Shaahe Madina Tayba ke Waali Saare Nabi Tere Dar ke sawaali Lyrics

Shaahe Madina Shaahe Madina
Shaahe Madina Shaahe Madina
Tayba ke waali
Saare Nabi Tere Dar ke sawaali

Jalwe hein saare Tere hi Dam se
Aabad Aalam Tere qaram se

Baki har ek shai'a nakshe khayali
Saare Nabi Tere Dar ke sawaali

Shaahe Madina Shahe Madina
Shaahe Madina Shahe Madina  

Tere liye hi Duniya bani hai
Nile falak ki chaadar tani hai

Tu agar na hota Duniya thi khaali
Saare Nabi Tere Dar ke sawaali

Shaahe Madina Shahe Madina
Shaahe Madina Shahe Madina

Qadmon mein Tere Arshe Bari hai
Tujsa Jahan mein koi nahin hai

Kandhe pe Tere Kamli hai kaali
Saare Nabi Tere Dar ke sawaali

Shaahe Madina Shahe Madina
Shaahe Madina Shahe Madina

Mazhab hai Tera sab ki bhalaai
Maslak hai Tera Mushkil Kushai

Dekh Apni Ummat ki Khasta Hali
Saare Nabi Tere Dar ke sawali

Shaahe Madina Shahe Madina
Shaahe Madina Shahe Madina

Hai Noor Tera Shamso Qamar mein
Tere labon ki laali Saher mein

Phoolon ne Teri Khushbu churaa li
Saare Nabi Tere Dar ke sawaali

Shaahe Madina Shahe Madina
Shaahe Madina Shahe Madina

Tune Jahan ki Mehfil sajaayi
Tarikiyon mein Sham'a jalaai

Har simt chhayi Badli hai kaali
Saare Nabi Tere Dar ke sawaali

Shaahe Madina Shahe Madina
Shaahe Madina Shahe Madina

Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Sikka Chalega Amena ka Laal ka Lyrics / सिक्का चलेगा आमेना के लाल का / سکہ چلے گا آمنہ کے لال کا

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Hum Apne Nabi Pak se yun Pyar karenge Lyrics / हम अपने नबी पाक से यूँ प्यार करेंगे

Har Desh mein gunjega Ab Ya Rasool-allah Lyrics Full / हर देश में गूंजेगा, अब या रसूलल्लाह / ہر دیش میں گونجے گا، اب یا رسول اللہ

Dekhte kya ho Ahle Safa Lyrics / देखते क्या हो अहले सफ़ा / دیکھتے کیا ہو اہلِ صفا

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है