Hum ko Bulana Ya Rasool allaah Lyrics / हमको बुलाना या रसूलल्लाह / in English Hindi Urdu
humko bulaana ya rasulallah
aakhri waqt hai kya ronake duniya dekhun
ab to bas ek hi dhun hai ke madina dekhun
hamein bulaana aaqa, hamein bulaana aaqa
hamein bulaana aaqa, hamein bulaana aaqa
humko bulaana ya rasulallah
humko bulaana ya habiballah
badi ummid hai sarkaar qadmon mein bulaayenge
karam ki jab nazar hogi madine ham bhi jaayenge
agar jaana madine mein hua ham gham ke maaron ka
makine gumbade khazra ko haale dil sunaayenge
kabhi to sabz gumbad ka ujaala ham bhi dekhenge
hamein bulwaayenge aaqa madina ham bhi dekhenge
humko bulaana ya rasulallah
humko bulaana ya habiballah
seene pe haath rakh ke main dil ko dhoondhta hoon
dil mujhko dhoondhta hai darbaare mustafa mein
dhadak utthega ye dil ya dhadakna bhool jaayega
dile bismil ka us dar par tamaasha ham bhi dekhenge
hamein bulwaayenge aaqa madina ham bhi dekhenge
humko bulaana ya rasulallah
humko bulaana ya habiballah
adab se haath baandhe unke roze par khade honge
sunehri jaaliyon ka yun nazaara ham bhi dekhenge
hamein bulwaayenge aaqa madina ham bhi dekhenge
humko bulaana ya rasulallah
humko bulaana ya habiballah
baadal gire hue hain baarish baras rahi hai
lagta hai kya suhaana meethe nabi ka roza
barasti gumbade khazra se takraati hui bundein
wahaan par shaan se baarish barasna ham bhi dekhenge
hamein bulwaayenge aaqa madina ham bhi dekhenge
humko bulaana ya rasulallah
humko bulaana ya habiballah
muraadein mil rahi hain shaad-shaad unka sawaali hai
labon par iltijaa hai haath mein roze ki jaali hai
nikaala kab kisi ko bazme faize aam se tumne
nikaali hai to aane waalon ki hasrat nikaali hai
dare daulat se lotaaya nahin jaata koi khaali
wahaan khairaat ka bantna khudaaya ham bhi dekhenge
hamein bulwaayenge aaqa madina ham bhi dekhenge
humko bulaana ya rasulallah
humko bulaana ya habiballah
bulaalo fir mujhe aye shahe behro-bar madine mein
main fir rota hua aaun tere dar par madine mein
bulaalo ham gareebon ko bulaalo ya rasulallah
paaye shabbir-o-shabbar fatima haidar madine mein
guzaare raat din apne isi ummid par hamne
kisi din to nabi ka pyara roza ham bhi dekhenge
hamein bulwaayenge aaqa madina ham bhi dekhenge
humko bulaana ya rasulallah
humko bulaana ya habiballah
teri jaaliyon ke neeche teri rehmaton ke saaye
jise dekhni ho jannat wo madina dekh aaye
pahunch jaayenge jis din aye ujaagar unke qadmon mein
kise kehte hain jannat ka nazaara ham bhi dekhenge
hamein bulwaayenge aaqa madina ham bhi dekhenge
humko bulaana ya rasulallah
humko bulaana ya habiballah
Comments
Post a Comment