ya nabi! nazr-e-karam farmaana, aye hasanain ke nana! ya nabi! nazr-e-karam farmaana aye hasanain ke nana!! aye hasanain ke nana!! zahra paak ke sadqe humko taiba mein bulwaana aye hasanain ke nana!! aye hasanain ke nana!! aap ke dar ka hun main bhikaari, aap hein mere daata saare rishte naaton se hai pyaara apna naata aap to hein, aata hai jinko sabki laaj nibhaana aye hasanain ke nana! aye hasanain ke nana! be-saaya hein lekin do jag par hai aapka saaya 'arsh-e-mu'alla bana mohalla deed ko rabb ne bulaaya hashr talak na hoga kisi ka aisa aana jaana aye hasanain ke nana! aye hasanain ke nana! saj gayi hai milaad ki mehfil kya hai khoob nazaara kaif-o-masti mein dooba hai dekho aalam sara dhundh rahi hai aapki rahmat bakhshish ka bahaana aye hasanain ke nana! aye hasanain ke nana! n...