bolo madina, madina, madina bolo madina, madina, madina bolo madina, madina, madina na kaleem ka tasawwur, na khayaal-e-toor-e-seena meri aarazu muhammad, meri justaju madina mere doobne me.n baaki, na koi kami rahi thi kaha al-madad muhammad, to ubhar gaya safeena nahi.n maal-o-zar to kya hai, mai.n garib hu.n yahi na mere ishq mujhko le chal, tu hi jaanib-e-madina mujhe gardisho.n na chhedo, mera hai koi jahaa.n me.n mai.n abhi pukaar lunga, nahin door hai madina tasweer-e-mustafa jo, nazar aa rahi hai dil me.n mai.n sochta hu.n dil me.n, mera dil hai ya madina inhi.n dono.n manzilo.n ki, mehdo.n me.n kho gaya hu.n kabhi ru-baru hai kaa'ba, kabhi saamne madina ba-juz iske zindagi mein, nahin aur kuchh tamanna muje maut bhi jo aaye, to ho samne madina ...