Ya Rabbe Muhammad Meri taqdeer jagade Lyrics || या रब्बे मुहम्मद ! मेरी तक़दीर जगा दे
Roman(ENG):
Ya Rabbe Muhammad ! Meri taqdeer jagade
Sehra-e-Madina Muje aankhon se dikha de
Sehra-e-Madina Muje aankhon se dikha de
Pichha Mera duniya ki muhabbat se chhuda de
Ya Rabb ! Muje deewana Madine ka bana de
Ya Rabb ! Muje deewana Madine ka bana de
Rota hua jis waqt Main Darbar mein pahunchun
Us waqt Muje jalwa-e-Mehboob dikha de
Us waqt Muje jalwa-e-Mehboob dikha de
Dil Ishq-e-Muhammad mein tadapta rahe har dam
Sine ko Madina Mere Allah ! bana de
Sine ko Madina Mere Allah ! bana de
Bahti rahe aksar shahe abrar ke gham mein
Roti hui wo aankh Muje Mere Khuda de
Roti hui wo aankh Muje Mere Khuda de
Imaan pe de maut Madine ki gali mein
Mudafan Mera Mehboob ke qadmon mein bana de
Mudafan Mera Mehboob ke qadmon mein bana de
Allah ! karam Itna gunahghar pe farma
Jannat mein padosi Mere Aaqa ka bana de
Jannat mein padosi Mere Aaqa ka bana de
Deta hun Tuje waseta mMain Pyare Nabi ka
Ummat ko Khudaya ! Rahe Sunnat pe chala de
Ummat ko Khudaya ! Rahe Sunnat pe chala de
Allah mile hajj ki isi saal sa-aadat
Badkar ko phir Roza-e-Mehboob dikha de
Badkar ko phir Roza-e-Mehboob dikha de
Attar se Mehboob ki Sunnat ki le khidmat
Danka ye Tere Deen ka duniya mein baja de
Danka ye Tere Deen ka duniya mein baja de
हिंदी(HINDI):
या रब्बे मुहम्मद ! मेरी तक़दीर जगा दे
सेहरा-इ-मदीना मुझे आँखों से दिखा दे
पीछा मेरा दुनिया की मुहोब्बत से छुड़ा दे
या रब्ब ! मुझे दीवाना मदीने का बना दे
रोता हुआ जिस वक़्त मैं दरबार में पहुंचूं
उस वक़्त मुझे जलवा-ए-महबूब दिखा दे
दिल इश्क़-ए-मुहम्मद में तड़पता रहे हर दम
सीने को मदीना मेरे अल्लाह ! बना दे
बहती रहे अक्सर शहे अबरार के ग़म में
रोती हुई वो आँख मुझे मेरे खुदा दे
ईमान पे दे मौत मदीने की गली में
मुदफन मेरा मेहबूब के क़दमों में बना दे
अल्लाह ! करम इतना गुनहगार पे फरमा
जन्नत में पडोसी मेरे आक़ा का बना दे
देता हूँ तुजे वास्ता में प्यारे नबी का
उम्मत को ख़ुदारा ! रहे सुन्नत पे चला दे
अल्लाह ! मिले हज की इसी साल सआदत
बदकार को फिर रोज़ा-ए-मेहबूब दिखा दे
अत्तार से मेहबूब की सुन्नत की ले खिदमत
डंका ये तेरा दीं का दुनिया में बजा दे
Comments
Post a Comment