Posts

Showing posts from August, 2021

Mere Husain Tujhe Salaam || Manqabat Lyrics || Owais Raza Qadri

Mere Husain Tujhe Salaam Mere Husain Tujhe Salaam Assalaam Ya Hussain Assalaam Ya Hussain Assalaam Ya Hussain Jinko dhoke se kufaa bulaaya gayaa Jinko baithe bithaaye sataaya gayaa Jinke bacchon ko bhuka rulaaya gayaa Zaher bhai ko jiske pilaaya gayaa Us Husain Ibne Haidar pe Laakhon Salaam Mere Husain Tujhe Salaam Mere Husain Tujhe Salaam Assalaam Ya Hussain Assalaam Ya Hussain Assalaam Ya Hussain Kar chuka Wo Habib Apni hujjat tamaam Leke Allah aur Apne Naana ka Naam Kufiyon ko sunaaya Khuda ka Qalaam Aur fida ho gayaa Shaahe Khairul Anaam Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salaam Mere Husain Tujhe Salaam Mere Husain Tujhe Salaam Assalaam Ya Hussain Assalaam Ya Hussain Assalaam Ya Hussain Pade jo karke sooe Shaahe Anam Salaam Sadaa Ye Aapki Har Simt Salaam Salaam Bade Husain jo Tayba se Karbala ki taraf Jahaan pahonchte the karta tha Wo Makaam Salaam Mere Husain Tujhe Salaam Mere Husain Tujhe Salaam Assalaam Ya Hussain Assalaam Ya Hussain Assalaam Ya Hussain Zamin n

Ali Haidar ka Gharana Lyrics || Hafiz Tahir Qadri

Image
Ali Maula Ali Muala Mankuntu Maula Ali Ali  Aqa ne bola Ali Ali Mein jis ka maula Ali Ali Hai us ka Maula Ali Ali Zahra ka shohar Ali Ali  Hasanain ka baba Ali Ali Ham sab ne pukara Ali Ali Ali Maula...... Bada maheboob gharana Ali Haidar ka gharana Gulam inka hai zamana Kiya sab kaam usi ki Riza mein raazi reh kar Khuda ke deen ki khatir Hazaron sadmein seh kar Kare har dam shukrana Ali Haidar ka gharana Bada maheboob gharana Ali Haidar ka gharana Kayadat hoke imamat Wilayat hoke taharat Sharafat hoke sadakat Sakhawat hoke shuja'at Har ek azmat ka thikana Ali Haidar ka gharana Bada maheboob gharana Ali Haidar ka gharana Pukara jab mushkil mein Unhone ki lajpali Sabhi mangaton ki pal mein Bhari hai jholi khali Jhuka jis dar pe zamana Ali Haidar ka gharana Bada maheboob gharana Ali Haidar ka gharana Mankuntu Maula Ali Ali Aqa ne bola Ali Ali Mein jis ka maula Ali Ali Hai us ka Maula Ali Ali Zahra ka shohar Ali Ali Hasanain ka baba Ali Ali

Mera Maula Maula Husain hai Lyrics || Hafiz Tahir Qadri

Image
Mera Maula Maula Husain hai Mera Maula Maula Husain hai Jo hua Nawasa-e-Mustafa Wo Ali ka beta Husain hai Jo Yazidiyat ko fanah kare Shahe Karbala wo Husain hai Bibi Fatima ka wo ladla Mera Badshah wo Husain hai Mera Maula Maula Husain hai Mera Maula Maula Husain hai Kya sunaun wakiya-e-karbala Haae teer neza kahan laga Jise chumte rahe Mustafa Wo Husaini sar tha kata hua Sara ghar ka ghar bhi luta diya Wo jo kar gaya wo Husain hai Mera Maula Maula Husain hai Mera Maula Maula Husain hai Yahi bole Hazrate Hurr Shaha Ya Husain aap ka shukriya Ke Yazidiyon se nikal kar Jo Husainiyon mein bitha diya Muje mazilon ka pata diya Mera rehnuma wo Husain hai Mera Maula Maula Husain hai Mera Maula Maula Husain hai Wo bhi banda kitna ajeeb hai Jo kahe yazeed bhi thik hai Ya Husaini ban ya yazeedi ban Aese Jhuth mein kyun sharik hai Kyun do kashtiyon ka sawar hai Jo hai haqnuma wo Husain hai Mera Maula Maula Husain hai Mera Maula Maula Husain hai Jo da

Allah Muje Hafize Quraan bana de || अल्लाह मुझे हाफिज़ क़ुरान बना दे Lyrics Roman & Hindi

Roman (English) Allah Muje Hafize Quraan bana de Quraan ke ahekam pe bhi Mujko chala de Ho jaaya kare yaad sabaq jald Ilahi Maula Tu Mera Hafiza majboot bana de Susti ho Meri door uthoon jald savere Tu Madarase mein Dil Mera Allah laga de Ho Madarase ka Mujse na nuksan kabhi bhi Allah ! yahan ke Muje aadab sikha de Chhutti na karun bhul ke bhi Madarase ki mein Auqat ka bhi Mujko Tu paband bana de Ustad ho mojud ya bahir kahin masroof Aadat Tu Meri shor machane ki mita de Khaslat ho Meri door shararat ki Ilahi Sanjida bana de Muje Sanjida bana de Ustad ki karta rahun hardam Mein itaa'at Maa baap ki izzat ki bhi taufiq Khuda de Kapde mein rakhun saaf Tu Dil ko Mere kar saaf Maula Tu Madina Mere seene ko bana de Filmon se diramon se de nafrat Tu Ilahi Bas shoq Muje Naato Tilavat ka Khuda de Mein saath Jama'at ke padu saari Namazain Allah ! Ibadat mein Mere Dil ko laga de Padta rahun kasrat se Durood Un pe sada mein Aur zikr ka bhi shoq pae Gauso Ra

Mera Maula Maula Hussain hai Mankabat Lyrics

Image
Muftiyane Daar se kehti hai Karbala Bid'at Usi ka zikr jo jeena silkha gaya Tum se to ek babari masjid na bach saki Mera Hussain sari shriyat bacha gaya Mera Maula Maula Hussain hai Jo hua Nawaasa e Mustafa Wo Ali ka beta Hussain hai Jo Yazeediyat ko Fanaah kare Chale Karbala Wo Hussain hai Bibi Fatima ka Wo ladla Mera Badshah Wo Hussain hai Mera Maula Maula Hussain hai Kya Sunaun Wakiya Karbala Haaye Teer neza kahan laga Jise chumate rahe Mustafa Wo Hussaini Sar tha kata hua Sara ghar ka ghar bhi luta diya Wo jo kar gaya Wo hussain hai Mera Maula Maula Hussain hai Yahi Bole Hazrate Hoor Shaha Ya Hussain Aapka Shukriya Ke Yazeediyon se nikal kar Jo Hussainiyon mein bitha diya Muje Manzilon ka pata diya Mera Rehnuma Wo Hussain hai Mera Maula Maula Hussain hai Wo bhi bada kitna ajib hai Jo kahe Yazeed bhi thik hai Ya Hussaini ban Ya Yazeedi ban Ese juth mein sharik hai Kyun do kashtiyon ka sawaar hai Jo hai haq-numa Wo Hussain hai Mera Maula M

Wo Nabiyon mein Rehmat Laqab paane wala Lyrics || Muhammad Hassan Raza Qadri

English Wo Nabiyon mein Rehmat Laqab paane wala Usi se hai Islam ka bol baala Ya Rahmatallil Aalameen Ya Rahmatallil Aalameen Wo Nabiyon mein Rehmat Laqab paane wala Usi se hai Islam ka bol baala Wo Sar Chashma-e-Noore Fat'he Mubeen hai Wohi Mash'ale Raahe Azmo Yaqeen hai Usi se Hamare Dilon mein Ujaala Usi se hai Islam ka bol baala Wo Nabiyon mein Rehmat Laqab paane wala Usi se hai Islam ka bol baala Ya Rahmatallil Aalameen Ya Rahmatallil Aalameen Usi ke Ye Ham par hein Ahesaan saare Kadam Manzeelein chumti hein Hamare Usi ne Andheron se Hamko nikaala Usi se hai Islam ka bol baala Wo Nabiyon mein Rehmat Laqab paane wala Usi se hai Islam ka bol baala Ya Rahmatallil Aalameen Ya Rahmatallil Aalameen Saharaa diya Uske Naqshe Qadam ne Usi ki Tawajjoh Usi ke Karam ne Zamaane ke girte huon ko sambhala Usi se hai Islam ka bol baala Wo Nabiyon mein Rehmat Laqab paane wala Usi se hai Islam ka bol baala Ya Rahmatallil Aalameen Ya Rahmatallil Aalameen Usi ki Mahobbat hai Imaane Kaamil Us

Sarkar nazar kardein by Tahir Qadry Naat Lyrics Roman(Eng) & हिंदी

Image
Roman(Eng) :  Mangata be sahara hai Sarkar nazar kardein Khadim Ye Tumhara hai Sarkar nazar kardein Har Roz naya dukh hai Ab toot gaya hun Mein Mushkil se guzara hai Sarkar nazar kardein Har Ek Sahabi ko Tumne hi Sawara hai Mujko bhi Sawarna hai Sarkar nazar kardein Siddiqo Umar Tumhi Sarkar se keh do naa Jaisa bhi hai Apna hai Sarkar nazar kardein Wo Ummi Rasulillah Jo Meer hai Tayba ke Naam unka waseela hai Sarkar nazar kardein Sarkar zamaane mein bas Aap ki chalti hai Jo chaho Wo hota hai Sarkar nazar kardein Rote hein bilakte hein Ushshaq Salami ko Kehte hein ke aana hai Sarkar nazar kardein Tahir ke labon par hai har saal bula lena Kadmon hi mein marna hai Sarkar nazar kardein हिंदी माँगता बेसहारा है सरकार नज़र करदें खादिम ये तुम्हारा है सरकार नज़र करदें हर रोज़ नया दुःख है अब टूट गया हूँ में मुश्किल से गुज़ारा है सरकार नज़र करदें हर एक सहाबी को तुमने ही सवारा है मुझको भी सवरना है सरकार नज़र करदें सिद्दिक़ो उमर तुम्ही सरकार से कह दो ना जैसा भी है अपना है सरकार नज़र

Hara Gumbad jo dekhoge Zamana bhul jaoge Lyrics || हरा गुम्बद जो देखोगे ज़माना भूल जाओगे

Roman (ENG) : Haraa Gumbad jo dekhoge Zamaana bhul jaaoge Agar Tayba ko jaaoge to aana bhul jaaoge Na Itraao Ziyada Chand Taaron Apni Rangat par Mere Aaqa ko dekhoge Chamakna bhool jaaoge Haraa Gumbad jo dekhoge Zamaana bhul jaaoge Agar Tayba ko jaaoge to aana bhul jaaoge Hadeese Mustafa par Tum Jo ho jaao Amal-paira Kasam Rab ki kabhi Maa ko sataana bhool jaaoge Haraa Gumbad jo dekhoge Zamaana bhul jaaoge Agar Tayba ko jaaoge to aana bhul jaaoge Agar Tum gaur se Mere Nabi ki Naat sun loge Mera Daawa hai Tum Gaana Bajaana bhul jaaoge Haraa Gumbad jo dekhoge Zamaana bhul jaaoge Agar Tayba ko jaaoge to aana bhul jaaoge Tumhare Saamne hoga kabhi jab Gumbade Khazraa Nazar Jam jaaegi Us par hatanaa bhul jaaoge Haraa Gumbad jo dekhoge Zamaana bhul jaaoge Agar Tayba ko jaaoge to aana bhul jaaoge हिंदी(HINDI)  हरा गुम्बद जो देखोगे ज़माना भूल जाओगे अगर तयबा को जाओगे तो आना भूल जाओगे न इतराओ ज़ियादा चाँद तारों अपनी रंगत पर मेरे आक़ा को देखोगे चमकना भूल जाओगे हरा गुम्बद जो देखोगे ज़माना भूल जाओगे अगर

Jitna diya Sarkar ne Mujko Naat Lyrics Roman & Hindi

Roman (English) Jitna diya Sarkar ne Mujko Utni Meri aukat nahin Ye to karam hai Unka warna Mujmein to Aesi baat nahin Ishqe shahe batha se pehle Mufliso khasta haal tha Mein jee Naame Muhammd ke Mein qurbaan Ab wo Mere halat nahin Jitna diya Sarkar ne Mujko Utni meri aukat nahin Ye to karam hai Unka warna Mujmein to Aesi baat nahin Tu bhi aa Is dar pe yahan to Sab ki bigdi banti hai yaha Ik Teri Taqdeer banana Unke liye kuchh baat nahi Jitna diya Sarkar ne Mujko Utni meri aukat nahin Ye to karam hai Unka warna Mujmein to Aesi baat nahin Yaade nabi mein Din jo guzre Wo Din sabse behtar hein jee Yaade nabi mein Raat jo bite Us se behtar Raat nahin Jitna diya Sarkar ne Mujko Utni meri aukat nahin Ye to karam hai Unka warna Mujmein to Aesi baat nahin हिंदी जितना दिया सरकार ने मुझको उतनी मेरी औकात नहीं ये तो करम है उनका वरना मुझमें तो ऐसी बात नहीं इश्क़े शहे बत्हा से पहले मुफ़लिसों खस्ता हाल था में जी नाम मुहम्मद के में क़ुर्बान अब वो मेरे हालात नहीं जितना दिया सरकार ने मुझको उतनी मे

Pul Se Utaro Rah Guzar Ko Khabar Na Ho Lyrics Eng & Hindi

English Pul Se Utaaro Rah Guzar ko Khabar na ho Jibreel Par Bichhaein to Par ko Khabar na ho Kaanta Mere Jigar Se Game-Rozgaar ka Yun Khinch lijiye ke Jigar Ko Khabar na ho Fariyaad Ummati Jo karein Haale Zaar mein Mumkin nahin ke Khaire Bashar ko Khabar na ho Kehti thi Buraq se Uski Sabak Rawi Yun Jaeeye ke Gharde Safar ko Khabar na ho Esa Guma de Unki wilaa mein Khuda Hamein Dhundha kare Par Apni Khabar ko Khabar na ho Aye Khaare Taybaa ! Dekh ke Daaman na Bhig Jaae Yun Dil mein aa ke Deeda-e-Tar ko Khabar na ho Aye Shoqe Dil ! Ye Sajda Jo Unko Rawa nahin Achha Wo Sajda kijiye ke Sar ko Khabar na ho Un ke Siwa RAZA koi Hamee nahin jahan Guzra kare Pisar pe Padar ko Khabar na ho हिंदी पुल से उतारो रह गुज़र को खबर न हो जिब्रील पर बिछाएँ तो पर को खबर न हो काँटा मेरे जिगर से गमे रोज़गार का यूँ खींच लीजिये के जिगर को खबर न हो फ़रियाद उम्मती जो करें हाले जार में मुमकिन नहीं के खैरे बशर को खबर न हो कहती थी बुरक से उसकी सबक़ रवि यूँ जाइये के घरदे सफर को खबर न हो ऐसा गुमा दे

Nabiyon mein Sabse Afzal Rutba Mere Nabi ka Lyrics || Qawwali || Roman(Eng) & हिंदी (Hindi)

Image
Roman(Eng) : Nabiyon mein Sabse Afzal Rutba Mere Nabi ka Quraan hai Mukammal Chehra Mere Nabi ka Utra nahin Zameen par Saaya Mere Nabi ka Allah ka hai Jalwa Jalwa Mere Nabi ka Nabiyon mein Sabse Afzal Rutba Mere Nabi ka Allah ki kasam Wo Taqdeer ke Dhani hein Jo log dekh aaye Roza Mere Nabi ka Nabiyon mein Sabse Afzal Rutba Mere Nabi ka Sarkaare Do Jahaan ka Ye khaas Mojaza hai Kankar bhi pad rahe hein Kalma Mere Nabi ka Nabiyon mein Sabse Afzal Rutba Mere Nabi ka Ho jayein lakh paida Islaam ke mukhaalif Chalta rahe ga yun hi Sikka Mere Nabi ka Nabiyon mein Sabse Afzal Rutba Mere Nabi ka Kami karo na Salaamo Salaat mein Wo khubiyaan hein Sarware Aalam ki zaat mein Quraan utra Pyare Nabi ki Sifaat mein Haq ne na banaya Aapsa Jab kaaynat mein Sari Khudaaee de di Muhammad ke haath mein Nabiyon mein Sabse Afzal Rutba Mere Nabi ka Muhammad Mustafa Allah ka farmaan laye hein Gunaahgaron ki bakhshish ke liye Quraan Laye hein Nabiyon mein Sabse Afzal Rutba Mere Nabi

Kis liye fikr kare hashr ke din kya hoga Lyrics

Kis liye fikr kare hashr ke din kya hoga Samne unke jo hoga bahot achha hoga Unke hote hue zulmat ka tasawwur kesa Kabr mein meri ujala hi ujala hoga Samne unke jo hoga bahot achha hoga Jazba e kisht bata wakt wo kaisa hoga Samne jab mere sarkar ka roza hoga Nafsi Nafsi ke siwa jab na sunai dega Rabb e Habli ki sada koi lagata hoga Samne unke jo hoga bahot achha hoga Rab ne chaha to kayamat mein sabhi dekhenge Unke kadmon mein pada Akhtar hasta hoga

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

English Ya Husain Ya Husain Ya Husain Ya Husain Kar liya nosh jisne Shahadat ka Jaam Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Assalam Aye Husain Ibne Haidar Assalam Aye Husain Ibne Haidar Jinko dhoke se Kufe bulaya gaya Jinko baithe bithaye sataya gaya Jinke bacchon ko pyasa rulaya gaya Jinki gardan pe khanjar chalaya gaya Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Asslam Ya Husain Asslam Ya Husain Asslam Ya Husain Asslam Ya Husain Jinka Jannat se joda mangaya gaya Jinko Doshe Nabi pe bithaya gaya Zaher Bhai ko Jiske pilaya gaya Jisko Teeron se chhalli karaya gaya Assalam Aye Husain Ibne Haidar Assalam Aye Husain Ibne Haidar Jisne Haq Karbala mein adaa kar diya Apne Nana ka wada wafa kar diya Sab kuchh Ummat ki khatir fida kar diya Ghar ka Ghar bhi Sapurde Khuda kar diya Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Assalam Aye Husain Ibne Haidar Assalam Aye Husain Ibne Haidar Asslam Ya Husain Asslam Ya Husain Asslam Ya Husain Asslam Ya Husain Kar chuka Wo Adeeb Ap

Jab zulm ke badal chhane lage Muhammad aa gaye Lyrics

Jab zulm ke baadal chhane lage Gulshan mein Gul Gumlane lage Insaan jab Apni bacchi ko Hai jeete jee dafnaane lage Har simt Jafa wo Zulm ka Jab Hai garm hua bazar Muhammad aa gaye Muhammad aa gaye Ye Jabr ke shole ab Abre Ikhlas se Sab buj jayenge Sab kaliyan lori gayenge Gulshan ke gul muskayenge Har simt ujale bikhrenge Sab zulmo sitam mit jayenge Jab Aamena Bi ki godi mein Sarkar Madina aayenge Sab jum jum ke masti mein Ye bolega Sansaar Muhammad aa gaye Muhammad aa gaye Adam ki lagshish ko Rabb ne Jis ke Sadqe mein bakhsh diya Machhli ke pet se Yunus ko Jis ke Sadqe Aazad kiya Isa ne jiski Ummat mein Aane ka logon azan kiya Aur Ibrahim ne khwahish ki To Rabb ne Unhe ye Muzda diya Wo dekho Abdullah ke Ghar Sab Nabiyon ke Sardaar Muhammad aa gaye Muhammad aa gaye But khane saare kamp uthe Kaabe ke Sanam tharrane lage Ab kufr ki zulmat khatm hui Duniya se andhere jaane lage Tauhid ki kirne foot padee Har simt ujale chhane lage Jab Aamena bi ke angan mein Sa

Sultane Karbala ko Hamara Salam ho Lyrics || Maulana Bilal Raza Qadri

Assalam Ya Husain Assalam Ya Husain Karbala ke Jaan-Nisaaron ko Salam Fatima Zahraa ke Pyaaron ko Salam Sultane Karbala ko Hamara Salam ho Janaane Mustafa ko Hamara Salam ho Abbase Naamdaar hein Zakhmon se choor choor Us Paykare Riza ko Hamara Salam ho Sultane Karbala ko Hamara Salam ho Janaane Mustafa ko Hamara Salam ho Akbar se No-Jawaan bhi rann mein hue Shaheed Ham-Shakle Mustafa ko Hamara Salam ho Sultane Karbala ko Hamara Salam ho Janaane Mustafa ko Hamara Salam ho Bhai Bhatije Bhanje Sab ho gae Shaheed Har Laale Be-Bahaa ko Hamara Salam ho Asghar ki Nanhi Jaan pe Lakhon Salam ho Mazloomo Be-Khata ko Hamara Salam ho Sultane Karbala ko Hamara Salam ho Janaane Mustafa ko Hamara Salam ho Ho kar Shaheed Qaum ki Kashti Tira gaye Ummat ke Na-khuda ko Hamara Salam ho Sultane Karbala ko Hamara Salam ho Janaane Mustafa ko Hamara Salam ho Nasir Wila-e-Shah mein kehta hai baar baar Mehmaane Karbala ko Hamara Salam ho

Luta ke Deen pe sab kuchh malaal koi nahin Lyrics || Muhammad Muzammil Hussain

Husain Husain Mere Husain Ya Husain Ya Husain Ya Husain Ya Husain Luta ke Deen pe sab kuchh malaal koi nahin Husain Sabr ke Tere misaal koi nahin Luta ke Deen pe sab kuchh malaal koi nahin Husain hukm dein Abbas ko to Unke liye Furaat Mashq mein bharnaa kamaal koi nahin Luta ke Deen pe sab kuchh malaal koi nahin Ye Shaane Ibne Ali hai ke Waqte Aakhir bhi Bajuz Namaaz Labon par Sawaal koi nahin Luta ke Deen pe sab kuchh malaal koi nahin Khudayaa khair ho Asghar ki Aaj Maidaan mein Ke Noh-Nihaal ke Haathon mein dhaal koi nahin Luta ke Deen pe sab kuchh malaal koi nahin Sada-e-Hurr hai Jo Ibne Ali ka ho jaae Urooj Uske liye hai Zawaal koi nahin Luta ke Deen pe sab kuchh malaal koi nahin Ye Manqabat to ataa Hubbe Panjatan ki hai Aye Aqs Ismein Tumhara Kamaal koi nahin Luta ke Deen pe sab kuchh malaal koi nahin Husain Sabr ke Tere misaal koi nahin

Paani band kar diya Baaba Lyrics || Huda Sisters

Bibi Zaynab ne kaha Baaba se Karbobalaa mein Paani band kar diya Baaba Paani band kar diya Baaba Mehmaan-Nawaazi ke koi kyaa Hote hein Aadaab Ye Baaba Padh ke Daastane Karbalaa Roti hai Kayenaat bhi Baaba Daswi ka Din na nikaltaa Roti hai Raat bhi Baaba Das Moharram ki Shab Lambi ho jaati Sooraj so jaata Use Aesi neend aati Jaagta na Sooraj to Sub'ha na hoti Karbalaa mein Shaame Gareeban na hoti Sub'ha se mil kar gale Baaba Roti hai Raat bhi Baaba Padh ke Daastane Karbalaa Roti hai Kayenaat bhi Baaba Daswi ka Din na nikaltaa Roti hai Raat bhi Baaba Paani band kar diya Baaba Paani band kar diya Baaba Mehmaan-Nawaazi ke koi kyaa Hote hein Aadaab Ye Baaba Roti hai Sakeena Jhule ko chumti hai Saare Ghar mein Nanhe Asghar ko dhundhti hai Is Qadar Sakeena Paani bachaati hai Aankhon mein aaye to Usko chhupati hai Abr bhi barsa nahin Baaba Roti hai Barsaat bhi Baaba Padh ke Daastane Karbalaa Roti hai Kayenaat bhi Baaba Daswi ka Din na nikaltaa Roti hai Raat bhi Baaba Paani band kar diy

Hamare hein Husain Lyrics || Hafiz Tahir Qadri

Image
Husain Ya Husain  Husain Ya Husain  Husain Ya Husain  Husain Ya Husain Dil se Pukaaro Husain Dil se Pukaaro Husain Insaan ko bedaar to ho lene do Har qaum pukargi Hamare hein Husain Hamare hein Husain... Hamare hein Husain... Duniya mein gunjta hai Taranaa Husain ka Insaaniyat ko kaafi hai Khutbaa Husain ka Shabbir Tere Kaandho pe Deene Rasool hai Islaam ko hai Ab bhi Sahaara Husain ka Hamare hein Husain... Hamare hein Husain... Hamare hein Husain... Hamare hein Husain... Talwaar hai Husain ki Lalkaar hai Husain ki Sarkar ka Amaama hai Sar par Husain ke Aur Hamzaa ki Sipar hai Badan par Husain ke Haathon mein lekar aa gaya Shabbir Zulfiqaar Ye Sher hai Ali ka Palat kar karega waar Ye Faatema ke Laal ka Parcham hai Al-Amaan Allah re ! Jalaal ka Aalam hai Al-Amaan Kis Kaher ka hai Saamna Chamki hai Zulfiqaar Do Neem karne soorma chamki hai Zulfiqaar Khaa Khaa gayi safon ki safein Aaj Zulfiqaar Kiski Majaal hai ke kare Samne se Waar Dekho Yazeediyon zaraa Shabbir ka mizaaj Tum Saare maare

Meri Jaan Husain Lyrics || Hafiz Ahmed Raza Qadri

Husain  Husain  Husain  Husain  Meri Jaan Husain Imaan Husain Mera Maan Husain Pahechaan Husain Wo Dil hi kya ke Jisme Samoya nahin Husain Behtar hai Wo ke Jisne khoya nahin Husain Meri Jaan Husain... Meri Jaan Husain... Meri Jaan Husain... Meri Jaan... Kehdo Hawa se jaa kar ab shor naa kare Tayba se Karbala tak soyaa nahin Husain //// Libaas hai fataa hua Ghubaar mein ataa hua Tamaam Jisme Naazneen chhida hua kataa hua Ye Kaun Zee-waqaar hai Bala ka Shah-Sawar hai Ke hai Hazaaron qaatilon ke samne dataa hua Ye bil-yaqeen Husain hai Nabi ka Noore Ayen hai Ke Jiski Ek Zarb se Kamaale Fanne Harb se Kai Shaqeen gire hue tadap rahe hein qarb se Ye Kaun Haq-Parast hai Ma-e-Riza se mast hai Ke Jiske Samne koi buland hai na past hai Udhar Hazaar ghaat hein Magar ajeeb baat hai Ke Ek se Hazaar Hath ka hosala shikast hai Dilaawari mein Fard hai Badha hi Sher Mard hai Ke Jiske Dabdabe se Dushmanon ka rang zard hai Habeebe Mustafa hai Ye Mujahide Khuda hai Ye Jabee to Iske samne ye Fauj gard bard

Mein hun Husaini bachpan se Lyrics || Tahir Qadri

Image
Dam Dam Husain Maula Husain Mein Husaini hun Mein Husaini hun Sab Husaini Husain Husain karein Jab se hosh sambhala hai Maa ne Hamein samjaya hai Samaj mein aaya Us Din se Mein hun Husaini bachpan se Aaj Yazeedi tola Tu Isko Jannati manta hai Sab Dollar ka chakkar hai Halanki Haq janta hai Ye sab kamai ke dhandhe hein Sab Dollar ka chakkar hai Aaj Yazeedi tola Tu Isko Jannati manta hai Sab Dollar ka chakkar hai Halanki Haq jante hein Sare Ayimma ka Fatwa Yazeed Kafiro Fasik hai Fatwa dikhaun kin kin se Mein hun Husaini bachpan se Jab se hosh sambhala hai Maa ne Hamein samjaya hai Samaj mein aaya Us Din se Mein hun Husaini bachpan se Nazre Karam jo Hurr pe hui Unki Kismat jag uthi Shah ne jab kuchh farmaya Dil ki kaya palat gayi Hurr ye sab ko batate hein Jannat Aese pate hein Sada lagayi ye Rann se Mein hun Husaini bachpan se Jab se hosh sambhala hai Maa ne Hamein samjaya hai Samaj mein aaya Us Din se Mein hun Husaini bachpan se Sab Husain

Dilon ka Badshah Maula Husain hai Lyrics || Allama Mudassir Ul Qadri

Image
Maula Husain Maula Husain Ya Husain Ya Husain Ya Husain Ya Husain Dilon ka Badshah Husain Dilon ka Badshah Husain Dilon ka Badshah...  Maula Husain hai Har Ek Zubaan par raha Husain hi ka Naam hai Zabeene Waqt par likha Husain hi ka Naam hai Dilon ka Badshah Husain Dilon ka Badshah Husain Dilon ka Badshah...  Maula Husain hai Nazar Nazar mein bas gaya Dilon ka Badshah Husain Har Ek Qaum ne liya Husain hi ka Naam hai Maula Husain hai Maula Husain hai /////////// Husain bas Husain hai Husain bas Husain hai Ye Gulshane Rasool ka Husain Ek Fhool hai Baap hai Abu Turaab Aur Maa Batool hai Husain ba-jabeen hai Husain Dil-nasheen hai Husain Aaj zinda hai Ye Maut ko yaqeen hai Jawab do Muje zara Ye Aap se Sawaal hai Ke Kaum Aaj kis liye zaleelo khasta haal hai Jo khoon se choor choor hai Ghamon se bhi nidhaal hai Jawab Mujko mil gaya Jo Aaj Dil se mit chala Husain ka Khayaal hai  Isi liye to Kaum par zawaal hi zawaal hai Azaab hi Azaab hai Husain Paak baaz hai Khuda ko Ispe naaz hai Mahobbate

Shehzadi e Rasool Jannat ki hai Malika Lyrics

Ya Saiyyada ............... Ya Zahra............ Shehzadi e Rasool Jannat ki hai Malika Hasanain ki hai Maa wo Fatima Zahra Nabi ke ghar mai jo rehmat hai Fatima Zahra Khuda ki khas inayat hai Fatima Zahra Nabi aal hamara azim virsa hai Ye la zaval virasat hai Fatima Zahra Tumhare naam jo utri hai Ayat e Tathir Ye Be misal karamat hai Fatima Zahra Tumhare baalon ko dekha na chand suraj ne Haya ki chadar e izzat hai Fatima Zahra Zamana kehta hai jisko Hasan Husain ki Maa Rasool e paak ki itrat hai Fatima Zahra Nabi ke jism ka tukda hai zauja e haidar Ali ke paas amanat hai Fatima Zahra Riza v sabr ki malika nabi ki shehzadi Ibadaton ki hakikat hai Fatima Zahra Lahu Husain ka ab bhi gavahi deta hai Tumhare khun mai jur'at hai Fatima Zahra Dar e Batool UJAGAR kabhi na chhode ga Tumhare dar se hi izzat hai Fatima Zahra

Qurbaan Umar pe Mein Lyrics || Hafiz Ahmed Raza Qadri

Image
Ya Umar Ya Umar Ya Umar Islam ki Shaan Umar , Sarkar ki Jaan Umar Islam ko faylaya Iski Pehchaan Umar Qurbaan Umar pe Mein , Doon Jaan Umar pe Mein Imaani takazaa hai Karun Ishq Umar se Mein Lab pe As'hab pe Ek Taraana saja Marhaba Marhaba Marhaba Marhaba Shehre Makka Wo Takbeer se gunj utha Aaj laane ko Islaam aaya Umar Umar Meri Jaan Jaan Jaan  Umar Meri Jaan Jaan Jaan  Qurbaan Umar pe Mein , Doon Jaan Umar pe Mein Imaani takazaa hai Karun Ishq Umar se Mein Intikhabe Khuda Wo Duaa-e-Nabi Wo Musheere Abu-Bakro Jaane Ghani Dilbare Ahle Bayto Damaade Ali Wo Khalifaa-e-Saani Hamara Jigar Islam ki Shaan Umar , Sarkar ki Jaan Umar Islam ko faylaya Iski Pehchaan Umar Qurbaan Umar pe Mein , Doon Jaan Umar pe Mein Imaani takazaa hai Karun Ishq Umar se Mein Saadgi Adlo Sach Jiski Pehchaan tha Jiski Haan raa se utra Ye Quraan tha Dekh kar bhagtaa Jisko Shaytaan tha Baabe Ijzo Wafa Ilmo Hikmat ka Dar Islam ki Shaan Umar , Sarkar ki Jaan Umar Islam ko faylaya Iski Pehchaan Umar Qurbaan Umar p

Jo Dar Kaabe ka khulwaae Use Farooq kehte hein Lyrics || Hafiz Tahir Qadri

Image
Salam Salam Salam Ya Umar Salam Salam Salam Ya Umar Ya Umar.... Ya Umar.... Umar ka Daman na chhodenge Umar ka Daman na chhodenge Zamana janta hai ke Muraade Mustafa hai Wo Nirali Shaan hai Uski Khalifa Dusra hai Wo Ali bhi Jiska ho jaaye Use Farooq kehte hein Jo Dar Kaabe ka khulwaae Use Farooq kehte hein Gali Gali Nagar Nagar Umar Umar Umar Umar Gali Gali Nagar Nagar Umar Umar Umar Umar Sitaaron ke barabar Nekiyaan Jiski batate hein Jise Siddiqe Akbar Jaan-Nasheen Apna banaate hein Jise Farooq keh kar Pyaar se Aaqa bulaate hein Jise Duniya mein Jannat ki Basharat bhi sunaate hein Naseeban Aesa Jo paaye Use Farooq kehte hein Jo Dar Kaabe ka khulwaae Use Farooq kehte hein Jidhar se dekhiye Farooq Ek Dafa'a guzar jaae Nahin Shaytaan ki himmat ke bhoole se udhar jaae Umar to Naam hai Aesa Munafiq sun ke dar jaae Umar ki Manqabat padh do Sabaee jhal ke mar jaae Wo Jiska ro'ab chha jaae Use Farooq kehte hein Jo Dar Kaabe ka khulwaae Use Farooq kehte hein Umar ka Daman na chhodenge

Ali ke Lakhte Jigar Lyrics || Hafiz Tahir Qadri

Image
Tera Husain Mera Husain  Sabka Husain Maula Husain Ya Shaheede Karbalaa Ya Shaheede Karbalaa Mere Khuda ki rizaa hein Ali ke Lakhte Jigar Nabi ke Deen pe fidaa hein Ali ke Lakhte Jigar Shehzaada Ali ka Pyaraa hai Nabi ka Zahraa ka Ladlaa Mahboob sabhi ka Faqeeron aayo sadaa de rahe hein Ye Abbas Sarapaa Baabe Sakha hein Ali ke Lakhte Jigar Shehzaada Ali ka Pyaraa hai Nabi ka Zahraa ka Ladlaa Mahboob sabhi ka Husaini khoon se Wo Inkilaab aaya hai Mitaa hai qufr baqaa hein Ali ke Lakhte Jigar Tera Husain Mera Husain  Sabka Husain Maula Husain Mere Rasool ne Sardare Khuld Inko chunaa Tabhi to sabse jhuda hein Ali ke Lakhte Jigar Shehzaada Ali ka Pyaraa hai Nabi ka Zahraa ka Ladlaa Mahboob sabhi ka Ukhaad fainko jahan se Yazeediyat ka alam Tumhare saath sadaa hein Ali ke Lakhte Jigar Shehzaada Ali ka Pyaraa hai Nabi ka Zahraa ka Ladlaa Mahboob sabhi ka Pila gaye hein Wo Paani Sulagti reti ko Maqaame Sabro Wafa hein Ali ke Lakhte Jigar Tera Husain Mera Husain  Sabka Husain Maula Husain Qaya

Husain Tumko Zamaana Salaam kehta hai Lyrics || Hafiz Bilal Qadri

Image
Tumhare Sajde ko Kaaba Salaam kehta hai Jalaale Kubba-e-Khazraa Salaam kehta hai Chaman ka har ghulo ghuncha Salaam kehta hai Husain Tumko Zamaana Salaam kehta hai Charaago Masjido Mimbar Salaam kehte hein Nabi Rasool Payambar Salaam kehte hein Ali o Fatima Shabbar Salaam kehte hein Khuda gawaah hai ke Nana Salaam kehte hein Husain Tumko Zamaana Salaam kehta hai Mere Husain Tujhe Salaam  Mere Husain Tujhe Salaam Assalaam Ya Husain Assalaam Ya Husain Assalaam Ya Husain Assalaam Ya Husain Jisne Haq Karbalaa mein adaa kar diya Apne Nana ka wa'da wafa kar diya Sab kuchh Ummat ki khatir fida kar diya Ghar ka Ghar sab sapurde Khuda kar diya Us Husain Ibne Haidar pe Lakhon Salaam Assalaam Ya Husain Assalaam Ya Husain Assalaam Ya Husain Assalaam Ya Husain Khuda ki raah mein Sar ko kataa diya Tumne Nabi ke Deen pe Ghar ko lutaa diya Tumne Nishaane Kufr ko yaksar mitaa diya Tumne Tumhe Khuda bhi Tumhara Salaam kehta hai Husain Tumko Zamaana Salaam kehta hai Tumhe Falak ke Sitaare Salaam keht

Mera Husain hai Lyrics || Hafiz Tahir Qadri

Image
Shahide Karbala ka Naam  Jisko Na-gawar hai Wo Bad-Nazar hai Bad-Amal Isi mein Wo Shumaar hai Are Oh Munkeere azal  Tu mar zara qabar mein chal Pata chalega Kya Husain hai Shere Khuda ka Sher hai Mera Husain hai Mera Husain hai Sabse badha diler hai Mera Husain hai Mera Husain hai Ya Husain Maula Husain Ya Husain Maula Husain Karbal mein the Hazaron Yazeedi khade hue Teero Kaman Hathon mein Neze liye hue Tanha kiya tha Jisne sabhi ka mukabala Wo Mustafa ka Sher hai Mera Husain hai Ya Husain Maula Husain Ya Husain Maula Husain Kare jo koi hamsaree Kisi ki kya majaal hai Jahan mein Har lihaaz se Husain be-misaal hai Ye ho chuka hai faisala na koi dusra Hasan Na koi dusra Husain hai Ye Kaun zee-waqaar hai Bala ka Shah-sawar hai Ye Bil-yaqeen Husain hai Nabi ka Noore Aeyn hai Ke Gulshan Rasool ka Husain Ek Fool hai Baap hai Abu Turaab Aur Maa Batul hai Husain bas Husain hai Husain bas Husain hai Ya Husain Maula Husain Ya Husain Maula Husain Baaba hai Jiska Murtaza Khairunnisa hai Maa Nani

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

kya bataun ki kya madina hai naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

al madad peerane peer , gaus-e-aazam dastageer naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana || Madani Sehra Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Ye Chamak Ye Damak Ye Faban ye Mahek Lyrics || ये चमक ये दमक , ये फबन ये महक