Dare nabi par pada rahunga Lyrics / दर-ए-नबी पर पड़ा रहूँगा / درِ نبی پر پڑا رہوں گا
dar-e-nabi par pada rahu.nga, pade hi rehne se kaam hoga Naat-Khwaan: Zulfiqar Ali Husaini dar-e-nabi par pada rahu.nga, pade hi rehne se kaam hoga kabhi to qismat khule-gi meri, kabhi to mera salaam hoga dar-e-nabi par pada rahu.nga, pade hi rehne se kaam hoga khilaf-e-maashuk kuchh huwa hai, na koi aashiq se kaam hoga KHuda bhi hoga udhar hi aye dil ! jidhar wo aali makaam hoga dar-e-nabi par pada rahu.nga, pade hi rehne se kaam hoga kiye hi jaaunga 'arz matlab, milega jab tak na dil ka matlab na shaam-e-matlab ki sub.ha hogi, na ye fasaana tamaam hoga dar-e-nabi par pada rahu.nga, pade hi rehne se kaam hoga jo dil se hai maeel-e-payambar, ye us ki pehchaan hai muqarrar ke har dam us be-nawa ke lab par, durood hoga salaam hoga dar-e-nabi par pada rahu.nga, pade hi rehne se kaam hoga isi tawaqqo pe ji raha hu.n, yahi tamanna jila...