Posts

Showing posts from April, 2015

Andheri Raat Hai Gham Ki Ghata Isyaa Ki Kaali Hai Lyrics

Andheri Raat Hai Gham Ki Ghata Isyaa Ki Kaali Hai Dil-e-Be Kas Ka Is Aafat Mai Aqa Tu Hi Vaali Hai Are Ye Bhediyon Ka Ban Hai Aur Shaam Aa Gai Sar Par Kaha Soya Musafir Haae Kitna Laa Ubali Hai Zamee Tapti Katili Rah Bhaari Boj Gayal Paao Musibat Jelne Vaale Tera Allah Vaali Hai Andhera Ghar Akeli Jaan Dam Gut'ta Dil Uktata Khuda Ko Yaad Kar Pyare Vo Sa'at Ane Vaali Hai GunahGaaron Ko Hatif Se Naveed-e-Khush Ma'ali Hai Mubarak Ho Shafa'at Ke Liye Ahmad Sa Vaali Hai Kaza Haq Hai Magar Is Shok Ka Allah Vaali Hai Jo Unki Rah Mai Jaae Vo Jaan Allah Vaali Hai Mai Ek Mohtaaj Be Vak'at Gada Tere Sage Dar Ka Teri Sarkar Vaala Hai Tera Darbaar Aali Hai RAZA Teri Manzil To Jesi Hai Vo Ek Mai Kya Sabhi Ko Hai Tum Is Ko Rote Ho Ye To Kaho Yaan Hath Khali Hai

Arsh Ki Akl Dang Hai Charkh Mai Aasaman Hai Lyrics

Arsh Ki Akl Dang Hai Charkh Mai Aasaman Hai Jane Murad Ab Kidhar Haae Tera Makan Hai Bazm-e-Sana-e-Zulf Mai Meri Urus-e-Fikr Ko Saari Bahar-e-Hasht Khuld Chhota Sa Itr Daan Hai Arsh Pe Taaza Ched Chad Farsh Pe Turfa Dhum Dham Kaan Jidhar Lagaiye Teri Hi Dastaan Hai Vo Jo Na The To Kuchh Na Tha Vo Jo Na Ho To Kuchh Na Ho Jaan Hai Vo Jahan Ki Jaan Hai To Jahan Hai Ghod Mai Aalam-e-Shabaab Haal-e-Shabaab Kuchh Na Puchh Gulbun-e-Baag-e-Noor Ki Aur Hi Kuchh Uthan Hai Shan-e-Khuda Na Saath De Un(jis) Ke Khiraam Ka Vo Baaz Sidra Se Taaz Mai Jise Narm(Halki) Si Ek Udaan Hai Baar-e-Jalal Utha Liya Garche Kaleja Shak Hua Yun To Ye Mah-e-Sabz Rang Nazron Mai Dhan Paan Hai Khauf Na Rakh RAZA Zara Tu To Hai Abd-e-Mustafa Tere Liye Aman Hai Tere Liye Aman Hai

Kis Ke Jalwe Ki Jalak hai Ye Ujala Kya Hai Lyrics

Kis ke Jalwe Ki Jalak Hai Ye Ujaala Kya Hai Har Taraf Deeda-e-Hairat Zada Takta Kya Hai Unki Ummat mein Banaya Unhe Rehmat bheja Yu na Farma Ke Tera Reham mein Dawa kya hai Sadqa Pyare ki Haya ka ke na le Mujse Hisaab Baksh Be Puchhe Lajae ko Lajana kya hai Be Basee ho Jo Muje Pursishe Aamal ke waqt Doston kya kahun Us waqt Tamanna kya hai Kaash Fariyad Meri Sun ke Ye Farmaein Huzur Haan koi Dekho Ye Kya Shor kai Ghoga kya hai Kaun Aafat Zada hai Kis pe Balaa tooti hai Kis Musibat mein Giraftar hai Sadma kya hai Kis Se Kehta hai Lillah Khabar Lijiye Meri Kyun hai Be Taab Ye Becheni ka Rona kya hai Is Ki Becheni Se Hai Khatir-e-Akdas Pe Malal Be Kasi KEsi Hai Puchho Koi Guzra Kya Hai Yu Maeek Kare Ma'arooz Ke Ek Mujrim Hai Is Se Pursish Hai Bata Tune Kiya Kya Kya Hai Samna Kehar Ka Hai Daftar-e-Aamal Hai Pesh Dar Raha Hai Ke Khuda Hukm Sunata Kya Hai Aap Se Karta Hai Fariyad Ke Ya Shah-e-Rusul Banda BE Kas Hai Shaha Reham Mai Vakfa Kya Hai Ab Koi Dam

Rah pur khaar hai kya hona hai

Rah Pur Khaar Hai Kya Hona Hai Paao Afghar Hai Kya Hona Hai Khuahk Hai Khun Ke Dushman Zalim Sakht Khunkhaar Hai Kya Hona Hai Ham Ko Bid Kar Vahi Karna Jis Se Dost Be Zaar Hai Kya Hona Hai Tan ki aab kaun khabar le he-hai Dil ka aazaar hai kya hona hai Meethe sharbat de maseeha jab bhi Zid hai inkaar hai kya hona hai Dil ki teemar hamara karta Aap bimaar hai kya hona hai Par kate, tang kafas aur bulbul Nou-giraftaar hai kya hona hai Chup ke logo(n) se kiye jiske gunah Woh khabardaar hai kya hona hai Are O mujhrim e be-parwah dekh Sar pe talwaar hai kya hona hai Tere bimaar ko mere isaa Gash lagatar hai kya hona hai Nafse puzor ka wo zor aur dil Zer hai zaar hai kya hona hai Kaam zinda ke kiye aur hame Shouke gulzaar hai kya hona hai Haye re neend musafir teri Kooch taiyar hai kya hona hai Duur jaana hai raha din thoda Rah dushwaar hai kya hona hai Ghar bhi jaana hai musafir ki nahi Mat pe kya maar hai kya hona hai Jaan ha

Kya Mahekte Hai Mahekne Vaale

Kya Mehakte Hai Mehakne Vaale Bu Pe Chal Te Hai Bhatakne Vaale Jagmaga Uthi Meri Gor Ki Khak Tere Qurbaan Chamakne Vaale Mah-e-Be Daag Ke Sadke Jaoo Yun Damakte Hai Damakane Vaale Abre Rehmat Ke Salami Rehna Falte Hai Poode Lachakne Vaale Sunniyon ! Un Se Madad Mange Jaao Pade Bakte Rahe Bakne Vaale Nakhl Se Chhat Ke Ye Kya Haal Hua Aah O Patte Khadakne Vaale Ghul-e-Tayba Ki Sana Ghate Hai Nakhl-e-Tooba Pe  Chahakne Vaale Aasiyon ! Thaam Lo Daman Unka Vo Nahi Hath Jidakne Vaale Kafe Dariya-e-Karam Mai Hai RAZA Paanch Favvare Chhalakne vaale

Chamak Tuj Se Paate Hai Sab Paane Vaale

Chamak Tuj Se Paate Hai Sab Paane Vaale Mera Dil Bhi Chamkade Chamkane Vaale Barasta Nahi Dekh Kar Abr-e-Rehmat Badon Par Bhi Barsade Barsane Vaale Madine Ke Khitte Khuda Tujko Rakkhe Garibon Fakiron Ke Thehrane Vaale Tu Zinda Hai Wallah Tu Zinda Hai Wallah Mere Chashm-e-Alam Se Chhup Jaane Vaale Mai Mujrim Hun Aqa Muje Saath Lelo Ke Raste Mai Hain Ja Baja Thane Vaale Haram Ki Zamee Aur Kadam Rakhke Chalna Are Sar Ka Mauka Hai O Jaane Vaale Tera Khaaen Tere Gulamon Se Ulje Hain Munkir Ajab Khane Gurrane Vaale Rahe Ga Yuhi Unka Charcha Rahega Pade Khaak Ho Jaae Jal Jaane Vaale RAZA Nafs Dushman Hai Dam Mai Na Ana Kaha Tumne Dekhe Hai Chandarane Vaale

Arsh-e-Haq Hai Masnad-e-Rif'at Rasulallah Ki

Arsh-e-Haq Hai Masnad-e-Rif'at Rasulallh Ki Dekhni Hai Hashr Mai Izzat Rasulallah Ki Kabr Mai Lehraenge Ta Hashr Chashme Noor Ke Jalva Farma Hogi Jab Tal'at Rasulallah Ki La V Rabbil Arsh Jis Ko Jo Mila Un Se Mila Bat ti hai Kaunain Mai Na'amt Rasulallah Ki Vo Jahannam Mai Gaya Jo Unse Mustagni Hua Hai Khalilullah Ko Hajat Rasulallah Ki Suraj Ulte Paao Palte Chand Ishare Se Ho Chaak Andhe Najdi Dekhle Kudrat Rasulallah Ki Tum Se Aur Jannat Se Kya MAtlab Wahhabi Dur Ho Ham Rasulallah Ke Jannat Rasulallah Ki Ham Bhikari Voh Kareem Unka Khuda Unse Fazoon Aur Na Kehna Nahi Aadat Rasulallah Ki Ahle Sunnat Ka Hai Beda Paar As'hab-e-Huzur Najm Mai Aur Naav Hai Itrat Rasulallah Ki Khaak ho Kar Ishk Mai Aram Se Sona Mila Jaan Ki Aksir Hai Ulfat Rasulallah Ki Toot Jaenge Gunah Garon Ke Fauran Kaid o Band Hashr Ko Khul Jaegi Takat Rasulallah Ki Ae RAZA Khud Sahib-e-Qra'aa Hai Madda-e-Huzur Tujse Kab Munkin Hai Fir Mid'hat Ras

Sabse Ula V Ala Hamara Nabi Lyrics

Sabse Ula V Ala Hamara Nabi Sabse Bala V Vala Hamara Nabi Apne Maula Ka Pyara Hamara Nabi Dono Alam Ka Dulha Hamara Nabi Bazm-e-Akhir Ka Sham'a faroza Hua Noor-e-Avval Ka Jalva Hamara Nabi Jis Ko Shaya Hai Arsh-e-Khuda Par Julus Hai Vo Sultan-e-Vaala Hamara Nabi Buj Gaee Jis Ke Aage Sabhi Mash'ale  Sham'a Vo Lekar Aaya Hamara Nabi Jinke Talvon Ka Dhovan Hai Aab-e-Hayat Hai Vo Jaan-e-Maseeha Hamara Nabi Khalk Se Auliya Auliya Se Rusool  Aur Rusoolo Se Ala Hamara Nabi Jis Ki Do Bund Hai Kausa-o-Salsabeel Hai Vo Rehmat Ka Dariya Hamara Nabi Jaise Sabka Khuda Ek Hai Vaise Hi Inka Unka Tumhara Hamara Nabi Qarnon Badli Rasoolon Ki Hoti Rahi  Chand Badli Ka Nikla Hamara Nabi Kaun Deta Hai Dene Ko Muh Chahiye Dene Vala Hai Sacha Hamara Nabi Kya Khabar Kitne Taare Khile Chhup Gae Par Na Dube Na Duba Hamara Nabi Saare Achhon Se Achha Samajiye Jise Hai Us Achhe Se Achha Hamara Nabi Saare Unchon Se Uncha Samajiye Jise Hai Us Un

Ronaq-e-Bazme Jaha Hai Aashikan-e-Sokhata Lyrics

Ronaq-q-Bazme Jaha Hai Aashikan-e-Sokhata Keh Rahi Hai Sham'a Ki Goya Zuban-e-Sokhata Jis Ko Qurs-e-Mehar Samja Hai Jaha Ae Muneemo UnKe Khvane Jood Se Hai Ek Naane Sokhata Barke Angusht-e-Nabi Chamki Thi Us Par Ek Baar Aaj Tak Hai Sina-e-Mah me Nishane Sokhata Kucha-e-Gaisu-e-Jaana Se Chale Thandi Naseem Baalo Par Afshaan Ho Ya Rabb BulBulane Sokhata Maahe Man ! Ye Nayyar-e-Mahshar Ki Garmi Tabake Aatash-e-Isyaan Mai Khud Jalti Hai Jaan-e-Sokhata Ae RAZA ! Mazmoon Soz-e-Dil Ki Rif'at Ne Kiya Is Zameen-e-Sokhata Ko Aasaman-e-Sokhata

Kya Hi Zok Afza Shafa'at Hai Tumhari Vah Vah Lyrics

Kya Hi Zoq Afza Shafa'at Hai Tumhari Vah Vah Karz Leti Hai Gunah Parhez Gari Vah Vah Khama-e-Qudrat Ka Husn-e-Dast Kaari Vah Vah Kya Hi Tasveer Apne Pyare Ki Savari Vah Vah Ungaliyan Hai Faiz Par Tute Hai Pyase Jum Kar Nadiyan Panjab-e-Rehmat Ki Hai Jaari Vah Vah Is Taraf Roze Ka Noor Us Samt Mimbar Ki Bahar Bich Mai Jannat Ki Pyari Pyari Kyari Vah Vah Nafs Ye Kya Zulm Hai Jab Dekho Taaja Jurm Hai Natava Ke Sar Pe Itna Boj Bhari Vah Vah Ashk Shab Bhar Intezar-e-Afve Ummat Mai Bahe Mai Fida Chand Aur Yun Akhtar Shumari Vah Vah Kya Madeene Se Saba Aai Ke Foolon Mai Hai Aaj Kuchh Nai Bu Bhini Bhini Pyari Pyari Vah Vah Para-e-Dil bhi Na Nikla Dil Se Tohfe Mai RAZA Un Sagan-e-Quu Se Itni Jaan Pyari Vah Vah

Yaad Mai Jiski Nahi Hosh-e-Tano Jaa ham Ko Lyrics

Yaad Mai Jiski Nahi Hosh-e-Tano Jaa Ham Ko Fir Dikha De Vo rukh Ae Mehr-e-Faroza ! Ham Ko Der Se Aap Mai Ana Nahi Milta Hai Hame Kya Hi Khud Rafta Kiya Jalva-e-Janaa ! Ham Ko Jis Tabassum Ne Gulistaa Pe Giraee Bijli Fir Dikhade Vo Ada-e-Gule Khanda Ham Ko Jab Se Ankhon Mai Samaee Hai Madinaa Ki Bahar Nazar Aate Hai Khazaa Dida Gulistaa Ham Ko Sere Gulshan Ko Aseerane Kafas Ko Kya Kaam Na De Takleef-e-Chaman BulBul-e-Bastaa Ham Ko Paao Girbaal Hue Rah-e-Madeena Na Mili Ae Junu ! Ab To Mile Rukhsat-e-Zandaa Ham Ko Chaak Damaa Mai Na Thak Jaaiyo Ae Dast-e-Junu Purze Karna Hai Abhi Jaibo Girebaa Ham Ko Mere Har Zakhm-e-Jigar Se Ye Nikalti Hai Sada Ae Maleeh-e-arabi ! Karde Namakdaa Ham Ko Ae RAZA Vasf-e-Rukh-e-Paak Sunane Ke Liye Nazar Dete Hai Chaman , Murg-e-Gazal Khvaa Ham Ko

Zamana Hajj Ka Hai Jalva Diya Hai Shahid-e-Gul Ko

Zamana Hajj Ka Hai Jalva Diya Hai Shahid-e-Gul Ko Ilahi Takat-e-Parvaz De Par Haae BulBul Ko Mile Lab Se Vo  Mushken  Mohr  Vaali Dam Mai Dam Aae Tapak Sun Kar Qume Isa Kahu Masti Mai BulBul Ko Do Shamba Mustafa Ka Jumma-e-Adam Se Behtar Hai Sikhana Kya Lihaz-e-Haisiyat Khu-e-Ta'ammul ko RAZA Ye Sabza-e-Gardoo Hai Vo  Kotal Jiske Mokab Ke Koi Kya Likh Sake Iski Savari Ke Tajammul Ko 

Chaman-e-Taybaa Mai Sumbul Jo Savaare Gaesoo

Chaman-e-Taybaa Mai Sumbul Jo Savaare Gaesoo Hoor Bad Kar Shikane Naaz Pe Vaare Gaesoo Ham Siya Karon Pe Ya Rabb Tapish-e-Mehshar Mai Saya Afgan Ho Tere Pyare Ke Pyare Gaesoo Sukhe Dhanon Pe Hamare Bhi Karam Ho Jaae Chhae Rehmat Ki Gata Banke Tumhare Gaesoo Bhini Khushbu Se Mahak Jaati Hai Kaliya Wallah Kese Foolon Mai Basae Hai Tumhare Gaesoo Ki Jo Baalon Se Tere Roze Ki Jarub Kashi Shab Ki Shabnam Ne Tabarruk Jo Hai Dhare Gaesoo Ohad-e-Paak Ki Choti Se Ulaj Le Shab Bhar Sub'h Hone Do Shab-e-Eid Ne Hare Gaesoo Tel Ki Bunde Tapakti Nahi Baalon Se RAZA Sub'he Aariz Pe Lutate Hai Sitare Gaesoo

Zaeer-o-Paas Adab Rakho Hawas Jaane Do

Zaeer-o-Paase Adab Rakho Hawas Jaane Do Ankhen Andhi Hui Hai Inko Taras Jaane Do Sukhi Jaati Hai Ummid-e-Guraba Ki Kheti Bundiya Lakka-e-Rehmat Ki Baras Jaane Do Hambi Chalte Hai Zara Kafeele Vaalo Thehro Ghadhriyan Tosha-e-Ummid Ki Kas Jaane Do Palti Aati Hai Abhi Vajd Mai Jaan-e-Shiree Nagma-e-Qum Ka Zara kano mai Ras Jaane Do Ae RAZA Aah Ke Yu Sehal Kate Zurm Ke Saal Do Gadi Ki Bhi Ibadat To Baras Jaane Do

Vo Kamal-e-Husne Huzur Hai

Vo Kamal-e-Husne Huzur Hai Ke Gumaan-e-Naksh Jaha Nahi Yahi Fool Khar Se Dur Hai Yahi Sham'a Hai Ke Dhua Nahi Ba Khuda Khuda Ka Yahi Hai Dar Nahi Aur Koi Mafar Makar Jo Vaha Se Ho Yahi Aake Ho Jo Yaha Nahi Vo Vaha Nahi Tere Aage Yu Hai Dabe Laje  Fus'ha Arab Ke Bade Bade Koi Jaane Muh Mai Zabaa Nahi Nahi Balke Jism Mai Jaa Nahi Vahi Laa Maka Ke Makee Hue Sar-e-Arsh Takht Nasee Hue Vo Nabi Hai Jiske Hai Ye Makaa Vo Khuda Hai Jiska Makaa Nahi Sar-e-Arsh Par Hai Teri Guzar  Dil-e-Farsh Par Hai Teri Nazar Malkoot-o-Mulk Mai Koi Shai'a Nahi Vo Jo Tujse Iyaa Nahi Karoo Tere Naam Pe Jaa Fida  Na Bas Ek Jaa Nahi Do Jaha Fida Do Jaha Se Bhi Nahi Jee Bhara Karu Kya Karodo Jaha Nahi Karu Mad'ha Ahl-e-Doval RAZA Pade Is Bala Mai Meri Bala Mai Gada Hu Apne Kareem Ka Mera Deen Para-e-Naa Nahi

Rah-e-Irfaa Se Jo Ham Nadeeda Ruh Mehram Nahi

Image
Rah-e-Irfaa Se Jo Ham Nadeeda Ruh Mehram Nahi Mustafa Hai Masnad-e-Irshad Par Kuchh gam Nahi Hun Musalmaa Garche Nakis Hi Sahi Ae Kaamilon ! Maahiyat Paani Ki Akhir Yam Se Nam Mai Kam Nahi Gunche Ma Avha Ke Jo Chatke Dana Ke Baag Mai Bulbul-e-Sidra Ki Akhir Yam Se Nam Mai Kam Nahi Isme ZamZam Hai Ke Tham Tham Is Mai Jam Jam Hai Ke Paish Kasrat-e-Kausar Mai  ZamZam Ki Tarha Kam Kam Nahi Inko Be Mange Mila Unko Ragad Kar Aediya Maalik-e-Kausar Ka Hamsar Sahib-e-ZamZam Nahi Esa Ummi Kis Liye Mannat Kase Ustaad Ho Kya Kifayat Isko Iqra Rabbukal Akram Nahi Hai Unhi Ke Dam Kadam Se Baag-e-Alam Mai Bahar Vo Na The Alam Na Tha Ghar Vo Naho Alam Nahi Saya-e-Divaar o Khake Dar Ho Ya Rabb Aur RAZA Khvahish-e-Dayheem-e-Kaysar , Shok-e-Takhte Jam Nahi Watch This Naat Video .....

Aariz-e-Shamso Kamar Se Bhi Hai Anwar Aediya

Aariz-e-Shamso Kamar Se Bhi Hai Anwar Aediya Arsh Ki Ankhon Ke Taare Hai Vo Khushtar Aediya Unka Mangata Paao Se Thukrade Vo Duniya Ka Taaj Jiski Khatir Mar Gae Muneem Ragad Kar Aediya Taaj Ruhul Qudus Ke Moti Jise Sajda Kare Rakhti Hai Wallah Vo Paakiza Gohar Aediya  Ek Thokar Mai Ohad Ka ZalZala Jata Raha Rakhti Hai Kitna Wakkar Allahu Akbar Aidiya Ae RAZA Tufaane Mahshar Ke Talatum Se Na Dar Shaad Ho ! Hai Kishti-e-Ummat Ko Langar Aediya

Paat Vo Kuchh , Dhaar Ye Kuchh , Zaar Ham

Paat Vo Kuchh , Dhaar Ye Kuchh , Zaar Ham Ya Ilahi Kyu Kar Utre Paar Ham Kis Bala Ki Mai Se Hai Sarshar Ham Din Dhala Hote Nahi Hushyaar Ham Tum Karam Se Mushtari Har Aib Ke Jinse Naa Makbool-e-Har Bazaar Ham Dushmano Ki Ankh Mai Bhi Fuul Tum Doston Ki Bhi Nazar Mai Khaar Ham Lagzish-e-Paa Ka Sahara Ek Tum Girne Vaale Lakhon Na Hanjaar Ham Sadka Apne Baazuon Ka Al Madad Kaise Tode Ye But-e-Bandaar Ham Apni Rehmat Ki Taraf Dekhen Huzur Jante hai Jaise Hai Badkaar Ham Apne Kuche Se Nikale To Na Do Hai To Had Bhar Ke Khudai Khaar Ham Haath Utha Kar Ek Tukda Ae Kareem Hai Sakhi Ke Maal Mai Hakdaar Ham Nazishain Karte Hai Apas Mai Malak  Hai Gulaman-e-Shahe Abraar Ham Un Ke Aage Da'ava-e-Hasti Raza Kya Bake Jaata Hai Ye Har Baar Ham

Hai Kalam-e-Ilahi Mai Sham-o-Duha

Hai Kalam-e-Ilahi Mai Shams-o-Duha Tere Chehra-e-Noor-e-Faza Ki Kasam Kasam-e-Shabe Taar Mai Raaz Ye Tha Ke Habeeb Ki Zulf-e-Dota Ki Kasam Tere Khulk Ko Haq Ne Azeem Kaha Tere Khalk Ko Haq Ne Jameel Kiya Koi Tuj Sa Hua Hai Na Hoga Shaha Tere Khalik-e-Husno Ada Ki Kasam Vo Khuda Ne Hai Martaba Tuj Ko Diya Na Kisi Ko Mile Na Kisi Ko Mila Ke Kalam-e-Majeed Ne Khai Shaha Tere Shehr o Kalam o  Baka Ki Kasam Tera Masnad-d-Naaz Hai Arsh-e-Bari Tera Mahram Raaz Hai Rooh-e-Amee Tu Hi Sarvar-e-Har Do Jaha Hai Shaha Tera Misl Nahi Hai Khuda Ki Kasam Yahi Arz Hai Khalik-e-Arzo Sama Vo Rasool Hai Tere Mai Banda Tera Muje Unke Javar Mai De Vo Jagah Ke Hai Khuld ko Jis Ki Safa Ki Kasam Tu Hi Bandon Pe Karta Hai Lutf o Ata Hai Tuji Pe Bharosa Tuji Se Dua Muje Jalva-e-Paak Rasool Dikha  Tuje Apne Hi Izzo Ala Ki Kasam Mere Garche Gunah Hai Had Se Siva Magar Inse Ummid Hai Tuj Se Riza Tu Raheem Hai Unka Karam Hai Gavah Vo  Kareem Hai Teri Ata Ki Kasam Yehi Kehti Hai

Ankhen Ro Ro Ke Sujane Vaale

Ankhen Ro Ro Ke Sujaane Vaale Jaane Vaale Nahi Aane Vaale Koi Din Mai ye Sara Ujad Hai Are o Chhavni Chhavne Vaale Ankhen Kuchh Kehti Hai Tujse Paigaam O Dare Yaar Ke Jaane Vaale Fir Na Karvat Li Madine Ki Taraf Are  Chal Jhute Bahane Vaale Are Bad Faal Buri Hoti Hai Desh Ka Jangala Sunane Vaale Husn Tera Sa Na Dekha Na suna Kehte Hai Agle Zamane Vaale Kyu RAZA Aaj Gali Suni Hai Uth Mere Dhum Machane Vaale

Shah-e-Vaala Muje Taybaa Bulalo

Shah-e-Vaala Muje Taybaa Bulalo  Taybaa Bulalo Muje Taybaa Bulalo Dodi Ka Aoni Kutta Banalo Kadmon Se Apne Mujko Lagalo Neko Ke Sadke Mai Hamse Bado Ko Zaaro Na Zaaro MusibatZadon Ko Maula Nibhalo Mere Maula Nibhalo Han Han Nibhalo Mere Aqa Nibhalo Ankhon Mai Aao Dil mai Samao Parda Uthao Jalvaa Dikhao Hasrat Zada Ki Pyare Dua Lo Hasrat Nikalo Meri Hasrat Nikalo Qurbaan Jaaoo Qurbaan Jaaoo Sar Sadke Karke Sadke Utaaru Kadmon Apne Maula Bulalo Maula Bulalo Muje Maula Bulalo Dolat Hai Nayya Mori Bhavar Mai Maula Tarao Aike Nazar Mai Manjadar Mai Hu Maula Bacha Lo Pyare Bachalo Muje Shaha Bachalo Ye NOORI Muztar Tera Sana Ghar Aur Iska Ghar Bhar Ho Hazire Dar Apne Gada ghar Ko Dar Par Bulalo Amno Amaa Se Hame Sarvar Bulalo

Kuchh Esa Karde Mere Kirdagar Ankho Mai

Kuchh Esa Kar De Mere Kirdagar Ankhon Mai Hamesha Naksh Rahe Rooh-e-Yaar Ankhon Mai Vo Noor De Mere Parvardigar Ankho Mai Ke Jalva-e-Ghar Rahe Rukh Ki Bahar Ankho Mai Basa Hua Hai Koi Ghul Azar Ankho Mai Khila Hai Chaar Taraf La La Zaar Ankhon Mai Unhe Na Dekha To Kis Kaam Ki Hai Ye Ankhen Ke Dekhne Ki Hai Saari Bahar Ankhon Mai Nazar Mai Kese Samaenge Ful Jannat Ke Ke Bas Chuke Hai Madeene Ke Khaar Ankhon Mai Ajab Nahi Ke Likha Loh Ka Nazar Aae Jo Naksh-e-Paa Ka Lagaoo Gubaar Ankho Mai Ye Kya Suvaal Hai Ke Kis Ka Banda Hai Mai Jis Ka Banda Hu Hai Noor Baar Ankho Mai Piya Hai Jaam-e-Muhabbat Jo Apne Noori Hamesha Iska Rahega Khumaar Ankho Mai

Ahl-e-Siraat Ruh-e-Amee Ko Khabar Kare

Ahl-e-Siraat Ruh-e-Amee Ko Khabar Kare Jaati Hai Ummat-e-Nabavi Arsh Par Kare Bad Hai To Apke Hai Bhale Hai To Apke Tokdo Se To Yaha Ke Pale rukh Kidhar Kare Sarkaar Ham Kameeno Ke Atvaar Par Na Jaae Aqa Huzur Apne Karam Par Nazar Kare Jaalo Pe Jaal Pad Gae Lillah Vakt Hai Mushkil Kushaee Aap Ke Nakhoo Agar Kare Unki Haram Ke Khaar Kaseeda Hai Kis Liye Ankhon Mai Aae Sar Pe Rahe Dil Mai Ghar Kare Kirke Raza Hai Khanjar-e-Khunkhaar BardBaar A'ada Se Kehdo Khair Manae Na Shar Kare

Fir Ke Gali Gali Tabah Thokare Sab Ki Khaae Kyu

Fir Ke Gali Gali Tabah Thokare Sab Ki Khaae Kyu Dil Ko Jo Akl De Khuda Teri Gali Se Jaae Kyu Rukhsat-e-Kaafila Ka Shor Ghas Se Hame Uthaae Kyu Sote Hai Unke Saae Mai Koi Hame Jagae Kyu Baar Na The Habib Ko Paalate Hi Gareeb Ko Roye Jo Ab Naseeb Ko Chain Kaho Gavaen Kyu Sang-e-Dare Huzur Se Hamko Khuda Na Sabr De Jaana Hai Sar Ko Jaa Chuke Dil Ko Karaar Aae Kyu Ab To Na Rok Ae Gani Adat-e-Sag Bigad Gaee Mere Kareem Pehle Hi Lukmaa-e-Tar Khilaae Kyu Jaan Hai Ishk-e-Mustafa Roz Fazoon Kare Khuda Jis Ko Ho Dard Ka Mazaa Naaz-e-Dava Uthae Kyu Ham To Hai Ap Dil Figaar Gham Mai Hansi Hai Na Gavaar Chhed Ke Gul Ko No Bahaar Khun Hame Rulaae Kyu Dekh Ke Hazrate Gani Faill Pade Fakir Bhi Chhaee Hai Ab To Chhavni Hashr Hi Aa Na Jaae Kyu Hai To RAZA Nira Sitam Jurm Pe Gar Lajaae Ham Koi Bajaae Soze Gam Saaz-e-Tarab Bajaae Kyu

Kalb Ko Us Ki Ruyat Ki Hai Aarzu

Kalb Ko Us Ki Ruyat Ki Hai Aarzu Jiska Jalva Hai Aalam Mai Har Chaarsu Balki Khud Nafs Mai Hai Vo Sub'hanahu Arsh Par Hai Magar Arsh Ko Justaju Allahu ....Allahu.....Allahu.....Allahu....Allahu.. Arsho Farsho Zamano Jahat Ae Khuda Jis Taraf Dekhta Hu Hai Jalva Tera Zarre Zarre Ki Ankho Mai Tu Hi Ziya Katre Katre Ki Tu Hi To Hai Abroo Allahu ....Allahu.....Allahu.....Allahu....Allahu.. Tu Kisi Jaa Nahi Aur Har Jaa Hai Tu Tu Munazza Maka Se Mubarrajsu Ilmo Kudrat Se Har Jaa Hai Tu Ku B Ku Tere Jalve Hai Har Har Jagah Ae Afoo Allahu ....Allahu.....Allahu.....Allahu....Allahu.. Saare Alam Ko Hai Teri Hi Justaju  Jinno Inso Malak Ko Teri Aarzu Yaad Mai Teri Har Ek Hai Su Basu Ban Mai Vahashi Lagate Hai Nagmaat-e-Hu Allahu ....Allahu.....Allahu.....Allahu....Allahu.. Nagma Sun Jaane Gulshan Mai Charcha Tera Cha'h Cha'he Zikre Hak Ke Hai Sub'ho Masa Apni Apni Chahak Apni Apni Sada Sabka Matlab Hai Waheed Ke Waheed Hai Tu Allahu ....Allahu....

Tu Sham-e-Risalat Hai Alam Tera Parvanaa Lyrics

Tu Sham-e-Risalat Hai Alam Tera Parvanaa Tu Mahe Nubuvvat Hai Ae Jalva-e-Janana Jo Saki-e-Kausar ke Chehre se nikab utthe Har Dil bane Maikhana Har Aankh ho Paymana Gir Pad Ke Yaha Pahuncha Mar Mar Ke Ise Paya Chhute Na Ilahi Ab Sange Dare Janana Khate hein Tere Dar Ka Peete Hein Tere Dar Ka Pani Hai Tera Paani Daana Hai Tera Daana Dil Apna chamak Uthe Imaan Ki Tal'at Kar Aankh Bhi Noorani Ae Jalva-e-Jaanana Sar Shaad Ise Karde Ek Jaam-e-Laba Lab Se Ta Hashr Rahe Saaki Aabad Ye Maikhana Is Dar Ki Huzuri Hi Isyaan Ki Dava Thehri Hai Zahere Muaashi Ka Tayba Hi Shifa Khana Har Phool Mai Boo Teri Har Sham'a Mai Zoh Teri BulBul Hai Tera BulBul Parwana Hai Parwana Sange Dare Jaana Par Karta Hu Jabee Saaee Sajda Na Samaj Najdi Sar Deta Hu Nazraana Sange Dare Jaana hai Thokar na lage Isko Le Hosh Pakad ab toh Aye Lagzishe Mastana Aabad Ise Farmaa Viraa Hai Dil-e-Noori Jalwe Tere Bas Jaae Aabad Ho Kashana Sarkar Ke Jalvo Se Roshan Hai Dil-e-Noori Ta H

Madinay Ka Safar Hai Aur Mai Namdeeda Namdeeda

Madinay Ka Safar Hai Aur Mai Namdeeda Namdeeda Jabee Afsoorda Afsoorda Kadam Lagzeeda Lagzeeda Chala Hu Ek Mujreem Ki Tarha Mai Janeeb-e-Tayba Nazar Sharminda Sharminda Badan Larzeeda Larzeeda Kisi Ke Haath Ne Mujko Sahara De Diya Varna Kaha Mai Aur Kaha Ye Raste Paichida Paichida Ghulaman-e-Muhammad Dur Se Pehchane Jaate Hai Dil-e-Girvida Girvida Sare Shorida Shorida Madinay Jaake Ham Samje Takaddus Kis Ko Kehte Hai Hava Pakeeza Pakieea Faza Sanjeeda Sanjeeda Basarat Kho Gaee Lekin Baseerat To Salamat Hai MAdina Hamne Dekha Hai Magar Nadeeda NAdeeda Wahi Iqbaal Jisko Naaz Tha Kal Khush Mijaazi Par Firaak-e-Tayba Mai Rehta Hai Ab Ranjeeda Ranjeeda

Aaya na hoga Is Tarha Rango Shabaab ret par Lyrics

Aaya na hoga Is Tarha Rango Shabaab ret par Gulshane Faatima ke the Saare Gulaab ret par Jaane Batul ke Siwa koi nahin khila saka Katara-e-Aab ke bigair Itne Gulaab ret par Tarse Husain Aab ko Mein Jo kahun be-Adab Lamse Labe Husain ko Tarsa hai Aab ret par Ishq mein Kya Lutaeeye Ishq mein Kya Bachaeeye Aale Nabi ne likh diya Saara Nisaab ret par Lazzate Sozeeshe Bilaal Shoqe Shahadate Husain Jisne liya yunhi liya Apna Khitaab ret par Jitne Suwaal Ishq ne Aale Rasool se kiye Ek se badh kar Ek diya Sab ne Jawaab ret par Aale Nabi ka Kaam tha Aale Nabi hi kar gaye Koi na Likh saka Adee esi Kitaab ret par

Ho Karam Sarkaar Ab To Ho Gae Gham Be Shumaar

Ho Karam Sarkaar Ab To Ho Gae Gham Be Shumaar Jaano Dil Tum Par Fida Ae Do Jaha Ke Taajdaar Mai Akela Aur Masaail Zindagi Ke Be Shumaaar Aap Hi Kuchh Kihiye Naa Ae Shah-e-Ali Waqaar Yaad Ata Hai Tawaf-e-Khana-e-Kaaba Muje Aur Lipatna Multazam Se Walehana Baar Baar Sang-e-Aswad Chumkar Milta Muje Kaif-o-Surur Chain Paata dekh Kar Dil Mustajab-o-Mustajaar Yaa Khuda Dikhla Hateem-e-Paak Mizaab-o-Makam Aur Safaa Marwa Muje Behre Rasool-e-Ji Waqaar Jaa Raha Hai Kaafila Tayba Nagar Rota Hua Mai Raha Jata Hu Tanha Ae Habeeb-e-Kirdagar Jald Fir Tum Lo Bula Aur Sabz Gumbad Do Dikha Hazri Ki Aarzu Ne Kardiya Fir Be Karar Chumkar Khak-e-Madina Jumta Firta Tha Mai Yaad Aate Hai Muje Layl-o-Nahar Gumbad-e-Khazra Ke Jalve aur Vo Iftaariya Yaad Aati Hai Bahot Ramzaan-e-Tayba Ki Bahar Yaa Rasulallah Sun Lijiye Meri Fariyad Ko Kaun Hai Jo ke Sune Tere Siva Meri Pukaar Haal Par Mere Karam Ki Ek Nazar Farmaaiye Dil Mera Gamgin Hai Ae Gamzadon Ke Gam Gusaar Kaafile Vaalo

Kaabay Ki Ronak Kaabay Ka Manzar

Kaabay Ki Ronak Kaabay Ka Manzar  Allahu Akbar....... Allahu Akbar Dekhu To Dekhe Jaau Barabar Allahu Akbar....... Allahu Akbar Hairat Se Khud Ko Kabhi Dekhta Hu Aur Dekhta Hu Kabhi Mai Haram Ko Laya Kaha Mujko Mera Mukaddar Allahu Akbar....... Allahu Akbar Jis Par Nabi Ke Kadam Ko Jamaya Apni Nishani Kehkar Bataya Mehfooz Rakha Rabne Vo Patthar Allahu Akbar....... Allahu Akbar Bheja Hai Jannat Se Tujko Khuda Ne Chuma Hai Tujko Mere Mustafa Ne Ae Hajr-e-Asvad Tera Mukaddar Allahu Akbar....... Allahu Akbar Dekha  Safa Aur Marva Bhi Dekha Rab Ke Karam Ka Jalva Bhi Dekha Dekha Vaha Ek Saro Ka Samundar Allahu Akbar....... Allahu Akbar Mangi Hai Mene Jitni Duaein  Manzoor Hongi Maqbool Hongi Mizaab-e-Rehmat Hai Mere Sar Par Allahu Akbar....... Allahu Akbar Maula Sabi aur Kya Chahta Hai Bas Magfirat Ki Ata Chahta Hai Bakhshish Ke Taalib Pe Apna Karam Kar Allahu Akbar....... Allahu Akbar

