apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun ya KHuda ! aabru rakh meri tu, teri hamd-o-sana kar raha hun tu jo chahe to ban jaye qismat, mere sajdo.n ki kya hai haqiqat teri chokhat pe sar ko jhuka kar, farz apna ada kar raha hun apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun maine duniya ka dekha nazaara, al-madad keh ke maine pukaara mujhko apni panaho.n mein rakhna, bas yahi iltija kar raha hun apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun aaj mahfil mein baithe hein jitne, sab ke dil ki tamanna ho puri sab ko haji bana de tu maula! main tadap kar dua kar raha hun apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun apne mahboob ka dar dikha de, mera soya muqaddar jaga de lutf-e-duniya ko le aaj se mein, apne dil se jhuda kar raha hun apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha ...