Ho Karam Sarkaar Ab To Ho Gae Gham Be Shumaar
Ho Karam Sarkaar Ab To Ho Gae Gham Be Shumaar
Jaano Dil Tum Par Fida Ae Do Jaha Ke Taajdaar
Mai Akela Aur Masaail Zindagi Ke Be Shumaaar
Aap Hi Kuchh Kihiye Naa Ae Shah-e-Ali Waqaar
Yaad Ata Hai Tawaf-e-Khana-e-Kaaba Muje
Aur Lipatna Multazam Se Walehana Baar Baar
Sang-e-Aswad Chumkar Milta Muje Kaif-o-Surur
Chain Paata dekh Kar Dil Mustajab-o-Mustajaar
Yaa Khuda Dikhla Hateem-e-Paak Mizaab-o-Makam
Aur Safaa Marwa Muje Behre Rasool-e-Ji Waqaar
Jaa Raha Hai Kaafila Tayba Nagar Rota Hua
Mai Raha Jata Hu Tanha Ae Habeeb-e-Kirdagar
Jald Fir Tum Lo Bula Aur Sabz Gumbad Do Dikha
Hazri Ki Aarzu Ne Kardiya Fir Be Karar
Chumkar Khak-e-Madina Jumta Firta Tha Mai
Yaad Aate Hai Muje Layl-o-Nahar
Gumbad-e-Khazra Ke Jalve aur Vo Iftaariya
Yaad Aati Hai Bahot Ramzaan-e-Tayba Ki Bahar
Yaa Rasulallah Sun Lijiye Meri Fariyad Ko
Kaun Hai Jo ke Sune Tere Siva Meri Pukaar
Haal Par Mere Karam Ki Ek Nazar Farmaaiye
Dil Mera Gamgin Hai Ae Gamzadon Ke Gam Gusaar
Kaafile Vaalo Suno Yaad Aae To Mera Salaam
Arz Karna Rote Rote Ho sake To Baar Baar
GhamZada Yu Na Hua Hota Ubaid-e-Qadry
Is Baras Bhi Dekh Ta Gar Sabz Gumbad Ki Bahaar
Comments
Post a Comment