Qurbaan Umar pe Mein Lyrics || Hafiz Ahmed Raza Qadri

Ya Umar Ya Umar Ya Umar
Islam ki Shaan Umar , Sarkar ki Jaan Umar
Islam ko faylaya Iski Pehchaan Umar

Qurbaan Umar pe Mein , Doon Jaan Umar pe Mein
Imaani takazaa hai Karun Ishq Umar se Mein

Lab pe As'hab pe Ek Taraana saja
Marhaba Marhaba Marhaba Marhaba
Shehre Makka Wo Takbeer se gunj utha
Aaj laane ko Islaam aaya Umar

Umar Meri Jaan Jaan Jaan 
Umar Meri Jaan Jaan Jaan 

Qurbaan Umar pe Mein , Doon Jaan Umar pe Mein
Imaani takazaa hai Karun Ishq Umar se Mein

Intikhabe Khuda Wo Duaa-e-Nabi
Wo Musheere Abu-Bakro Jaane Ghani
Dilbare Ahle Bayto Damaade Ali
Wo Khalifaa-e-Saani Hamara Jigar

Islam ki Shaan Umar , Sarkar ki Jaan Umar
Islam ko faylaya Iski Pehchaan Umar

Qurbaan Umar pe Mein , Doon Jaan Umar pe Mein
Imaani takazaa hai Karun Ishq Umar se Mein

Saadgi Adlo Sach Jiski Pehchaan tha
Jiski Haan raa se utra Ye Quraan tha
Dekh kar bhagtaa Jisko Shaytaan tha
Baabe Ijzo Wafa Ilmo Hikmat ka Dar

Islam ki Shaan Umar , Sarkar ki Jaan Umar
Islam ko faylaya Iski Pehchaan Umar

Qurbaan Umar pe Mein , Doon Jaan Umar pe Mein
Imaani takazaa hai Karun Ishq Umar se Mein

Hafiz Ahmed Raza Qadri


Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / حاجیوں مصطفیٰ سے کہ دینا

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics / मदीने के आक़ा, सलामुन अलैक / مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Maula Ya Salli wa Sallim Salam Lyrics / मौला या सल्ली व सलीम / مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ

Hum ne Aankhon se dekha nahin hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर