Sultane Karbala ko Hamara Salam ho Lyrics || Maulana Bilal Raza Qadri

Assalam Ya Husain Assalam Ya Husain

Karbala ke Jaan-Nisaaron ko Salam
Fatima Zahraa ke Pyaaron ko Salam

Sultane Karbala ko Hamara Salam ho
Janaane Mustafa ko Hamara Salam ho

Abbase Naamdaar hein Zakhmon se choor choor
Us Paykare Riza ko Hamara Salam ho

Sultane Karbala ko Hamara Salam ho
Janaane Mustafa ko Hamara Salam ho

Akbar se No-Jawaan bhi rann mein hue Shaheed
Ham-Shakle Mustafa ko Hamara Salam ho

Sultane Karbala ko Hamara Salam ho
Janaane Mustafa ko Hamara Salam ho

Bhai Bhatije Bhanje Sab ho gae Shaheed
Har Laale Be-Bahaa ko Hamara Salam ho

Asghar ki Nanhi Jaan pe Lakhon Salam ho
Mazloomo Be-Khata ko Hamara Salam ho

Sultane Karbala ko Hamara Salam ho
Janaane Mustafa ko Hamara Salam ho

Ho kar Shaheed Qaum ki Kashti Tira gaye
Ummat ke Na-khuda ko Hamara Salam ho

Sultane Karbala ko Hamara Salam ho
Janaane Mustafa ko Hamara Salam ho

Nasir Wila-e-Shah mein kehta hai baar baar
Mehmaane Karbala ko Hamara Salam ho

Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics / क्या मुहम्मद का प्यारा नहीं हूँ / کیا محمد کا پیارا نہیں ہوں

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Ya Sahibal Jamal Wa Ya Sayyidal Bashar Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye sare ghulaam Lyrics / या हुसैन इब्ने अली / یا حسین ابن علی

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Mera Badshah Husain hai Lyrics / मेरा बादशाह हुसैन है / میرا بادشاہ حسین ہے

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics / शाह सवार-ए-कर्बला की शाह सवारी को सलाम / شاہ سوارِ کربلا کی شاہ سواری کو سلام

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