Posts

Showing posts with the label H

Ne'mate be Badal Madina hai | Har Udasi ka Hal madina hai Lyrics / ने'मत-ए-बे-बदल मदीना है | हर उदासी का हल मदीना है

har udaasi ka hal madina hai - English Naat-Khwaan: Zohaib Ashrafi wo madina jo konain ka taaj hai jiska deedaar momeen ki me'raaj hai zindagi mein aye khuda! har musalmaan ko wo madina dikha de to kya baat hai ne'mat-e-be-badal madina hai har udaasi ka hal madina hai zabt-e-jazbaat laazmi hai yahaan aye mere dil sambhal madina hai unki aamad ka faiz hai makka unki hijrat ka fal madina hai ahl-e-makka ne jo kiya so kiya unka radd-e-amal madina hai arziyaan daal par nigaahon se apni aadat badal madina hai gard-e-raah jaadne ki sochta hai isko chehre pe mal madina hai dost ye ahetimaam-e-asqs-kashi khud se bahir nikal madina hai gir na jaae zameen par aye chashm apne aansu nigal madina hai yasrib-e-haal se na ho ghamgeen mazhari tera kal madina hai हर उदासी का हल मदीना है वो मदीना जो कौनेन का ताज है जिसका दीदार मोमिन की मेराज है ज़िन्दगी में ऐ ख़ुदा! हर मुसलमान को वो मदीना दिखा दे तो क्या बात है ने'मत-ए-बे-बद...

Hamari Sansein Rawan hein jab tak Lyrics | Zamane bhar ki Har Ek Nemat / हमारी साँसें रवां हैं जब तक | ज़माने भर की हर एक ने'मत

hamari saansein rawaan hein jab tak hamari saansein rawaan hein jab tak nabi ki mad'h-o-sana kareinge ragon mein jab tak lahu rawaan hai nabi-nabi ham sada kareinge zamane bhar ki har ek ne'mat unhin ke sadqe khuda ne di hai gar unki izzat pe harf aaya ham apni izzat ka kya karenge nabi ki gustakhi jo gar karega bura agar unko koi kahega wo sar salaamat nahin rahega ye baat ham barmala karenge wo saat pardon mein chhup ke baithe dhundh lega koi diwaana ye bhool jaaein nabi ke dushman ke chain se wo jiya karenge jo dil se naamus-e-mustafa ko tum aaj bhi hirz-e-jaan bana lo yaqeen karlo ke ham-nawaaee tumhari ard-o-samaan karenge khuda gawaah hai uski qadr-o-qimat ka ilm hoga baroz-e-mahshar jo apne bacchon mein aaj paida mohabbat-e-mustafa karenge khuda ne bheja hai unko sarwar bana ke donon jahaan ki rahmat ye jaan mili hai unhin ke sadqe unhin ki khatir fida karenge hamari saansein rawaan hein jab tak nabi mad'...

Hai Khatme nabuwwat ke liye Jaan bhi hazir Lyrics / है ख़त्म-ए-नबूवत के लिए जान भी हाज़िर

hai khatm-e-nabuwwat ke liye jaan bhi hazir ye faisala hai apna yahi baat hai aakhir hai khatm-e-nabuwwat ke liye jaan bhi hazir islam ki buniyad hai ye khatm-e-risaalat hai naqsh dilon par nabi ki mohr-e-nabuwwat faisala hai apna yahi baat hai aakhir hai khatm-e-nabuwwat ke liye jaan bhi hazir jab la-nabiyya-ba'di muhammad ne kaha hai ab jo nabi ka dawa kare jutha bada hai ye faisala hai apna yahi baat hai aakhir hai khatm-e-nabuwwat ke liye jaan bhi hazir mirzaee qadiyani hai kafir bade kafir na shak karo islam se ho jaoge bahir ye faisala hai apna yahi baat hai aakhir hai khatm-e-nabuwwat ke liye jaan bhi hazir siddiq ki talwar ne kazzab ko maara yun khatm-e-nabuwwat pe kada pahera lagaya ye faisala hai apna yahi baat hai aakhir hai khatm-e-nabuwwat ke liye jaan bhi hazir wallah adhura tha nabuwwat ka mahel bhi sarkar ke aane se hi taqmeel hui thi ye faisala hai apna yahi baat hai aakhir hai khatm-e-nabuwwat ke liye jaan bhi hazir ghar baar...

Hajj par bula Maula Kaba dikha Maula Lyrics / हज पर बुला मौला काबा दिखा मौला

hajj par bula maula kaa'ba dikha maula - English gilaaf-e-khaanaa-e-kaa'ba tha mere haathon mein KHuda se 'arz-o-guzaarish ki intehaaon mein tha tawaaf karta tha parwaanaa-waar kaa'be ka jahaan-e-'arz-o-sama jaise mere paaon mein tha hateem mein mere sajdon ki kaifiyat thi ajab jabee zameen pe thi, zahen kehkashaaon mein tha dar-e-karam pe sada de raha tha ashkon se jo multazam pe khade the, main un gadaaon mein tha mujhe yakeen hai, main phir bulaaya Jaaunga ke ye sawaal bhi shaamil, meri duaaon mein tha ab raaste khulein, pahunchun main ya KHuda hajj par bula maula kaa'ba dikha maula ya KHuda baher-e-muhammad tu mujhe hajj pe bula kaash main bhi dekh lun, aa kar hasee.n kaa'ba tera hajj par bula maula kaa'ba dikha maula kaash aa jaae bulaawa, us mubaarak shaher se hai jahaa.n par turbat-e-khairul Bashar Jalwa-numa hajj par bula maula kaa'ba dikha maula ab raaste khulein pahunchun main ya KHuda ya KHuda jab ...

Tum Apna Daman bichha ke Mango | Huzur denge Zarur denge Lyrics / तुम अपना दामन बिछा के माँगो | हुज़ूर देंगे ज़रूर देंगे

tum apna daaman bichha ke maango - English Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri tum apna daaman bichha ke maango huzoor denge zaroor denge dilon ko kaasa banaake maango huzoor denge zaroor denge kareem daata raheem aaqa ke dar pe koi kami nahin hai gadaaon aansu baha ke mango huzoor denge zaroor denge dilon ko kaasa banaake maango huzoor denge zaroor denge jahaan se maula ali ne manga jahaan se har ek wali ne manga unhin ke chokhat pe jake mango huzoor denge zaroor denge dilon ko kaasa banaake maango huzoor denge zaroor denge rasool-e-akram ke aastaane se maangne ka usool ye hai durood lab per saja ke maango huzoor denge zaroor denge dilon ko kaasa banaake maango huzoor denge zaroor denge inhin se mazbut karlo naate jo deke ahesan nahin jataate inhin ko dil mein basa ke maango huzoor denge zaroor denge dilon ko kaasa banaake maango huzoor denge zaroor denge rasool-e-akram ki naat khalid zamaane bhar ko suna chuke ho huzoor ko ...

Humari hai Dua Shah-e-Ghaus-ul-wara Lyrics / हमारी है दुआ, शाह-ए-ग़ौस-उल-वरा

humari hai dua, shah-e-ghaus-ul-wara wah kya martaba aye ghaus hai baala tera unche unchon ke saron se qadam aala tera sar bhala kya koi jaane ke hai kaisa tera auliya malte hein aankhein wo hai talwa tera kya dabe jis pe himaayat ka ho panja tera sher ko khatre mein laata nahin kutta tera nabwi minh , alawi fasl , batuli gulshan hasani phool , husaini hai mahekna tera tujhse dar, dar se sag, aur sag se hai mujhko nisbat meri gardan mein bhi hai door ka dora tera is nishani ke jo sag hein nahin maare jaate hashr tak mere gale mein rahe patta tera tere qadmon mein jo maut aaye, wo maut kitni haseen ho bakhsha jaaunga roz-e-qayamat , itna mujhko yaqeen hai tamanna hai meri ho chaadar aapki khuda kare yahi bane mera kafan humari hai dua, shah-e-ghaus-ul-wara hara bhara rahe ye qadri chaman allah-allah karte karte hu nazar aaya mujhe hu mein jab main gum hua to tu nazar aaya mujhe jiska koi nahin hai sahaara , uska tum ho sahaara qurbaan jaaun main...

