Hamare hein Husain Lyrics || Hafiz Tahir Qadri

Husain Ya Husain  Husain Ya Husain 
Husain Ya Husain  Husain Ya Husain
Dil se Pukaaro Husain Dil se Pukaaro Husain

Insaan ko bedaar to ho lene do
Har qaum pukargi Hamare hein Husain
Hamare hein Husain... Hamare hein Husain...

Duniya mein gunjta hai Taranaa Husain ka
Insaaniyat ko kaafi hai Khutbaa Husain ka

Shabbir Tere Kaandho pe Deene Rasool hai
Islaam ko hai Ab bhi Sahaara Husain ka

Hamare hein Husain... Hamare hein Husain...
Hamare hein Husain... Hamare hein Husain...

Talwaar hai Husain ki Lalkaar hai Husain ki
Sarkar ka Amaama hai Sar par Husain ke
Aur Hamzaa ki Sipar hai Badan par Husain ke
Haathon mein lekar aa gaya Shabbir Zulfiqaar
Ye Sher hai Ali ka Palat kar karega waar

Ye Faatema ke Laal ka Parcham hai Al-Amaan
Allah re ! Jalaal ka Aalam hai Al-Amaan
Kis Kaher ka hai Saamna Chamki hai Zulfiqaar
Do Neem karne soorma chamki hai Zulfiqaar

Khaa Khaa gayi safon ki safein Aaj Zulfiqaar
Kiski Majaal hai ke kare Samne se Waar
Dekho Yazeediyon zaraa Shabbir ka mizaaj
Tum Saare maare jaaoge ladte rahe jo Aaj

Lekin Raza-e-Maula mein jukta hai Ab Husain
Sajde mein Sar jukaane ko rukta hai Ab Husain
Deene Mateen ke liye sab kuchh luta diya
Mere Husain Tumne Gharaana luta diya

Karbobala ka dekh lo Fateh Husain hai
Islaam Zinda hai to fir Zinda Husain hai

Husain Zindabaad... Husain Zindabaad...
Husain Zindabaad... Husain Zindabaad...

Hamare hein Husain... Hamare hein Husain...
Hamare hein Husain... Hamare hein Husain...

Duniya mein gunjta hai Taranaa Husain ka
Insaaniyat ko kaafi hai Khutbaa Husain ka

Jazbaat Ghaaziyon ke marenge nahin kabhi
Zinda Hamein jo rakhta hai Jazbaa Husain ka

Duniya mein gunjta hai Taranaa Husain ka
Insaaniyat ko kaafi hai Khutbaa Husain ka

Na Aasmaan na Kisi Shaan Nasheen se niklega
Ali ke Ishq ka Suraj Zabeen se niklega
Jahaan Jahaan pe bhi Pahere bithaaye jayenge
Juloose Ishqe Husaini wahin se niklega

Ye Karbalaa hai dekh lo Ise Jahan Walon
Yazeediyat ka Janaaza Yahin se niklega

Karbobalaa se utthegi Mayyat Yazeed ki
Lekin Hamesha Chamkega Roza Husain ka

Hamare hein Husain... Hamare hein Husain...
Hamare hein Husain... Hamare hein Husain...

Koi ataa pataa nahin Nasle Yazeed ka
Saare Jahan mein hai Gharaana Husain ka

Hamare hein Husain... Hamare hein Husain...
Hamare hein Husain... Hamare hein Husain...

Tujko Hamesha deghi Ujagar Nabi ki Aal
Tu Kaamiyaab ho gayaa Banda Husain ka

Writer: 

Nasir Ali Ujagar

Naat Khwan : 

Hafiz Tahir Qadri

Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu