Aye Hasanain ke Nana by Milad Raza Lyrics
Ya Nabi Nazre Karam Farmana
Aye Hasanain ke Nana
Zahra pak ke sadqe hamko
Tayba mein bulwana
Aye Hasanain ke Nana
Sare rishte naaton se hai pyara Apna nata
Aapto hein aata hai jinko sabki laj nibhana
Aye Hasanain ke Nana Aye Hasanain ke Nana
Be saya hein lekin do jag par hai Aapka saya
Arshe Mu'alla bana Mohalla deed ko Rabb ne bulaya
Hashr talak na hoga kisi ka Aesa Aana Jana
Aye Hasanain ke Nana Aye Hasanain ke Nana
Saj gayi hai Milad ki Mehfil kya hai khub nazara
Kaifo Masti mein duba hai dekho Aalam sara
Dhundh rahi hai Aapki Rehmat bakhshish ka bahana
Aye Hasanain ke Nana Aye Hasanain ke Nana
Nisbat ka faizan hai dekho khadime Gause jalee hun
Karta hai Mujpe naaz zamana Mein Ausafe Ali hun
Aapki aal ke dar ka sag hun Saeel hun purana
Aye Hasanain ke Nana Aye Hasanain ke Nana
Comments
Post a Comment