se juda karde
Pidar Madar Biradar
Jaano maal un par fida karde

Suraka ko bhi sone ke to 
Wo kangan ata karde
Nabi Mukhtar-e-kull he
Jisko jo chahein ata karde

Ata karde bula kar de
Bitha kar de utha kar de
Nabi Mukhtar-e-kull he
Jaise jab chahe ata karde

Jahan mein aam paygam e shahe
Ahmad Raza karde
Palat kar pichhe dekhe 
Fir se Tajdeed e wafa karde

Khataein karne wala mein
Ataein karne wale aap
Mere Aaqa mere haq mein
Ise dastur saa karde

Khayale hazrate Hassan se 
Ham naatein sajate hein
Kami reh jaaye to puri
Bareli ke Raza karde

Muje kya fikr ho Akhtar
Mere yawar hein wo yawar
Bala ho oh meri jo khud  
Giriftar e bala karde

Tamanna-e-dile Ashraf
Bas itni hai sare Kausar
Jab Aaqa jaame kausar de
Labe Akdas laga kar de

Comments

Post a Comment

Facebook Page

Followers

Popular Naat Lyrics

Wo jiske liye Mehfile Konain saji hai Lyrics || Roman(Eng) and Hindi(हिंदी)

Shahe Do Aalam Salaam Assalaam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी (Hindi)

Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Lyrics || Roman (Eng) & हिंदी (Hindi)