Ya Rasulallah Tere Dar ki Fazaon Ko Salam

Ya Rasulallah Tere Dar Ki Fazaon Ko Salam Gumbad-e-Khazra Ki Thandi Thandi Chhaon ko Salam Masjid-e-Nabvi Ke Sub'ho Aur shamo ko Salam Ya Nabi Tere Gulamo Ke Gulamo Ko Salam  Jo Madine Ki Gali Kucho Mai Dete hai Sada Un Fakiron Rahgiron Aur Gadaon Ko Salam Walehana Jo Tavaf-e-Roza-e-Aqdas Kare Masto Be Khud Vajd Karti Un Havaon Ko Salam Jo Pada Karte Hai Rozo Shab Tere Darbaar Mai Pesh Karta Hai ZAHOORI un Salamon Ko Salam

Zahe Izzato Ahetila-e-Muhammad

Zahe Izzato Ahetala-e-Muhammad Ke Hai Arsh-e-Haq Zere Paaye Muhammad Makaa Arsh Unka Falak Farsh Unka Malak Khadman-e-Sara -e Muhammad Khuda Ki Riza Chahate Hai Do Alam Khuda Chahta Hai Riza-e-Muhammad Ajab Kya Agar Reham Farmaye Ham Par Khuda-e-Muhammad Bara-e-Muhammad Dam-e-Naz'a Jaari Ho Meri Zabaa Par Muhammad Muhammad Khuada-e-Muhammad Khuda Unko Kis Pyaar seDekhta Hai Jo Ankhein Hai Mehre Likaa-e-Muhammad Asa-e-Kaleem Azdaha-e-Gazab Tha Giro Ka Sahara Asa-e-Muhammad Ijaabat Ne Juk Kar Gale Se Lagaya Badi Naaz Se Jab Dua-e-Muhammad Ijaabat Ka Sehra Inayat Ka Joda Dulhan Banke Nikli Dua-e-Muhammad RAZA Pul se ab Vajd Karke Guzariye Ke Hai Rabbe Sallim Nida-e-Muhammad

Aamena Ke Dil Ka Tukda Mustafa Hai Mustafa

Siddik se Puchha.... Mustafa     Sadakar Boli........Mustafa Faruk se Puchha..... Mustafa     Adalat Boil....... Mustafa Usmaa se Puchha ...... Mustafa     Sakhavat Boli .......Mustafa Haidar se Puchha ....... Mustafa      Shuja'at Boli .... Mustafa Hasanain se Puchha .......Mustafa     Shahadat Boil ...... Mustafa Mere Ghaus Se Puchha ...... Mustafa    Vilayat Boli ....... Mustafa Aamena ke Dil ke Tukda Mustafa Hai Mustafa  Ladla Naazo ka paala Mustafa hai Mustafa Mithi Mithi Pyari Pyari Dilnashee Baato se Jo Aamena Ka  Dil lubhata Mustafa Hai Mustafa Jisne Roshan ghar Halima Sadiya ka kardiya Vo Halima ka Chahita  Mustafa Hai Mustafa Jannti aizan jiske ek ishare par mile Dono Alam ka Shahenshah Mustafa Hai Mustafa Kiski Aamad hai Zamana chaar su Roshan Hua Saare Alam ne pukara Mustafa Hai Mustafa Lo Mubarak Arsh-e-Haq Se Aaj Mehboob-e-Khuda  Aamena Ke Ghar Jo Aaya Mustafa Hai Musatafa Saltan Hai Mahad Mai Bhi Aasamaa Ke Chand Par Noor Hai Jiska Khilona

Ya Hayyu Ya Qayyum Ya Nooru Ya Allah Lyrics

Ya Hayyu Ya Qayyum Ya Hayyu Ya Qayyum Ya Nooru Ya Allah Ya Nooru Ya Allah Allah Allah Allah Allah Allah Alllah Aamal nahi kuchh bhi Ye haal Hamara hai Ek Teri hi Rehmat ka Allah Sahara hai Din Raat gunahon mein kat te hein Mere Maula Badkaar hein Mujrim hein Shaitan ne maara hai Isyan ke Samundar meein dube chale jaate hein Toofan ki lehrein hein aur door kinara hai Har Roz nayi aafat tooti Tere Bandon par Aalaame Masaeeb mein fir Tujko pukara hai Kya arz karein Tuj se ab samne aankhon ke Chalte hue gulshan ka Silsoz nazara hai Mehboob ki ummat ka Maula Tu bharam rakhle Tere Dare Daulat pe Daaman ko pasaara hai Allah mile HAMI Un sabse nijaat Unko Jin zehno pe muddat se gairo ka ijara hai

Ya Rab Bitha De Gumbad-e-Khazra Ki Chhav Me

​Ya Rab bitha de gumbad-e-khazra ki chhav me Masnad ye mangata hu hamesha duao me Ek hazri se bad gaya hai shok-e-hazri Mai bar bar pohonchu haram ki fazao mai Aao chale huzur ka darbar dekhne Khushbu basi hui hai jaha ki havao me Shaho ko aarzu hai jaha par gadai ki Mujko shumar karle vaha ke gadao me Tayba muje dikhade mera dil udas hai Hai kayf-o-imbisar usi dar ki chhao me Manzil meri madina hai roko n rah me Padne do able se UJAGAR ke pao me

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

kya bataun ki kya madina hai naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

al madad peerane peer , gaus-e-aazam dastageer naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana || Madani Sehra Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Ye Chamak Ye Damak Ye Faban ye Mahek Lyrics || ये चमक ये दमक , ये फबन ये महक