Habeeb-e-Khuda lo Salam ab Humara Lyrics / हबीब-ए-ख़ुदा लो सलाम अब हमारा

habeeb-e-khuda lo salam ab hamara habeeb-e-khuda lo salam ab hamara shah-e-ambiya lo salam ab hamara zameen khshbuon mein nahaane lagi hai labon par rasoolon ke naghma yahi hai lo aaya zameen par imaam ab hamara shah-e-ambiya lo salam ab hamara habeeb-e-khuda lo salam ab hamara shah-e-ambiya lo salam ab hamara karam kijiye taajdar-e-madina hai dushwaar aaqa! ghulamon ka jeena zamana hai dushman tamaam ab hamara shah-e-ambiya lo salam ab hamara habeeb-e-khuda lo salam ab hamara shah-e-ambiya lo salam ab hamara bahot muntazir hein ye aashiq tumhare madina bulalo haleema ke pyare ho maqbool aaqa! kalaam ab hamara shah-e-ambiya lo salam ab hamara habeeb-e-khuda lo salam ab hamara shah-e-ambiya lo salam ab hamara hayaat aa gayi kaam aaqa ki midhat fakat mere pyare nabi ki badolat ho aabad jannat maqaam ab hamara shah-e-ambiya lo salam ab hamara habeeb-e-khuda lo salam ab hamara shah-e-ambiya lo salam ab hamara हबीब-ए-ख़ुदा लो सलाम अब हमार...

Huzoor Aapko Dekhna Chahta hun Lyrics / हुज़ूर आपको देखना चाहता हूँ

huzoor aapko dekhna chahta hun huzoor aapko dekhna chahta hun yahi meri hasrat, yahi to tamanna huzoor aapko dekhna chahta hun khila dijiye meri chahat ka guncha huzoor aapko dekhna chahta hun kahin rote rote na beh jaaein aankhein kahin ruk na jaaein ye bechain saansein utha dijiye apne chehre se parda huzoor aapko dekhna chahta hun sar-e-hashr tashreef laa doge lekin lahed mein bhi jalwa dikha doge lekin nikalne se pehle main apna janaza huzoor aapko dekhna chahta hun yahi aalahazrat ke dil ka tha naara yahi ham ghulamon ki bhi hai tamanna utha dijiye parda, dikha dijiye chehra huzoor aapko dekhna chahta hun kaha saamp ne gaar mein abu-bakr se angutha hataao, main aaun kidhar se tadap hai ziyarat ki aye mere aaqa huzoor aapko dekhna chahta hun abu bakr se ma'zrat chahta hun nikate hi baahar, yahi saamp bola anguthe mein is waste maine kaata huzoor aapko dekhna chahta hun madine mein tashreef laae sahabi kaha bas yahi ek tamanna h...

Hasbi Rabbi Jallalallah Lyrics | wahido yakta zaat hai jo / हस्बी रब्बी जल्लल्लाह | वाहिद-ओ-यकता ज़ात है जो

hasbi rabbi jallalallah Naat-Khwan: Hafiz Ahmed Raza Qadri hasbi rabbi jallalallah mafi qalbi gairullah noore muhammad salalallah la ilaha illallah wahido yakta zaat hai jo, jo hai khalike rango boo parbat sehra ya gulshan, jalwe jiske hain har soo raat ko din jo karta hai, rang kaliyon mein bharta hai usne hi sab ko paala, allah allah karta jaa hasbi rabbi jallalallah mafi qalbi gairullah noore muhammad salalallah la ilaha illallah phoolon ki mehkar mein wo, jangal mein kohsar mein wo suraj chaand sitaron mein, momin ke kirdar mein wo hooro malak ya jinno bashar, sab par hai malik ki nazar har dam uska zikr suna, allah allah karta jaa hasbi rabbi jallalallah mafi qalbi gairullah noore muhammad salalallah la ilaha illallah you are the source of all power, my need in my darkest hour your light and love all i seek, nothing more i'd ever want or need protect me from dishonor, grant me faith to be stronger ...

Har taraf hai khushi aa gaye hein Nabi Lyrics / हर तरफ़ है ख़ुशी आ गए हैं नबी

har taraf hai khushi aa gaye hain nabi - English nabi nabi nabi nabi marhaba nabi nabi nabi nabi marhaba milaade mustafa milaade mustafa milaade mustafa milaade mustafa har taraf hai khushi aa gaye hain nabi chaarsoo roshni aa gaye hain nabi taajdaare ambiyaa marhaba marhaba khaatamul ambiyaa marhaba marhaba saiyyadul ambiyaa marhaba marhaba jalwaa-e-noor hai noor hi noor hai chha gayi hai chandni aa gaye hain nabi har taraf hai khushi aa gaye hain nabi chaarsoo roshni aa gaye hain nabi milaade mustafa milaade mustafa milaade mustafa milaade mustafa nabi nabi nabi nabi marhaba nabi nabi nabi nabi marhaba aasiyon ko milaa aastaan aapka zindagi mil gayi aa gaye hain nabi har taraf hai khushi aa gaye hain nabi chaarsoo roshni aa gaye hain nabi milaade mustafa milaade mustafa milaade mustafa milaade mustafa purnoore hai zamaana subhe shabe wilaadat pardaa uthaa hai kiska subhe sha...

Hoga Ek Jalsa Hashr mein Aisa Lyrics / होगा एक जलसा हश्र में ऐसा

hoga ek jalsa hashr mein aisa - English hoga ek jalsa hashr mein aisa jis mein sarkar ki azmat pe khitabat hogi sadr-e-mahshar hamara rab hoga hazrat-e-bulbul-e-sidra ki nakabat hogi hoga sar mustafa ka sajde mein jab pareshani ke aalam mein ye ummat hogi rab kahega ye mera waada hai usko bakhshunga teri jis mein mohabbat hogi main padunga hadaik-e-bakshish jalsa-e-hashr mein gar mujh ko ijazat jogi sunke naara lagaaenge sunni aur wahabi ke liye dohri qayaamat hogi ye wassiyat hai ek mujaddid ki kad ki miqdar mein gehri meri turbat hogi uth sakun main pa-e-adab fauran jis gadi qabr mein aaqa ki ziyaarat hogi aala hazrat bulaae jaaenge jab wahaan hind ke hassan ki haajat hogi tu hai ek razvi naat khwan faizi is liye teri bhi us jalse mein shirkat hogi होगा एक जलसा हश्र में ऐसा - Hindi होगा एक जलसा हश्र में ऐसा जिसमें सरकार की अज़मत पे ख़िताबत होगी सद्र-ए-महशर हमारा रब होगा हज़रत-ए-बुलबुल-ए-सिद्रा की नक़ाबत होगी होगा सर मुस्तफ़ा का सज्द...

Hum ko Bulana Ya Rasoolallaah Lyrics / हमको बुलाना या रसूलल्लाह

humko bulaana ya rasulallah aakhri waqt hai kya ronake duniya dekhun ab to bas ek hi dhun hai ke madina dekhun humein bulaana aaqa, humein bulaana aaqa humein bulaana aaqa, humein bulaana aaqa humko bulaana ya rasulallah humko bulaana ya habiballah badi ummid hai sarkaar qadmon mein bulaaenge karam ki jab nazar hogi madine hum bhi jaayenge agar jaana madine mein hua hum ghum ke maaron ka makine gumbade khazra ko haale dil sunaaenge kabhi to sabz gumbad ka ujaala hum bhi dekhenge humein bulwaayenge aaqa madina hum bhi dekhenge humko bulaana ya rasulallah humko bulaana ya habiballah seene pe haath rakh ke main dil ko dhoondhta hoon dil mujhko dhoondhta hai darbaare mustafa mein dhadak utthega ye dil ya dhadakna bhool jaayega dile bismil ka us dar par tamaasha hum bhi dekhenge humein bulwaayenge aaqa madina hum bhi dekhenge humko bulaana ya rasulallah humko bulaana ya h...

Hota agar zameen par saya Rasool ka Naat Lyrics / होता अगर ज़मीन पर साया रसूल का

Naat Khvan : Imran Shaikh Attari hota agar zameen par saya rasool ka hota agar zameen par saya rasool ka phir paaon ummati kahaan rakhta rasool ka padte hein yun to gair bhi kalma rasool ka jannat use milegi jo hoga rasool ka hota agar zameen par saya rasool ka karte hein aheteram janaaza ka is liye wo ja raha hai dekhle chehra rasool ka hota agar zameen par saya rasool ka duniya ko dekhna bhi gawaara nahin kiya jab tak ali ne dekha na chehra rasool ka hota agar zameen par saya rasool ka sher-e-khuda na banta to banta bhi aur kya bachpan hi se jo paala hua tha rasool ka hota agar zameen par saya rasool ka naara raza ka lagta hai duniya mein is liye ahmad raza ke lab pe tha naara rasool ka hota agar zameen par saya rasool ka होता अगर ज़मीन पर साया रसूल का होता अगर ज़मीन पर साया रसूल का फिर पाँव उम्मती कहाँ रखता रसूल का पढ़ते हैं ...

Husain Mere hein Lyrics /हुसैन मेरे हैं / حسین میرے ہیں

husain mere hain Naat-Khwaan: Hafiz Ahmed Raza Qadri maula husain hai mera maula husain hai husaino minni wa ana minal husain husaino minni wa ana minal husain mujhe hai naaz ke maula husain mere hain yahi to kehti hai duniya husain mere hain husain mere hain husain mere hain husain mere hain husain mere hain ye rukh hawa-e-zamana ka jisne fera hai tera wo ek hi sajda husain mere hain husain mere hain husain mere hain husain mere hain husain mere hain qaza ke baad fir mujhe nayi hayat mil gayi azaab se aur taab se mujhe nijaat mil gayi sawaal jab kiya gaya to maine keh diya husain hain maula husain hai mera maula husain hai unhi ke naam ka taweez pahenu khushboo kar milega deen ka jazba husain mere hain husain mere hain husain mere hain husain mere hain husain mere hain dahan husain ka aur thi zabaan aaqa ki labon ka lete the bosa husain m...

Habeeb-e-Khuda Ka Nazara Karun Main Lyrics / हबीब-ए-खुदा का नज़ारा करूं मैं

habeeb-e-khuda ka nazara karun main habeeb-e-khuda ka nazara karun main dil-o-jaan un par nisaara karun main teri naksh-e-paa yun sawaara karun main ke palkon se usko buhaara karun main habeeb-e-khuda ka nazara karun main mujhe apni rehmat se tu apna karle siwa tere sabse kinaara karun main habeeb-e-khuda ka nazara karun main main kyun gair ki thokarein khane jaaun tere darse apna guzaara karun main salaasil masaaib ke abru se kato kahan tak masaaib gawara karun main khudara ab aao ke dam hai labon par dam-e-waapasi ko nazaara karun main tere naam par sar ko qurban karke tere sar se sadqe utaara karun main ye ek jaan kya hai agar hon karodon tere naam par sab ko wara karun main mujhe haath aae agar taaj-e-shahi teri naqsh-e-paa par nisaara karun main tera zikr lab par khuda dil ke andar yunhi zindagani guzaara karun main dam-e-waapasi tak tere geet gaaun muhammad mumajjad pukara karun main ...

Hudood e Taire Sidra Huzur jante hain Lyrics / हुदूद-ए-ताइर-ए-सिदरा हज़ूर जानते हैं

hudood-e-tair-e-sidra huzur jante hein hudood-e-tair-e-sidra huzur jante hein kaha hai arshe moalla huzur jante hein unhe khabar kahin se padoh durud un par tamam daher ka naksha huzur jante hein baroze hashr shafa'at karenge chun chun kar har ek gulam ka chehra huzur jante hein mai is yakeen se nikla hun janeeb e tayba mere safar ka irada huzur jante hein main mangata hun unhi se unhi se manguga huzur par hai bharosa huzur jante hein हुदूद-ए-ताइर-ए-सिदरा हज़ूर जानते हैं हुदूद-ए-ताइर-ए-सिदरा हज़ूर जानते हैं कहा है अर्शे मोअल्ला हज़ूर जानते हैं उन्हें ख़बर कहीं से पढ़ो दुरूद उन पर तमाम दहर का नक्शा हज़ूर जानते हैं ब-रोज़े हश्र शफ़ाअत करेंगे चुन चुन कर हर एक ग़ुलाम का चेहरा हज़ूर जानते हैं मैं इस यक़ीन से निकला हूँ जानेब-ए तैबा मेरे सफ़र का इरादा हज़ूर जानते हैं मैं मांगता हूँ उन्हीं से उन्हीं से मांगूंगा हज़ूर पर है भरोसा हज़ूर जानते हैं حدودِ طائرِ سدرہ حضور جانتے ہیں ...

Hara Gumbad jo dekhoge Zamana bhool jaaoge Lyrics / हरा गुम्बद जो देखोगे ज़माना भूल जाओगे

Image
hara gumbad jo dekhoge zamaana bhool jaaoge hara gumbad jo dekhoge zamaana bhool jaaoge agar tayba ko jaaoge to aana bhool jaaoge na itraao ziyaada chaand taaron apni rangat par mere aaqa ko dekhoge chamakna bhool jaaoge hara gumbad jo dekhoge zamaana bhool jaaoge agar tayba ko jaaoge to aana bhool jaaoge hadees-e-mustafa par tum jo ho jaao amal-paira qasam rab ki kabhi maa ko sataana bhool jaaoge hara gumbad jo dekhoge zamaana bhool jaaoge agar tayba ko jaaoge to aana bhool jaaoge agar tum gaur se mere nabi ki naat sun loge mera daawa hai tum gaana bajaana bhool jaaoge hara gumbad jo dekhoge zamaana bhool jaaoge agar tayba ko jaaoge to aana bhool jaaoge tumhare saamne hoga kabhi jab gumbade khazraa nazar jam jaaegi us par hatanaa bhool jaaoge hara gumbad jo dekhoge zamaana bhool jaaoge agar tayba ko jaaoge to aana bhool jaaoge हरा गुम्बद जो देखोगे ज़माना भूल जाओगे हरा गुम्बद जो देखोगे ज़माना भूल जाओगे ...

Falak ke nazaaron Zameen ki bahaaron Huzur aa gaye hain Lyrics / फलक के नज़ारों ज़मीं की बहारों हुज़ूर आ गए हैं

falak ke nazaaron zameen ki baharon huzur aa gaye hein huzur aa gaye hein huzur aa gaye hein falak ke nazaaron zameen ki baharon sab eiden manao huzur aa gaye hein utho gham ke maaron chalo be-saharon khabar ye sunao huzur aa gaye hein anokha nirala wo zee-shan aaya wo saare rasoolon ka sultan aaya are kaj kulaao are badshahon nigaahen jukaao huzur aa gaye hein huzur aa gaye hein huzur aa gaye hein hua char-su rehmaton ka basera ujaala ujaala sawera sawera haleema ko pahunchi khabar aamena ki mere ghar mein aao huzur aa gaye hein huzur aa gaye hain huzur aa gaye hain hawaon mein jazbaat hein marhaba ki fazaon mein nagmaat salle ala ki durudon ke gajre salaamon ke tohfe gulaamon sajaao huzur aa gaye hein huzur aa gaye hein huzur aa gaye hein sama hai sana-e-habeebe khuda ka ye milaad hai sarware ambiya ka nabi ke gadaaon sab ek dusre...

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Baghdad Hai Pyara Lyrics / बग़दाद है प्यारा

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا

Imdad kun Imdad kun Lyrics | Ya Ghaus-e-Aazam Dastagir Lyrics / इमदाद-कुन इमदाद-कुन | या ग़ौस-उल-आ'ज़म दस्त-गीर

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام

Sarkar ka nokar hun koi aam nahi hoon Lyrics / सरकार का नौकर हूँ कोई आम नहीं हूँ

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा