mustafa jaan-e-rehmat pe laakhon salaam mustafa jaan-e-rehmat pe laakhon salaam shaam-e-bazm-e-hidaayat pe laakhon salaam mehr-e-charkh-e-nubuwwat pe roshan durood ghule baagh-e-risaalat pe laakhon salaam shahr-e-yaar-e-iram taajdaar-e-haram nau bahaar-e-shafaa'at pe laakhon salaam shab-e-asraa ke dulha pe daa'im durood nosha-e-bazm-e-jannat pe laakhon salaam fath-e-baab-e-nubuwwat pe behad durood khatm-e-daura-e-risaalat pe laakhon salaam mujh se be-kas ki daulat pe laakhon durood mujh se be-bas ki quwwat pe laakhon salaam ham gareebon ke aaqa pe behad durood ham fakeeron ki sarwat pe laakhon salaam door-o-nazdeek ke sunne waale woh kaan kaan-e-laale qaraamat pe laakhon salaam jis ke sajde ko mehrab-e-kaaba jhuki un bhavon ki lataafat pe laakhon salaam jis taraf uth gayi dam mein dam aa gaya us nigaah-e-inayat pe laakhon salaam n...
koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera ho jo haatim ko muyassar ye nazaara tera keh uthe dekh ke bakhshish mei.n ye rutba tera waah! kya jood-o-karam hai shah-e-bat.ha tera nahi.n sunta hi nahi.n maangne waala tera kuchh bashar hone ke naate tujhe khud-sa jaanei.n aur kuchh mahez payaami hi KHuda ka jaanei.n inki auqaat hi kya hai ke ye itna jaanei.n farsh waale teri shoqat ka 'uloo kya jaane KHush-rawaa.n 'arsh pe udta hai pharera tera mujhse naa-chiz pe hai teri 'inaayat kitni tune har gaam pe ki meri himaayat kitni kya bataau.n teri rahmat mei.n hai wus'at kitni ek mai.n kya meri 'isyaa.n ki haqiqat kitni mujhse so-laakh ko kaafi hai ishaara tera kaee pushto.n se ghulaami ka ye rishata hai bahaal yahi.n tiflee -o-jawaani ke guzaare mah-o-saal ab budhaape mei.n KHudaara ! na hamei.n dar se nikaal tere tukdo.n pe pale ghair ki thok...
mujh pe kyun band karte ho paani ya husain ya husain ya husain ya husain ya husain ya husain mera nana nabi meri maa sayyida mera baba ali mera bhai hasan ham hi hain panjtan ham hi hain panjtan meri kya hai khata meri kya hai khata meri kya hai khata meri kya hai khata mujh pe kyun band karte ho paani kya muhammad ka pyara nahin hoon kya main zehra ka jaaya nahin hoon kya nabi ka nawasa nahin hoon mujh pe kyun band karte ho paani kya muhammad ka pyara nahin hoon mere nana ne kalma sikhaya sur quraan tum ko sunaya kya main nana ka saaya nahin hoon kya nabi ka nawasa nahin hoon mujh pe kyun band karte ho paani kya muhammad ka pyara nahin hoon wo madina jahan mera ghar hai aur masjid mein us ghar ka dar hai kya main us ghar mein khela nahin hoon kya nabi ka nawasa nahin hoon mujh pe kyun band karte ho paani kya muhammad ka pyara nahin hoon chakkiyaan pees kar maa ne pala mujh ko nana ne jhula jhulaya apna bachpan main bhula nahin hoon kya nabi ka nawasa...
Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim sabse ulaa wa aala hamara nabi sabse bala wa wala hamara nabi apne maula ka pyara hamara nabi donon aalam ka dulha hamara nabi allaahumma salli-'ala sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim laakhon aae yahaan aur laakhon gae unche unche shahenshah yahaan na rahe kitne diye jale jalke phir bujh gae kya khabar kitne taare khile chhup gae par na doobe na dooba hamara nabi allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim jinke talwon ka dhowan hai aab-e-hayaat hai wo jaan-e-masiha hamara nabi khalq se auliya, auliya se rusool aur rasuulon se aala hamara nabi kaun deta hai dene ko munh chahiye dene wala hai sachcha hama...
Ya Sahibal Jamal Wa Ya Sayyidal Bashar Minwwa Wajhakal Munir Lakad Nuviral Kamar Wo Noor Jalwaghar hua Jab Aamina ke Ghar Zulmat Jahan se ho gayi Kafoor Sarbasar Ya Sahibal Jamal Wa Ya Sayyidal Bashar Minwwa Wajhakal Munir Lakad Nuviral Kamar Be-Mislo Be-Misal hai Beshak Tumhari Zaat Khatmul Rusool Habibe Khuda Sayyidul Bashar Ya Sahibal Jamal Wa Ya Sayyidal Bashar Minwwa Wajhakal Munir Lakad Nuviral Kamar Duniya taras rahi thi Tumhe Rehmate Khuda Aane ko warna aaye Hazaro Payambar Ya Sahibal Jamal Wa Ya Sayyidal Bashar Minwwa Wajhakal Munir Lakad Nuviral Kamar Unka Jamal dekhne ko Haq ata kare Salman ka Zok Hazrate Siddik ki Nazar Ya Sahibal Jamal Wa Ya Sayyidal Bashar Minwwa Wajhakal Munir Lakad Nuviral Kamar Juz Unke Kis Nabi ne dikhaye hein Mo'jaze Utla fira hai Shams to Shak ho gaya Kamar Ya Sahibal Jamal Wa Ya Sayyidal Bashar Minwwa Wajhakal Munir Lakad Nuviral Kamar Har Ek ka Tumne Damane Ummid bhar diya Aye Rehmate Khuda Meri Janib bhi Ek...
ya husain ibne ali kehte hein ye saare ghulaam ya husain ibne ali kehte hain ye saare ghulaam sab ghulaam aapko salaam, aapko salaam teer laga nanhe asghar ko, phool sa chehra murjhaaya dekh shaherbanu, bachche ko god mein leke farmaaya hoze kausar ka pee lena jaam, aapko salaam ya husain ibne ali kehte hain ye saare ghulaam sab ghulaam aapko salaam, aapko salaam jabr ke aage sabr khada tha, zulm-o-sitam ko rok kar jinko hua deedaar khuda ka, khanjar ki us nok par dekho shaheedon ka hai ye maqaam, aapko salaam ya husain ibne ali kehte hain ye saare ghulaam sab ghulaam aapko salaam, aapko salaam jinki peshaani ka bosa pyaare nabi farmaate the bachpan mein jibraeel-e-ameen bhi jhula jhulaane aate the wo hain nawaasa-e-khairul anam, aapko salaam ya husain ibne ali kehte hain ye saare ghulaam sab ghulaam aapko salaam, aapko salaam aye husain ibne ali, zohra ke dilbar assalaam aye shaheed-e-karbala, aye deen ke raahbar assalaam karbala mein aapne haq ke liy...
al-madad peeraan-e-peer, gaus-e-aa'zam dastageer! al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! rutba ye wilaayat mein, kya ghaus ne paaya hai allah ne waliyon ka sultaan banaaya hai hai dast-e-'ali sar par, hasnain ka saaya hai mere ghaus ne thokar mein murdon ko jilaaya hai al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! laakhon ne usi dar se taqdeer banaayi hai bagdaad sanwariya ki har baat niraali hai doobi hui kashti bhi dariya se nikaali hai ye naam adab se lo ye naam jhalaali hai al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! har fikr se tum ho kar aazaad chale jaao le kar ke labon par tum fariyaad chale jaao milna hai agar tumko waliyon ke shahenshaah se khwaaja se ijaazat lo baghdaad chale jaao al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! ya ghaus! karam kardo ya ghaus! karam kardo ye deen ki daulat se daaman sab ka bhar do bas itni guzaarish hai bas ek nazar kar do baghdaad k...
mera badshah husain hai shah ast husain badshah ast husain deen ast husain deen panah ast husain sar daad na daad dast dar dast-e-yazeed hakkā ke binā-e lā ilāha ast husain ye baat kis qadar haseen jo keh gaye mueenuddin ke deen ki panah husain hai mera husain hai mera badshah husain hai aman ka mehromāh bhi jo shāhon ka hai shāh bhi aisa badshah husain hai mera husain hai mera badshah husain hai kare koi jo hamsāri kisi ki kya majāl hai husain har lihāz se jahāñ mein be-misāl hai ye ho chukā hai faislā na koi dusrā hasan na koi dusrā husain hai mera husain hai mera badshah husain hai hidāyat-e-husain par amal karo ai mo’minon raheñge ham bahisht mein yaqīn rakho ai mo’minon qabool hogi har du'ā kisi se kyun dareñ bhala hamārā wāsta husain hai mera husain hai mera badshah husain hai du’āoñ mein nidāoñ mein jo wāsta ise banāyega bahisht ki jo rāhoñ kā rāstā ise banāyega na wāste mein toṛ hai na rāste mein moṛ hai aisi sīdhi rāh husa...
shah sawaar-e-karbala ki shah sawaari ko salaam rasm-e-‘ushshaaq yahi hai ke wafa karte hain yaani har haal mein haq apna ada karte hain hosla hazrat-e-shabbir ka allah allah sar juda hota hai aur shukr-e-khuda karte hain shah sawaar-e-karbala ki shah sawaari ko salaam neze pe qur’an padhne wale qaari ko salaam raat din bichhde huon ki raah mein rehna khade hazrat-e-sughra tumhari intezaari ko salaam sar se chaadar chhin gayi lekin nazar uthi nahin hazrat-e-zainab tumhari parda-daari ko salaam muskurate tegh pe roshan kiya rangeen charaagh akbar-o-qasim tumhari jaan-nisaari ko salaam kat gaya kumbha, museebat sar pe aayi, lut gayi ho gayi bhai bhatijon se judaai, lut gayi umar bhar ki daste gurbat mein kamaai lut gayi roke jab kehti thi zainab: haaye bhai lut gayi ghar ali ka kya luta, saari khudaai lut gayi har imtihaan mein shabir-o-shaakir rahe husain ...
labbaik ya rasool-allah ! labbaik ya rasool-allah ! labbaik ya rasool-allah ! labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! khud ko mita denge, hum jaan luta denge naamus-e-aaqa par, hum sar kataa denge labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! haazir hei.n, haazir hei.n, haazir hei.n hum labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! kariya-kariya, basti-basti, zikr nabi ka aam karo pyaare aaqa ke diwaano.n ! haath mei.n daale haath chalo hubb-e-nabi ka har dil mei.n, tum jaa ke deep jalaao unche mei.n uncha nabi ka janda, ghar-ghar mei.n lehraao khud ko mita denge, hum jaan luta denge naamus-e-aaqa par, hum sar kataa denge labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! haazir hei.n, haazir hei.n, haazir hei.n hum labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! ibn-e-'ali ne karbo-bala mei.n tum ko ye paighaam diya yaad rakkho, pyaare aaqa ne tum ko paak nizaam diya tod do baahu ...
Masha Allah
ReplyDeleteLast verse corrections*...
ReplyDeleteChadare *Zahra ka saya hai Mere Sar par *naseer
Faize Nisbat dekhiye Nisbat bhi *Zahraee mili
*nigah-e-Mustafa ka mojza
ReplyDeleteKalam syed peer Naseeruddin Naseer Rehmatullha Alaiy
ReplyDelete