Roman(ENG): chhor fikr duniya ki, chal madine chalte hei.n mustafa ghulaamo.n ki qismatei.n badalte hei.n jis dar pe ghulaamo.n ke haalaat badalte hei.n aao, usi aaqa ke darbaar mei.n chalte hei.n lillah ! bula lijiye, dukh-dard ke maaro.n ko taibaa ki ziyaarat ko armaan machalte hei.n mustafa ghulaamo.n ki qismatei.n badalte hei.n chhor fikr duniya ki, chal madine chalte hei.n rahmato.n ki chaadar ke, sar pe saaye chalte hei.n mustafa ke diwaane, ghar se jab nikalte hei.n chhor fikr duniya ki, chal madine chalte hei.n hara gumbad jo dekhoge, to duniya bhul jaaoge agar taiba ko jaaoge, to aana bhul jaaoge tumhaare saamne hoga, kabhi jab gumbad-e-khazra nazar jam jaayegi us par, hataana bhul jaaoge humko roz milta hai, sadqa aal-e-zahra ka punjtan ke Tukdo.n par, khushnaseeb palte hei.n chhor fikr duniya ki, chal madine chalte hei.n zikr-e-shaah-e-bat'ha ko, wird ab bana lijiye ye wo zikr hai jis se, gham khushi mei.n dhalte hei.n chhor fikr duniya ki, chal madine chalte hei.n na...