Maa Tere pyar ka haq ham se ada kya hoga Lyrics


Maa Tere pyar ka haq ham se ada kya hoga
Tujo naraz ho khush ham se Khuda kya hoga


Tune Aulad pe kya kuchh nahin qurban kiya
Apni nindein hamein di Apna wo sukh chain diya
Log karte the agar Tujse shikayat Meri
Jaan par khel ke karti thi hifazat Meri
Jab koi Mujko sataye to bigad jati thi
Meri khatir kabhi jagde pe utar jati thi
Meri sanson mein to mojud hai khushbu ban kar
Meri raton mein chamakti hai Tu jugnu ban kar
Tera dil todke beton ka bhala kya hoga
Maa Tere pyar ka haq ham se ada kya hoga

Yaad aati hein abhi tak Muje baatein Teri
Mere rone se chhalak jati thi aankhein Teri
Tu Muje rota hua dekhke ro deti thi
Apna sukh chain Mere waste kho deti thi
Fir duaein Muje de de mein sanwar jaunga
Tu yunhi ruthi rahegi to mein mar jaunga
Hoga ahesan gale bhar ke lagale Mujko
Apni mamta badi jannat mein chhupa le Mujko
Yahi Ek rasta aur iske siwa kya hoga
Maa Tere pyar ka haq ham se ada kya hoga

Teri azmat ko kiya bad ke farishton se tawaf
Aur qadam meine uthaye Teri marzi ke khilaf
Kitna badbakht wo Farmane Khuda bhul gaya
Mein jawan hote hi ahesan Tera bhul gaya
Janta hun ke khatakar gunahgar hun Mein
Tu khafa hai to musibat mein giraftar hun Mein
Maaf kar de Muje fir bad ke sahara dede
Maa Meri dubti kashti ko kinara dede
Warna Muj jaisa gunahgar koi kya hoga
Maa Tere pyar ka haq ham se ada kya hoga

Log auron ke liye Maa ko bhula dete hein
Uske jazbat ko suli pe chada dete hein
Bude Maa Baap ke jo kaam nahin aayega
Apni Aulad se to iska sila payega
Ye agar bichhde to fir hath kahan aayenge
Rehmaton ke liye saugat kaha payenge
Haa abhi waqt hai Maa Baap ki khidmat karlo
Nekiya lut lo aur khushiyon se daman bhar lo
Jayega bas wohi Jannat mein bhi jo Maa ka hoga
Maa Tere pyar ka haq ham se ada kya hoga

Wasta Adam Hawa ka Tuje deta hun
Wasta Shahe Madina ka Tuje deta hun
Wasta deta hun Haidar ki shuja'at ka Tuje
Wasta Fatema Zahra ki ibadat ka Tuje
Tujo khush hogi to khush honge Hasan aur Husain
Warna wiran rahega Mere jiwan ka chaman
Aye Meri Maa Tu Mera dudh na bakhshegi agar
Aag dozakh ki jalayegi Muje reh reh kar
Baad marne ke zara soch Mera kya hoga
Maa Tere pyar ka haq ham se ada kya hoga

Maa ka dil tute to aawaz Khuda tak pahunche
Ye jo roye to Farishton ko bhi rona aaye
Maa ke dukh dard ko beta na agar samjega
Usko Jannat mein Khuda bhi nahin jane dega
Mere Aaqa nahin denge use Jame Kausar
Raat din barsegi Allah ki lanat us par
Chahe Hafiz ke ho Haji ya Namazi Aalim
Aese beton se Khuda kaise ho razi aalam
Jo bhalaii na kare ga to bhala kya hoga
Maa Tere pyar ka haq ham se ada kya hoga

Comments

  1. Very emotional nazam 😓😢

    ReplyDelete
  2. Mashallah...ye padh kar agar jo nhi sudhra wo kabhi nhi sudhar paega

    ReplyDelete
  3. I love you ammi Abu Allah har Kisi ki maa ko salamat rakhae or jinki maayen Allah ko pyari ho gaye hen allah tala un sub ko janat mn ala makam ata farmaye

    ReplyDelete
  4. سُبْحَانَ ٱللّٰهِ

    ReplyDelete

Post a Comment

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

kya bataun ki kya madina hai naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics || मदीने के आक़ा , सलामुन अलैक || مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

al madad peerane peer , gaus-e-aazam dastageer naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Aa gaya Ramzan hai Kalam lyrics by Bilal Qadri in English ~ Hindi

Aye Shahenshahe Madina Assalat-o-Wassalam || अये शहंशाहे मदीना अस्सलातु वस्सलाम || اے شہنشاہِ مدینہ ! اَصَّلَاتُ وَ اسّلَامْ