Roman(Eng): maa-baap bade anmol he.n , maa-baap bade anmol hukm-e-KHuda hai inko kabhi , tu uff tak bhi na bol maa-baap bade anmol he.n , maa-baap bade anmol baap shajar hai shafkat ka, aur maa hai thandak di chhao.n unki duaae.n lete rehna, chumte rehna paao.n aur kisi rishte se inka, pyaar kabhi na tol maa-baap bade anmol he.n , maa-baap bade anmol jaisi ho aulad bhale, har aan duaae.n dete he.n chumte he.n aulad ka maatha, sar ki balaae.n lete he.n inki ,amta aur shafkat me.n, aata nahi hai jhol maa-baap bade anmol he.n , maa-baap bade anmol hukm-e-KHuda hai inko kabhi , tu uff tak bhi na bol karta hai aulad ki khaatir, baap jahaa.n ki mazdoori sota nahi.n aaram se ghar me.n, jaisi bhi ho majboori bachcho.n ko sukh deta hai, aur khushiyo.n ka maahol maa-baap bade anmol he.n , maa-baap bade anmol khud geele me.n so jaaye, sukhe me.n sulaaye bachcho.n ko dekar maa aanchal ki hawa, garmi se bachaaye bachcho.n ko hashr talak maa ki mamta ka, paa na sakega mol maa-baap bade anm...